Tahir Ubaid Taj

Ranjish.com has lots of Urdu Tahir Ubaid Taj Poetry. Feel free to add your own Tahir Ubaid Taj Shayari here.

Tahir Ubaid Taj Collection

Tahir Ubaid Taj is a young upcoming poet from the city of Jhelum in Pakistan. His first poetry book was out in March 2012 by the name “Sab Tere Vaaste”.



Safar khizaan ka, bahaar manzil..

Tahir Ubaid Taj

Safar khizaan ka, bahaar manzil,
Hai fasilon ki shikaat manzil,

Mujhe ussi ne yeh khauf bakhsha,
Ke jis ne di thi udhaar manzil,

Ilaahi kuch tu hi silaa de,
Nazar ki hadh se guzaar manzil,

Tu jeet jaye ga, jeet mujh ko,
Tere galey ka hai haar manzil,

Tujhe talab thi ke mein bhi ro’un,
Aa dekh zaar-o-qitaar manzil,

Hird ka ultaa moaamla tha,
Gulaab rahain, to khaar manzil,

Jalaa ke nikla jo apne ghar ko,
Dhuaan si rahain, ghubaar manzil,

Ke meri sansain ukharr rahi hain,
Abhi to mujh ko pukaar manzil,

Khabar mili hai woh laut aya,
Ab us ke sar par se waar manzil,

Main aasmanon ko khaujta hoon,
Sunaa tha unke hai paar manzil,

Azal-abad ki talaash mein hai,
Ujaal rahain, sanwaar manzil,

Taaj khud hi kuch susst tha warna,
Talab mein thi be’qaraar manzil..



Lamha lamha raat bhar ankhon mein utri chandni..

Tahir Ubaid Taj

Lamha lamha raat bhar ankhon mein utri chandni,
Thi teri rukhsaar si ujli, woh nikhri chandni,

Yaad hai woh sath tera aur tere kandhey ki shaal,
Sardiyon ki raat mein woh bheegi bheegi chandni,

Woh tera apni hi baahon mein simattna sharam se,
Aur tere masoom chehrey per woh simtti chandni,

Jab hawaa ke dosh pe sun’na meri bazm-e-ghazal,
Mujh se kehna “hai mere aangan main bikhri chandni”,

Chand! ab to chand mera jaa basaa pardes mein,
Dil ko ab achi nahin lagti hai pheeki chandni..



Hum bhi nayaab hua kartey they..

Tahir Ubaid Taj

Hum bhi nayaab hua kartey they,
Kisi ka khawab hua kartey they,

Jinhe mein kher’andesh manta tha,
Aese ehbaab hua kartey they,

Aankh sukhey huye daryaa si hai,
Is mein sailaab hua kartey they..



Beete huye lamhon se tumhe kuch na mile ga

Tahir Ubaid Taj

Beete huye lamhon se tumhe kuch na mile ga,
Ujrrey huye logon se tumhe kuch na mile ge,

Haq cheen lo apna ke agar haq pe ho tum,
In siskiyon aaho’n se tumhe kuch na mile ga,

Apne hon agar paas to sab kuch hai muyassar,
Pardess ki galiyon se tumhe kuch na mile ga,

Woh laut ke aya hai to raahon ko sajao,
Beeti huyi baaton se tumhe kuch na mile ga,

Tahir tujhe be’mol diye aas ke moti,
Socha tha ke apnon se tumhe kuch na mile ga..



Jo Bhi Hum Ko Mila Kamaal Mila

Tahir Ubaid Taj

Mausam-e-hijar ya wisaal mila,
Jo bhi hum ko mila kamaal mila,

Saans ka silsila tamasha tha,
Khauff ka silsila bahaal mila,

Apne baatin ki hal’wato’n mein,
Jalwa-e-araa tera khayal mila,

Taaj ka tujh pe ik ehsaan hai,
Jab bhi mila hua muhaal mila..

(muhaal;impossible)



Mein khawhishon ki l’ey mein gaata chala gaya..

Tahir Ubaid Taj

Mein khawhishon ki l’ey mein gaata chala gaya,
Yu’n zindagi ka saath nibhata chala gaya,

Har saans se hua marne marne ka hauslaa,
Jeene ka khauf hum ko satata chala gaya,

Jis jis tarah bhi waqt ne kiya hum se nibah,
Wese hi waqt hum ko banata chala gaya,

Mere qalam mein us ka koi lamss tha chupa,
Woh harf harf mein jo samaata chala gaya,

Thi us ki aarzu ke mein chota nazar aaon,
Woh fasilon ko aur barhaata chala gaya,

Barsat mein kabhi, Kabhi sardi ki raat mein,
Mausam koi bhi aya, Rulata chala gaya,

Lehron ke zarf ne unhe saahil pe aa rakha,
Khat us ke pharr daley, bahata chala gaya,

Tahir ko tu ne somp di purkaar-e-zindagi,
Woh daayer’on mein jis ko ghumata chala gay..



Mere Aesaab Mein Ik Jo Fariyad Thi, Woh Teri Yaad Thi..

Tahir Ubaid Taj

Mere Aesaab Mein Ik Jo Fariyad Thi, Woh Teri Yaad Thi,
Aur Wehm-o-gumaan Jo Abaad Thi, Woh Teri Yaad Thi,

Mujh Pe Taari Raha Us Ka Ehsaas Baad-e-sabaa Ki Tarah,
Aesa Lagta Hai Jese Chaman-zaad Thi, Woh Teri Yaad Thi,

Ab Ke Yoon Bhi Hua Ke Safar Ne Mujhe Raasta Na Diya,
Faasilon Se, Hadhon Se Jo Azaad Thi, Woh Teri Yaad Thi,

Mere Ehbaab Ne Bhi Kabhi Na Kiya, Woh Mera Zikr Tha,
Tere Ashaaq Ke Lab Pe Fariyaad Thi, Woh Teri Yaad Thi,

Marhalaa Koi Tou Aaye Tajdeed Ka, Phir Teri Deed Ka,
Shaam Mehboos Thi, Soch Barbaad Thi, Woh Teri Yaad Thi,

Kuch Bhi Karne Ko Gar Thaan Lain To Humain Bi Kuch Parwah Nahin,
Mere Fikr-o-amal Ko Jo Seyaad Thi, Woh Teri Yaad Thi,

Apne Baarey Kabi Sochte Taaj Hum Bhi Majboor They,
Hum Ne Majnoon Kiya Aik Iftaad Thi, Woh Teri Yaad Thi..

(aesaab;thoughts)(ehbaab;relatives)(marhalaa;phase)(mehboos:sad)(seyaad;suited)(ashaaq;lover)


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Tahir Ubaid Taj.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari