Wasi Shah

Ranjish.com has lots of Urdu Wasi Shah Poetry. Feel free to add your own Wasi Shah Shayari here.

Wasi Shah Collection

Wasi Shah
1976-

Wasi Shah is young pakistani romantic poet. Poeple search Wasi Shah Poetry or Wasi Shah Shayari to read Wasi Shah Shayari. Wasi Shah Poetry is truely loved by urdu readers all over the world. Wasi Shah has wrote so many poetry books, some of them are Mere Ho Ke Raho and Mujhe Sandal Kardo.



Roshni Aur Baharain Tumhi Rakh Lo Jana..

Wasi Shah

Roshni aur baharain tumhi rakh lo jana,
Mere jugnu mere mausam wapis kar do,

Meri hasrat, meri mehroomiyan lauta do mujhe,
Mere aansu, mere maatam mujhe wapis kar do,

Jane waley se bas itna hi kaha tha mene,
Kuch na lotao mere gham mujhe wapis kar do,

Kyon yeh takraar si hone lagi “Main” ki jana’n,
Woh to hum tum mein tha, ik “Hum” mujhe wapis kar do,

Jitni khushiyan hain woh rakh lo meri janib se Wasi,
Meri aankhon mein chupey namm mujhe wapis kar do..



Diya diye se jala loon to chain aaye mujhe..

Wasi Shah

Diya diye se jala loon to chain aaye mujhe,
Tumhain galey se laga loon to chain aaye mujhe,

Mohabbton ke saheefay hain ya azaab koi,
Tere khatoot jala loon to chain aaye mujhe..

Watch Video



Woh mujhe chorr geya tha kisi rangeeni main..

Wasi Shah

Woh mujhe chorr geya tha kisi rangeeni main,
Woh jo ab dhoondta rehta hai kharabon mein mujhe,

Tum ne ik umar kiya hai nazar’andaaz Wasi,
Aur ab dhoondte phirte ho saraabon mein mujhe,

Zaroob-o-taqseem Wasi ishq mein la’hasil hai,
Jaaney kyon khojtay rehte ho hisaabon mein mujhe..



Mujhe us se mohabbat hai, Magar kese kahoon us se..

Wasi Shah

Mujhe us se mohabbat hai,
Magar kese kahoon us se,
Woh meri baat ko sanjeedgi se
kam hi leti hai,
Har ik pal muskurana
Khilkhilaana,
Doston per fikray qassna,
Nit’naye masoom mansoobay banana,
Shokh chanchal har gharri taaza shararat
main bohat masroof rehti hai,

Magar ik aur hadsha bhi hai mujh ko,
Main izhaar se
Iqraar se
khud rokay rakhta hai,
Ke mehke khawab bun’ne, khelne ka waqt hai uska,
Meri chahat
Kahin masoomiyat na cheen le uski,

Sadaa se hum ne dekha hai,
Mohabbat aadmi ko is’qadar sanjeeda karti hai,
Ke phir mehfil, tamashey, khel us ko bojh lagte hain,
Main darta hoon
Kahin yeh bhol’pan us ka,
Yeh har pal cheh’chihaana muskurana sab,
Meri izhaar se sanjeedgi mein na badal jaye,

Kahin us shokhh ko bhi rog koi,
Chup chaap na lag jaye,

Mujhe us se mohabbat hai,
Magar kese kahoon us se….



Mere lehje mein jo aansu se utar aye hain

Wasi Shah

Mere lehje mein jo aansu se utar aye hain,
Kitne barson ke sitam aankh main dar aye hain,

Tum gaye they to yeh dehleez na dekhi thi kabhi,
Aaj tum aaye to hum laut ke ghar aaye hain,

Jaane tanbeeha ki dhamki ke basharat hai koi,
Mere aangan mein jo tootay huye par aaye hain,

Ab hamain khauf hai jeeney ka na mar mitne ka,
Teri chokhat se jo aye hain to mar aye hain,

(tanbeeha;warning)(bahsarat;hint)



Kuch nahin paaye ga woh mujh se mohabbat kar ke

Wasi Shah

Zar ki namoos ki rasmon se baghaawat kar ke,
Kuch nahin paaye ga woh mujh se mohabbat kar ke,

Baiy’n karti huyi aankhain, yeh pareshan zulfain,
Aur kya chahte ho us se mohabbat kar ke,

Phool to phool hain zakhmon ke bhi nakhre hain yahan,
Hum ne dekha hai bohat in ki ibadat kar ke,

Yeh kisi jabr pe honton ko siyaa karte hain,
Zulam karte hain woh zaalim ki himayat kar ke,

Dil ke sehraao’n ki veeraaniya’n jati hi nahin,
Teri yaadon ne bhi dekha yahan hijrat kar ke,

Woh mere hijr ko bhi khail samajhta hai Wasi,
Laut jaye ga kisi roz sharaarat kar ke..



Choomna kya usey aankhon se lagana kesa

Wasi Shah

Choomna kya usey aankhon se lagana kesa,
Phool jo coat se gir jaye uthaana kesa,

Apne honton ki haraarat se jagaao mujh ko,
Yoon sadaaon se dam’e’subaah jagana kesa..



Teri Aankhon Ke Haseen Jaal Main Ajaon Ga Main

Wasi Shah

Teri aankhon ke haseen jaal mein aajaon ga main,
Mujh ko lagta hai teri chaal main aajaon ga main,

Zindagi baad tere hona thi mushkil lekin,
Yeh na socha ke is haal mein ajaon ga main,

Dekh kar us ko mujhe yad kare gi dunya,
Aik din us ke had’o’haal mein aajaon ga main,

Kitne mausam they jo de kar mujhe taanay guzre,
Tum to kehte they ke ik saal mein ajaon ga main,

Sur mein ajaye ga jeevan tere aa jane se,
Tere aaney se kisi taal mein aajaon ga main,



Mein Tere Lab Pe Hun Daireena Shikayat Ki Tarah

Wasi Shah

Mein Tere Lab Pe Hun Daireena Shikayat Ki Tarah
Yaad Rakha Hai TU Ne Mujh Ko Adaawat Ki Tarah

Chaand Niklay Tou Mera Jism Mehak Uthta Hai
Rooh Mein Utri Howi Taaza Mohabbat Ki Tarah

Teri Khatir Tou Koi Jaan Bhi Le Sakta Hun
Mein Ne Chaaha Hai Tujhe Gaon Ki Izzat Ki Tarah

Khul Rahi Hai Mere Daireena Masaail Ki Giraah
Mere Mahoul Mein Utra Hai Wo Barkat Ki Tarah

Ab Tere Hijr Mein Kuch Lutf Nahi Hai Baaqi
Ab Tujhe Yaad Bhi Kartay Hain Tou Aadat Ki Tarah

Tum Meri Pehli Mohabbat Tou Nahi Ho Laikin
Mein Ne Chaaha Hai Tumhain Pehli Mohabbat Ki Tarah

Wo Jo Aati Hai Tou Phir Lout Ke Jaati Hee Nahi
Tum Lipat Jao Kubhi Aisi Museebat Ki Tarah

Mere Dil Mein Koi Maasoom Sa Bacha Hai “Wasi”
Jo Tujhe Sochta Rehta Hai Shararat Ki Tarah



Raat bhar rootha raha..

Wasi Shah

Baar’haa aese laga,
Jese tera hath,
Mere baalon ko chuaa ho,
Tu ne mujhse kaha ho lekin,
Raat bhar rootha raha,
Tu ne manaya hi nahin…


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Wasi Shah.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari