Shehzad Ahmad

Ranjish.com has lots of Urdu Shehzad Ahmad Poetry. Feel free to add your own Shehzad Ahmad Shayari here.

Shehzad Ahmad Collection

Shehzad Ahmad
1932-2012

Shehzad Ahmad was a well known poet of his time. We bring you all his work here at Ranjish.com.



jal bhi chuke parwane ho bhi chuki ruswayi

Shehzad Ahmad

jal bhi chuke parwane ho bhi chuki ruswayi
ab khaak uRane ko beThe hain tamashayi

ab dil ko kisi karwaT araam nahin milta
ik umar ka rona hai do din ki shanasaayi

ab vusat e aalam bhi kam hai meri wehshat ko
kya mujh ko Daraye gi is dasht ki pehnayi

jee main hai ke is dar se ab hum nahin uthen ge
jis dar pe na jane ki so baar qasam khayi



Rukhsat hua to ankh milaa kar nahin geya..

Shehzad Ahmad

Rukhsat hua to ankh milaa kar nahin geya,
Woh kyun geya hai yeh bhi bata kar nahin geya,

Woh yuun geya ke baad-e-sabaa yaad aa gayi,
Ehsas tak bhi hum ko dilaa kar nahin geya,

Yuun lag raha hai jese ke abhi laut aaye ga,
Jaate huye chiraagh bhuja kar nahin geya,

Bas ik lakeer kheench geya darmeyan main,
Deewar raste main banaa kar nahin geya,

Shayed woh mil hi jaye magar justuju hai shart,
Woh apne naqsh-e-paa to mittaa kar nahin geya,

Ghar main hai aj tak wohi khushbuu bassi hui,
Lagta hai yuun ke jese woh aa kar nahin geya,

Rehne diya na us ne kisi kaam ka mujhe,
Aur khaak main bhi mujh ko milaa kar nahin geya,

Shahzad yeh gilaa hi raha us ki zaat se,
Jaate huye woh koi gilaa kar nahin geya..

رخصت ہوا تو آنکھ ملا کر نہیں گیا



Ab na woh shor na woh shor machaane wale..

Shehzad Ahmad

ab na woh shor

Ab na woh shor na woh shor machaane wale,
Khaak se beth gaye khaak urraane wale,

Yeh alag baat muyassar lab-e-goya na hua,
Dil main woh dhoom ke sunte hain zamaane wale,

Kisi manzil ki taraf koi qadam uth na saka,
Apne hi paaon ki zanjeer they jane wale,

Dil sa wehshi kabhi qaabu main na aya yaaro,
Haar kar beth gaye jaal bichaane wale,

Din ki kujlaayi huyi dhoop main kya dekhte hain,
Shaam hote hi pareshan nazar aanay wale,

Teri qurbat main guzaare huye kuch lamhaat,
Dil ki tanhaayi ka ehsas dilaane wale,

Inhi jhonkon se hai shehzad chamak ankhon main,
Yehi jhonke hain chiraaghon ko bujhaane wale..



Duniya ki taraf laut ke aanay ke nahin hum..

Shehzad Ahmad

duniya ki tarf laut ke

Duniya ki taraf laut ke aanay ke nahin hum,
Sach baat yeh hai tere zamaane ke nahin hum,

Awaaz mizaaji bhi tabiyat nahin apni,
Wese to kisi thikaane ke nahin hum,

Ik dard ki daulat hai jise banttay phiray,
Maalik bhi kisi aur khazaane ke nahin hum,

Tu ne to abhi khail ka aghaaz kiya,
Kirdaaar abhi tere fasaane ke nahin hum,

Kehte chale jaate hain kahani pe kahani,
Is qaid se baahar kabhi jaane ke nahin hum,

Shehzad dil o jaan pe jo guzri hai qayamat,
Woh zakham kisi ko bhi dikhaane ke nahin hum..



Apni tasveer ko aankhon se lagaata kya hai..

Shehzad Ahmad

mere qisse mere yaron ko

Apni tasveer ko aankhon se lagaata kya hai,
Ik nazar meri taraf bhi tera jaata kya hai,

Meri ruswaayi main woh bhi hain baraabar ke shareek,
Mere qisse mere yaron ko sunaata kya hai,

Paas reh kar bhi na pehchaan saka tu mujh ko,
Duur se dekh ke ab haath hilaata kya hai,

Zehn ke pardon pe manzil ke hayuule na bana,
Ghaur se dekhta jaa raah main aata kya hai,

Zakhm-e-dil jurm nahin torr bhi de mohr-e-sukuut,
Jo tujhe jaante hain un se chupaata kya hai,

safar-e-shauq main kyuun kaanpte hain paaon tere,
Aaankh rakhta hai to phir aankh churaata kya hai,

Umr bhar apne girebaan se ulajhne wale,
Tu mujhe mere hi saaye se daraata kya hai,

Chandni dekh ke chehre ko chupaane wale,
Dhoop main baith ke ab baal sukhaata kya hai,

Mar gaye pyaas ke maare to utha abr-e-karam,
Bujh gayi bazm to ab shammaa jalaata kya hai,

Main tera kuch bhi nahin hon magar itna to bata,
Dekh kar mujh ko tere zehn main ata kya hai,

Tera ehsas zara sa teri hasti payab,
To samandar ki tarah shor machaata kya hai,

Teri awaz ka jaadu sa chale ga un par,
Jaagne waalon ko “shehzad” jagaata kya hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Shehzad Ahmad.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari