Qateel Shifai

Ranjish.com has lots of Urdu Qateel Shifai Poetry. Feel free to add your own Qateel Shifai Shayari here.

Qateel Shifai Collection

Qateel Shifai
1919-2001

Qateel Shifai was a prominent Urdu Poet from Lahore, Pakistan. His real name was Muhammad Aurangzeb, but decided to use the name Qateel Shifai as his pen name. In 1946, he started working as an assistant editor for Adab-e-Latif magazine. He worked as a lyricist in several movies like Bade Dilwala, Yeh Hai Mumbai Meri Jaan, Auzaar and Naajayaz .
We bring you the best Qateel Shifai Poetry right here at Ranjish.com for you to read and enjoy.



Pareshan raat sari hai sitaro tum to so jao..

Qateel Shifai

Pareshan raat sari hai sitaro tum to so jao,
Sukuut-e-marg taari hai sitaro tum to so jao,

Hanso aur hanste hanste duubte jaye khalaaon main,
Hameen pe raat bhaari hai sitaro tum to so jao,

Hamen to aaj ki shab pau phatte tak jaagna ho ga,
Yehi qismat hamari hai sitaaro tum to so jao,

Tumhen kya aaj bhi koi agar milne nahin aya,
Yeh baazi hum ne haari hai sitaro tum to so jao,

Kahe jaate ho ro ro kar hamara haal duniya se,
Yeh kaisi raazdaari hai sitaro tum to so jao,

Hamen bhi neend aa hi jaye gi hum bhi so hi jayen ge,
Abhi kuch be-qaraari hai sitaro tum to so jao..



Ussay kaho milne ki ab dua na kare..

Qateel Shifai

usay kaho milne ki dua na kare

Ussay kaho milne ki ab dua na kare,
Guzar gaye hain jo lamhe unhe haraa na kare,

Mujhe bhi khawb ke sehraa main ab nahin rehna,
Ussay kaho ke khawbon se ab wafaa na kare,

Agar mile to khuloos-o-wafa sath ho uss ke,
Woh darmiyaan main koi maslaa anaa na kare,

Dilon ke dard hamesha hi risste rehte hain,
Jo saamne to rahe hai magar gilaa na kare,

Tumhare naam ki tasbeeh yeh kab se karta hai,
Mera yeh dil ke koi kaam ab kiyaa na kare,

Main apne naam se roshan rahoon ga duniya main,
Ussay kaho ke meri jaanib koi diyaa na kare..



Dil ko gham-e-hayaat gavaara hai in dinon..

Qateel Shifai

Dil ko gham-e-hayaat gavaara hai in dinon,
Pehle jo dard tha wohi chaara hai in dinon,

Har sail-e-ashk saahil-e-taskeen hai aaj kal,
Daryaa ki mauj mauj kinaara hai in dinon,

Yeh dil zara sa dil teri yaadon mein kho geya,
Zaray ko aandhiyon ka sahaara hai in dinon,

Shaamon mei ab nahin hai woh pehli si roshni,
Kyaa waqeyi woh anjuman-e-aaraa hai in dinon,

Tum aa sako to shab ko barrhaaa do kuch aur bhi,
Apne kahe mei subh ka taara hai in dinon..



Mere qad ki bhi hadh se bhi guzar geya..

Qateel Shifai

Aakhir woh mere qad ki bhi hadh se bhi guzar geya,
Kal shaam main to apne hi saaye se ddar geya..



Aye dost teri aankh jo namm hai to mujhe kya..

Qateel Shifai

Aye dost teri aankh jo namm hai to mujhe kya,
Main khuub hansuunga tujhe gham hai to mujhe kya,

Kya main ne kaha tha ke zamaane se bhalaa kar,
Ab tuu bhi sazavaar-e-sitam hai to mujhe kya,

Haan le le qasam gr mujhe qatra bhi mila ho,
Tuu shaaki-e-arbaab-e-karam hai to mujhe kya,

Jiss dar se nidaamat ke siva kuch nahin milta,
Uss dar pe tera sar bhi jo khham hai to mujhe kya,

Maine to pukaara hai mohabbat ke ufaq se,
Raaste mei tere sang-e-haram hai to mujhe kya,

Bhuula to na hoga tujhe suqraat ka anjaam,
Haathon mei tere saaghar-e-sam hai to mujhe kya,

Pathar na parren gr sar-e-bazaar to kehna,
Tuu mo.tarif-e-husn-e-sanam hai to mujhe kya,

Main sarmad-o-mansuur banaa hoon teri khaatir,
Yeh bhi teri umeed se kam hai to mujhe kya..



Rahon pe nazar rakhna, honton pe dua rakhna..

Qateel Shifai

Rahon pe nazar rakhna honton pe dua rakhna,
Aa jaye koi shayed darwaza khula rakhna,

Ehsaas ki shamaa ko is tarah jalaa rakhna,
Apni bhi khabar rakhna us ka bhi pata rakhna,

Raaton ko bhatakne ki deta hai saza mujhe,
Dushwaar hai pehlu main, dil tere bina rakhna,

Logon ko nigaahon se parh lene ki aadat hai,
Logon ki tehreeron ko logon se bacha rakhna,

Bholoon main agar aye dil, tu yaad dila dena,
Tanhai ke lamhon ka har zakham haraa rakhna,

Ik boond bhi ashkon ki daaman na bhigo paaye,
Gham uss ki amaanat hai, palkon pe sajaa rakhna,

Iss tarah Qateel us se bartaao rahe apna,
Woh bhi na bura maane, dil ka bhi kahaa rakhna..



Mere samney churaa liya geya mujhe..

Qateel Shifai

Na jane kin adaaon se lubhaa liya geya mujhe,
Qateel mere samney churaa liya geya mujhe,

Kabhi jo un ke jashn mein seyaahiyan bikhar gayin,
To roshni ke vaastey jalaa liya geya mujhe,

barah-e-raast raabta na mujhse tha qabool unhe,
Likhaa ke khat raqeeb se bulaa liya geya mujhe,

Jab un ke deed ke liye qitaar mein kharra tha mein,
Qitaar se na jaane kyun hattaa liye geya mujhe,

Mein rondney ki cheez tha kisi ke paon se magar,
Kabhi kabhi to zulff mein sajaa liya geya mujhe,

Sawaal tha ke wafaa hai kya, jawab tha ke zindagi,
Qateel pyar se galey laga liya geya mujhe..



Usey kaho ke milne ki ab dua na kare..

Qateel Shifai

Usey kaho ke milne ki ab dua na kare,
Guzar gaye hain jo lamhe unhe haraa na kare,

Mujhe bhi khawb ke sehraa main ab nahin rehna,
Usey kaho ke khawbon se ab wafaa na kare,

Agar milay to khuloos o wafaa ho sath us ke,
Woh darmeyan main koi masla-e-anaaa na kare,

Dilon ke dard hamesha hi rastey rehte hain,
Magar yeh dukh ke kabhi ankh haq adaa na kare,

Hamarey hath mein rekha-e-wasl to hai magar,
Yeh khauf hai ke muqaddar kahin wafaa na kare,

Khuda gawah ke usey dekh kar hi jeetey hain,
Jo samney to rahe hain magar gilaa na kare,

Tumhare naam ki tasbeeh yeh kab se karta hai,
Mera yeh dil ke koi kaam ab kiya na kare,

Main apne naam se roshan rahoon ga dunya main,
Usey kaho meri jaanib koi diyaa na kare..



Sadmaa to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon main..

Qateel Shifai

Sadmaa to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon main,
Lekin yeh sochta hoon ke ab tera kya hoon main,

Mein khudkushi ke jurm ka karta hoon aitraaf,
Apne badan ki kabr mein, kab se garrhaa hoon mein,

Kis kis ka naam laaon zubaan par ke tere saath ,
Har roz ek shaks neya dekhta hoon ,

Kyaa jaane kis adaa se liya tu ne mera naam ,
Duniyaa samajh rahi hai, ke sab kuch tera hoon main,

Le mere tajrubon se sabak, aye mere raqeeb,
Do-chaar saal umar mein, tujhse barra hoon main,

Jaaga huwa zameer woh aiyeena hai “Qateel”,
Soney se pehlay roz, jisey dekhta raha hoon main..



Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay

Qateel Shifai

Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay
Ham Jab Os Ke Seher Se Niklay Sab Raastay Saath Laye Thay

Jaanay Wo Kia Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat
Pyaar Ki Baatain Kartay Kartay Os Ke Nain Bhar Aaye Thay

Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Pat Jharr Ki
Jis Din Apne Jorray Mein Os Ne Kuch Phool Sajaaye Thay

Os Ne Kitnay Pyaar Se Apna Kufar Dia Nazraanay Mein
Ham Apne Emaan Ka Sodaa Jis Se Karnay Aaye Thay

Kaisay Jati Mere Badan Se Beetay Lamhon Ki Khushbuu
Khwaabon Ki Is Basti Mein Kuch Phool Mere Hamsaaye Thay

Kaisa Pyaara Manzar Tha Jab Dekh Ke Apne Saathi Ko
Pairr Pe Bethi Ek Chirrya Ne Apne Per Phailaaye Thay

Rukhsat Ke Din Bheegi Aankhon Os Ka Wo Kehna Haye “Qateel”
Tum Ko Lout Hee Jana Tha Tou Is Nagri Mein Kiun Aaye Thay


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Qateel Shifai.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari