Shakeeb Jalali

Ranjish.com has lots of Urdu Shakeeb Jalali Poetry. Feel free to add your own Shakeeb Jalali Shayari here.

Shakeeb Jalali Collection

Shakeeb Jalali
1934-1966

Shakeeb Jalali was a famous poet from Sargodha, Pakistan. He was born in Saddat Jalali, near Aligarh, India. Shakeb Jalali’s real name was Syed Hassan Rizvi. We bring you the best Shakeb Jalali Poetry to read and enjoy.



Gale mila na kabhi chand bakht aisa tha..

Shakeeb Jalali

Yeh aur baat ke woh lab thay phool se nazuk

Gale mila na kabhi chaand bakht aesa tha,
Hara-bhara badan apna darakht aesa tha,

Sitare siskiyan bharte the oss roti thi,
Fasaana-e-jigar-e-lakht-lakht aesa tha,

Zara na mom hua pyar ki hararat se,
ChaTTakh ke toot geya dil ka sakht aesa tha,

Yeh aur baat ke woh labb thay phool se nazuk,
Koi na seh sake lehja karakht aesa tha,

Kahan ki sair na ki tosan-e-takhayyul pr,
Hamen to yeh bhi suleman ke takht aesa tha,

Idhar se guzra tha mulk-e-sukhan ka shehzada,
Koi na jaan saka saaz-o-rakht aesa tha..

گلے ملا نہ کبھی چاند بخت ایسا تھا - شکیب جلالی



Kaha na tha ke main kashti pe bhoj hoon..

Shakeeb Jalali

tu ne kaha tha

Tu ne kaha na tha ke main kashti pe bhoj hoon,
Aankhon ko ab na dhaanp mujhe doobtay bhi dekh..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Shakeeb Jalali.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari