Qateel Shifai

Ranjish.com has lots of Urdu Qateel Shifai Poetry. Feel free to add your own Qateel Shifai Shayari here.

Qateel Shifai Collection

Qateel Shifai
1919-2001

Qateel Shifai was a prominent Urdu Poet from Lahore, Pakistan. His real name was Muhammad Aurangzeb, but decided to use the name Qateel Shifai as his pen name. In 1946, he started working as an assistant editor for Adab-e-Latif magazine. He worked as a lyricist in several movies like Bade Dilwala, Yeh Hai Mumbai Meri Jaan, Auzaar and Naajayaz .
We bring you the best Qateel Shifai Poetry right here at Ranjish.com for you to read and enjoy.



Dil pe aaye huye ilzam se pehchante hain..

Qateel Shifai

Dil pe aaye huye ilzam se pehchante hain,
Log ab mujh ko tere naam se pehchante hain..



Dil pe aye huye ilzaam se pehchante hain..

Qateel Shifai

Dil pe aye huye ilzaam se pehchante hain,
Log ab mujh ko tere naam se pehchante hain..



Jis ki jhankaar main dil ka araam tha, woh tera naam tha..

Qateel Shifai

Jis ki jhankaar mein dil ka araam tha, woh tera naam tha,
mere honton pe raqsaaan jo ek naam tha, woh tera naam tha,

Mujh se mansub thi dastaanen keyi ek se ek nayi,
Khubsurat magar jo ek ilzaam tha, woh tera naam tha,

Kese karta kisi aur ki guftagu yaad tha sirf tu,
Mujh ko mere junuun ka jo enaam tha, woh tera naam tha,

Subh se shaam tak jo mere pass thi woh teri aas thi,
Shaam tak jo kuch lab-e-baam tha, woh tera naam tha,

Dost jitne the na-aashnaa ban gaye paarsaa ban gaye,
Jo mere saath ruswa sar-e-aam tha, woh tera naam tha,

Gham ne tareekiyon mein uchaala mujhe maar daala mujhe,
Ek nayi chaandni ka jo pegham tha, woh tera naam tha,

Tere hi dam se hai yeh qateel aaj bhi shayari ka wali,
Uss ki ghazlon mein kal bhi jo ilhaam tha, woh tera naam tha..



Marhala raat ka jab aye ga..

Qateel Shifai

Marhala raat ka jab aye ga,
Jism saaye ko taras jaye ga,

Chal parri rasm jo kaj-fehmi ki
Baat kya phir koi kar paye ga,

Sach se qatrate agar log yahan,
Lafz mafhoom se qatraye ga,

Aitbar us ka hamesha karna,
Woh to jhooti bhi qasam khaye ga,

Tu na hogi to phir ae sham-e-firaaq,
Kon aa kar humen behlaye ga,

Hum usay yaad bohat ayen ge,
Jab usay bhi koi thukraye ga,

Kainat us ki meri zaat main hai,
Mujh ko kho kar woh kise paye ga,

Na rahe jab woh bhale din bhi qateel,
Yeh zamana bhi guzar jaye ga..

مرحلہ رات کا جب آئے_گا - قتیل شفائی



Main to betha hon dabaye huye tufanon ko..

Qateel Shifai

Main to betha hon dabaye huye tufanon ko
Tu mere dil ke dharakne ka gila karta hai..



Dil pe aaye huye ilzam se pehchante hain..

Qateel Shifai

Dil pe aaye huye ilzam se pehchante hain,
Log ab mujh ko tere naam se pehchante hain..



Apne honton pe sajana chahta hoon..

Qateel Shifai

Apne honton pe sajana chahta hoon,
Aa tujhe main gungunaana chahta hoon,

Koi aansuu tere daaman pr giraa kar,
Boond ko moti banaana chahta hoon,

Thak geya main karte karte yaad tujh ko,
Ab tujhe main yaad aana chahta hoon,

Chhaa raha hai sari bassti main andhera,
Roshni ko, ghar jalaana chahta hoon,

Aakhri hichki tere zaanon pe aaye,
Maut bhi main shayerana chahta hoon..

Apne honton par sajana chahta hoon - Qateel Shifai



Mujh pe tawajjoh hai sari aafaat ki..

Qateel Shifai

Mujh pe tawajjoh hai sari aafaat ki,
Koi to kashish hai meri zaat main..



Yeh mojza bhi mohabbat kabhi dikhaye mujhe..

Qateel Shifai

Yeh mojza bhi mohabbat kabhi dikhaye mujhe,
Ke sang tujh pe giray aur zakham aye mujhe,

Woh mera dost hai saray jahan ko hai maloom,
Daghaa kare woh kisi se to sharam aaye mujhe,

Woh meherbaan hai to iqraar kyun nahin karta,
Woh badgumaan hai to so baar aazmaaye mujhe,

Wohi to sab se zeyada hai nukta-cheen mera,
Jo muskuraa ke hamesha galay lagaye mujhe,

Main apni zaat main neelaam ho raha hoon Qateel,
Gham-e-hayaat se keh do khareed laye mujhe..

Watch Video



Tumhari anjuman se uth kar deewane kahan jate..

Qateel Shifai

Tumhari anjuman se uth kar deewane kahan jate,
Jo wabasta huye tum se woh afsaane kahan jate,

Nikal kar dair o kaaba se agar milta na maikhana,
To thukraye huye insaan khuda jane kahan jate,

Tumhari berukhi ne laaj rakh li baada-khane ki,
Tum ankhon se pilaa dete to paimaane kahan jate,

Chalo acha hua kaam aa gayi deewangi apni,
Wagarna hum zamaane bhar ko samjhaane kahan jate,

Qateel apna muqadar gham se begaana agar hota,
To apne paraaye hum se pehchaane kahan jaate..

Watch Video


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Qateel Shifai.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari