Riaz ur Rehman Saghar

Ranjish.com has lots of Urdu Riaz ur Rehman Saghar Poetry. Feel free to add your own Riaz ur Rehman Saghar Shayari here.

Riaz ur Rehman Saghar Collection

Riaz ur Rehman Saghar
1940-2013

Riaz ur Rehman Saghar was a prominent poet who also worked as a lyricist in Pakistani film industry. He was born in India in 1940 and spent his later age in Lahore, Pakistan.
You can find Riaz ur Rehman Saghar Poetry here at Ranjish.com



Iss se pehle ke dair ho jaye..

Riaz ur Rehman Saghar

Iss se pehle ke dair ho jaye,
Dua maango, sawair ho jaye,

Karo emaan iss tarah taaza,
Hatam har heir-pheir ho jaye,

Apne rab se woh roshni maango,
Jiss se andhair zair ho jaye,

Karo murdaa zameer ko zinda,
Bhairr andar ki shair ho jaye,

Ho sawa-sair bhi agar dushman,
Tum ko dekhe to sair ho jaye,

Chaand utrey har aik aangan main,
Kehkashaan har munddair ho jaye,

Haq mile sab ko yoon ke phir saanjhi,
Sab ki haandi, changair ho jaye,

Aik bhai ki bhook mittne tak,
Duusra kaise sair ho jaye,

Ho har aik aasteen main aik suuraj,
Kyun kahin phir andhair ho jaye,

Maar do mil ke saarey gadhon ko,
Tung un ka na ghair ho jaye,

Iss se pehle ke dair ho jaye,
Dua maango sawair ho jaye..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Riaz ur Rehman Saghar.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari