Wasi Shah

Ranjish.com has lots of Urdu Wasi Shah Poetry. Feel free to add your own Wasi Shah Shayari here.

Wasi Shah Collection

Wasi Shah
1976-

Wasi Shah is young pakistani romantic poet. Poeple search Wasi Shah Poetry or Wasi Shah Shayari to read Wasi Shah Shayari. Wasi Shah Poetry is truely loved by urdu readers all over the world. Wasi Shah has wrote so many poetry books, some of them are Mere Ho Ke Raho and Mujhe Sandal Kardo.



Apne ehsaas se chhuu kar mujhe sandal kar do..

Wasi Shah

Apne ehsaas se chhuu kar mujhe sandal kar do,
Main to sadiyon se adhoora hoon mukammal kar do,

Na tumhe hosh rahe aur na mujhe hosh rahe,
Iss qadar toot ke chaaho mujhe paagal kar do,

Tum hatheli ko mere pyaar ki mehndi se rango,
Apni aankhon main mere naam ka kaajal kar do,

Dhoop hi dhoop hoon main toott ke barsso mujh pr,
Iss qadar barsso meri rooh ko jal-thal kar do..

Watch Video



Kangan…

Wasi Shah

Kash main tery haseen hath ka kangan hota

to bary pyar se chao se bary maan k sath

apni nazuk si kalai main charhati mujhko

aur betabi se furqat k khizan lamhon main

tu kisi soch main dubi jo ghumati mujhko

?main tery hath ki khushbu se mehek sa jata

kuch nahi to ik yehi benam se bandhan hota

kash main tery haseen hath ka kangan hota


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Wasi Shah.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari