Wasi Shah

Ranjish.com has lots of Urdu Wasi Shah Poetry. Feel free to add your own Wasi Shah Shayari here.

Wasi Shah Collection

Wasi Shah
1976-

Wasi Shah is young pakistani romantic poet. Poeple search Wasi Shah Poetry or Wasi Shah Shayari to read Wasi Shah Shayari. Wasi Shah Poetry is truely loved by urdu readers all over the world. Wasi Shah has wrote so many poetry books, some of them are Mere Ho Ke Raho and Mujhe Sandal Kardo.



Haaye Wo Lamha Ke Jab Tujh Se Shanasaayi Howi

Wasi Shah

Haaye Wo Lamha Ke Jab Tujh Se Shanasaayi Howi
Phir Jo Honi Thi Meri Jaan Wo Ruswaayi Howi

Apni Nakaam Mohabbat Ka Na Yun Charcha Karo
Zakham Barh Jaye Ga Gar Is Ki Paziraayi Howi

Phir Zamanay Mein Kisi Ne Ose Dekha Na Suna
Tere Darbaar Mein Jis Shakhs Ki Shanwaayi Howi

Jab Teri Yaad Ko Koi Bhi Thikaana Na Milay
Meri Baahon Mein Chali Aati Hai Ghabraayi Howi



Dya Dye Se Jalaa Loon Tou Chain Aaye Mujhe

Wasi Shah

Dya Dye Se Jalaa Loon Tou Chain Aaye Mujhe
Tumhain Galay Se Laga Loon Tou Chain Aaye Mujhe

Mohabbaton Ke Saheefay Hain Ya Azaab Koi ?
Tere Khatoot Jala Loon Tou Chain Aaye Mujhe



Tum jis baat pe hanste ho main ro parta hoon..

Wasi Shah

Tum jis baat pe hanste ho main ro parta hoon,
Main jis baat pe rota hoon tum hanss dete ho,

Main jis baat pe bujh jaaon tum khil jate ho,
Main jis baat pe marta hoon tum jee uthte ho,

Main jiss baat pe dard mein dooba rehta hoon,
Tum us baat pe roshan roshan lagte ho,

Soch raha hon kitne zyada alag alag hain,
Teri meri soch ke dhaarey,
Kitne zeyada judaa judaa hain,
Soch raha hoon,
Itne mukhaalif tufaanon ko sahain ge kese,
Tum aur mein ik chat ke neechey rahain ge kese..



Kahin jaye usey meri duyayen yaad karti hain..

Wasi Shah

Kahin jaye usey meri duyayen yaad karti hain,
Usey kehna usey meri wafayain yaad karti hain,

Main aksar aayiney ke samne bechain rehti hoon,
Kisi ne khat mein likha hai, adayain yaad karti hain,

Usey kehna khazayen aagayi hain ab to laut aye,
Usey kehna december ki hawaayain yaad karti hain,

Usey kehna ke aankhon mein ghanni badli si chaayi hai,
Jinhain dil pe barasna hai, ghatayain yaad karti hain,

Geya tha jab tu meri khawhishain bhi sath le jata,
Lahuu mein naachti kuch iltjaayain yaad karti hain..



Teri har baat se anjaan bhi ho sakta hai..

Wasi Shah

Teri har baat se anjaan bhi ho sakta hai,
Dil-e-wehshi, dil-e-nadaan bhi ho sakta hai,

Hum jahan beth ke taaron se teri baat karain,
Woh kisi jism ka dalaa’n bhi ho sakta hai,

Yeh jo ik bherriya* jungle mein hua karta hai,
Kal isi bhaiss* main insaan bhi ho sakta hai,

Ain mumkin hai jisey dil ke bajaye thaamon,
Ab kisi shokh ka damaan bhi ho sakta hai,

Titliyaan nochney* ka jurm kiya hai jis ne,
Woh mere sheher ka sultaan bhi ho sakta hai,

Aaj dil mein teri yadon ke diye jalte hain,
Kal yehi rasta sunsaan bhi ho sakta hai,

Jo tujhe aur kisi ka hone nahin deta,
Yeh mere ishq ka imkaan bhi ho sakta hai,

Yeh jo ik shakhs tujhe dekh kar roshan hai bohat,
Bujh bhi sakta hai yeh veeraan bhi ho sakta hai..

(bherriya;wolf)(bhaiss;appearance)(nochney;plucking)



Kab nahin naaz uthaye hain tumhare mene..

Wasi Shah

Kab nahin naaz uthaye hain tumhare mene,
Dekho aanchal pe sajaye hain sitare mene,

Wohi lamhaat asaasa hain mere jeevan ka,
Jo tere qurb mein lamhaat guzaarey mene,

Roz aate hain mujhe yaad tere zulm-o-sitam,
Roz khanjar keyi seeney mein utare mene,

Har bahana tera aankhon mein saja kar rakha,
Apne seeney se lagaye tere laaray mene,

Meri pooron se mehek ati rahi hai din bhar,
Jab bhi khawbon mein tere baal sanwarey mene,

Teri chokhatt pe keyi baar huyi mujh ko shikast,
Teri dehleez pe aansu keyi haarey mene,

Meri awaaz akeli hi palat kar aayi,
Jab musibat mein kabhi yaar pukarey mene..



Meine ghar ke sarey mausam, Sab deewarain..

Wasi Shah

Meine ghar ke sarey mausam,
Sab deewarain,
Saarey pardey,
Yaadon se rang daaley hain,
Tum aao ge,
Tum is ghar ki har khirrki,
Har bagheechey,
Har ik goshay ko,
Apne rang mein dooba hua mehsus karo ge,
Aajao na!!
Aa bhi jao!!



Saanp Hee Saanp Nazar Aatay Hain Khwaabon Mein Mujhe

Wasi Shah

Saanp Hee Saanp Nazar Aatay Hain Khwaabon Mein Mujhe
Zindagi Ghairnay Waali Hai Azaabon Mein Mujhe

Ek Tasveer Thi Aur Wo Bhi Kaheen Guum Kar Di
Umer Bhar Dhoondna Ab Apni Kitaabon Mein Mujhe

Jab Se Utra Hai Tere Dard Ka Nasha Mujh Mein
Lutf Aata Nahi Duniya Ki Sharaabon Mein Mujhe

Wo Mujhe Chhorr Gaya Tha Kisi Rangeeni Mein
Wo Jo Ab Dhoondta Rehta Hai Kharaabon Mein Mujhe

Tum Ne Ek Umer Kia Hai Nazar Andaaz “Wasi”
Aur Ab Dhoondtay Phirtay Ho Saraabon Mein Mujhe

Zaroob-o-Taqseem “Wasi” Ishq Mein Laa Haasil Hai
Jaanay Kiun Khojtay Rehtay Ho Hisaabon Mein Mujhe ?



Mere laut aaney ke imkaa’n bandhe hain..

Wasi Shah

Jab tak tere aanchal se yeh paimaa’n bandhe hain,
Janaan, Mere laut aaney ke imkaa’n bandhe hain,

Us ko kabhi aati bhi nahin ho gi meri yaad,
Jis shakhs se har lamhaa mere dheyaa’n bache hain..



Tum wahan hon, yahan nahin ho tum..

Wasi Shah

Tum wahan ho, yahan nahin ho tum,
Gham hi gham hain, jahan nahin ho tum,

Ab kisi aur simt dekhta hoon,
Ab mera aasmaan nahin ho tum,

Ishq zinda rahe ga mera,
Haan magar jaavedaa’n nahin ho tum,

Yeh zameen, aasman, hamara dil,
Har jagha ho, kahan nahin ho tum,

Tum karri dhoop ka safar na sahi,
Haan magar saayebaa’n nahin ho tum,

Meri yadain tumhare sar per hain,
Jane man! be’imaan nahin ho tum,

Kis liye aap aap karte ho,
Mujh se gar bad’gumaan nahin ho tum..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Wasi Shah.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari