Saleem Kausar

Ranjish.com has lots of Urdu Saleem Kausar Poetry. Feel free to add your own Saleem Kausar Shayari here.

Saleem Kausar Collection

Saleem Kausar Saleem Kausar
1947-

A popular poet from Pakistan known for his famous ghazal “Main khayal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai”, which has been sung by various singers.



Lakh mismaar kiye jayen zamaane wale..

Saleem Kausar

Lakh mismaar kiye jayen zamaane wale,
Aa hi jaate hain neya sheher basaane wale,

Us ki zad pr woh kabhi khud bhi to aa sakte hain,
Yeh kahan jante hain aag lagane wale,

Ab to sawan bhi barood barasta hai,
Ab woh mausam nahin barish main nahane wale,

Sar se jata hi nahin wada-e-fardaa ka junoon,
Mar gaye adal ki zanjeer hilaane wale,

Hum na kehte thay tujhe, waqt bohat zalim hai,
Kya huye ab woh tere naaz uthane wale,

Saaye main bethi huyi nassal ko maloom nahin,
Dhoop ki nazar huye pairr lagane wale,

Ghar main deewaren hain aur sehn main ankhen hain saleem,
Itne azaad nahin waada nibhaane wale..

لاکھ مسمار کیے جائیں زمانے والے - سلیم کوثر



Pyar karne ke liye geet sunaane ke liye..

Saleem Kausar

ik khazana hai mere pas lutane ke liye

Pyar karne ke liye geet sunaane ke liye,
Ik khazaana hai mere paas lutaane ke liye,

Yaad ke zakham hain, vadon ki dhanak hai, main hoon,
Yeh bohat hai teri tasveer banane ke liye,

Hum bhi kya log hain khushbu ki riwayat se alag,
Khud pe zahir na huye, tujh ko chupaane ke liye,

Rasta rok hi leta hai taghayur ka ghubaar,
Warna har raah khuli hai yahan jaane ke liye,

Kitni sadiyon ka lahuu safah-e-maqtal pe raha,
Aik sachayi ko tehreer main laane ke liye,

Tark-e-duniya ka iraada hi kiya tha ke woh shakhss,
Aa geya khawhish-e-duniya ko jagaane ke liye,

Aik hi aag ka eendhan nahin bhujne pata,
Dusri aag hai tayaar jalane ke liye,

Ab kahin taza musafat pe nikalte hain ‘saleem’,
Ab to vaada bhi nahin koi nibhane ke liye..

Pyar karne ke liye geet sunaane ke liye.. Saleem Kausar



Main khayal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai..

Saleem Kausar

Main khayal hoon kisi aur ka

Main khayal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai,
Sar-e-aayina mera akss hai pass-e-aayina koi aur hai,

Main kisi ke dasst-e-talab main hoon to kisi ke harf-e-dua main hon,
Main naseeb hoon kisi aur ka mujhe maangta koi aur hai,

Ajab aitbar o be-aitbari ke darmiyaan hai zindagi,
Main qareeb hoon kisi aur ke mujhe janta koi aur hai,

Meri roshni tere hadh-o-haal se mukhtalif to nahin magar,
Tu qareeb aa tujhe dekh loon tu wohi hai ya koi aur hai,

Tujh dushmanon ki khabar na thi mujhe doston ka pata nahin,
Teri daastaan koi aur thi mera waqeya koi aur hai,

Wohi munsifon ki riwayeten wohi faislon ki ibaarten,
Mera jurm to koi aur tha pr meri saza koi aur hai,

Kabhi laut aayen to poochna nahin, dekhna unhe ghaur se,
Jinhe raaste main khabar hui ke yeh rasta koi aur hai,

Jo meri riyazat-e-neem-shab ko ‘saleem’ subh na mil saki,
To phir is ke maani to yeh huye ke yahan khuda koi aur hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Saleem Kausar.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari