Wasi Shah

Ranjish.com has lots of Urdu Wasi Shah Poetry. Feel free to add your own Wasi Shah Shayari here.

Wasi Shah Collection

Wasi Shah
1976-

Wasi Shah is young pakistani romantic poet. Poeple search Wasi Shah Poetry or Wasi Shah Shayari to read Wasi Shah Shayari. Wasi Shah Poetry is truely loved by urdu readers all over the world. Wasi Shah has wrote so many poetry books, some of them are Mere Ho Ke Raho and Mujhe Sandal Kardo.



Tanzz Karte Hain Jo Log Un Ko Dikhane Ke Liye

Wasi Shah

Tanzz karte hain jo log un ko dikhane ke liye,
Laut aao na mere yaar zamane ke liye,

Is liye bhi teri tasveer jala di mene,
Aur kuch tha hi nahin dil ko jalane ke liye,

Tere baayess hi to saktay ka hai aalam taari,
Khud ko naraaz kiya khud ko mananey ke liye,

Aaj phir shaam guzari hai usi jungle mein,
Un darakhton se tera naam mitaney ke liye,



Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai

Wasi Shah

Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai,
Sonay jese shakhss ko peetal kar deta hai,

Mere ishq mein shayed koi kami huyi ho,
Tera hussn to ab bhi paagal kar deta hai,

Aesi lazzat kahin nahin milti, shayed woh,
Apna pyaar bhi chaaye mein hall kar deta hai,

Dil mera veeran hua to hasrat kesi,
Hijar ka zeher to daryaa ko thall kar deta hai,

Mujh ziddi ko rab bhi raazi na kar paye,
Lekin teri aankh ka kaajal kar deta hai,

Tere lamss ka jadu bhi kesa jadu hai,
Jiss ko chuu le us ko sandal kar deta hai,

Tera chahra har chehre per chaa jata hai,
Yeh manzar har manzar aujhal kar deta hai,

Aankh ke registaa’n ko teri yaad ka badal,
Chuu jaye to pal mein jal’thall kar deta hai..



Kab talak tujh pe inhisaar karain

Wasi Shah

Kab talak tujh pe inhisaar karain,
Kyon na ab doosron se pyar karoon,

Tu kabhi waqt per nahin pohancha,
Kis tarah tera aitbaar karain..



Charha Howa Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka

Wasi Shah

Charha Howa Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka
Tumhara Chaahnay Waala Tou Mar Gaya Kab Ka

Na Meri Rooh Meri Hai Na Mera Jism Mera
Tera Wajood Tou Mujh Mein Utar Gaya Kab Ka

Wo Ik Shakhs Jo Sab Ko Sambhaalay Rakhta Tha
Tumhain Khabar Hee Nahi Hai Bikhar Gaya Kab Ka

TU Jis Ke Waadon Ko Dil Se Lagaye Baitha Hai
Wo Apni Baat Se Pyaaray Mukar Gaya Kab Ka

“Wasi” Mein Ishq Mein Ro Bhi Chuka Hun Mar Bhi Chuka Hun
Hudood-e-Jism Se Mein Tou Guzar Gaya Kab Ka



Ashkk girte rahe, dhol bajta raha..

Wasi Shah

Ashkk girte rahe, dhol bajta raha,
Log marte rahe, dhol bajta raha,

Ronqain lag gayi’n, roshni barh gayi,
Khawab jalte rahe, dhol bajta raha,

Kitne lachaar they, kitne be’bas they hum,
Hath milte rahe, dhol bajta raha,

Raqss they maseeha mere dam-be’dum,
Dil tarrapte rahe, dhol bajta raha..



Hum tere hijar mein andar se bikhar jate hain

Wasi Shah

Hum tere hijar mein andar se bikhar jate hain,
Zinda lagte hain magar asal mein mar jate hain,

Jab kabhi bolta hai hai hanss ke kisi aur se tu,
Kitne khanjar mere seeney mein utar jate hain,

Teri yaadon ki agar’batiyan jal uthte hi,
Hum tere dard ki khushbu’on se bhar jate hain,

Hum se awaara phira karte hain galiyon mein kahin,
Shaam hote hi Wasi log to ghar jaate hain..



Hum ne jo deep jalaye hain teri galiyon mein..

Wasi Shah

Hum ne jo deep jalaye hain teri galiyon mein,
Apne kuch khawb sajaye hain, teri galiyon mein,

Jaane yeh ishq hai ya koi karamat apni,
Chaand le ker chale aaye hain, teri galiyon mein,

Tazkraa ho teri galiyon ka to dar jata hai,
Dil ne woh zakhm uthaye hain, teri galiyon mein,

Is liye bhi teri galiyon se humain nafrat hai,
Hum ne armaan ganwaye hain, teri galiyon mein,

Kyon har ik cheez adhoori si lagti hai,
Jaane kya chorr aye hain, teri galiyon mein..



Hum Se Kya Poochte Ho Hijar Mein Kya Karte Hain

Wasi Shah

Hum se kya poochte ho hijar mein kya karte hain,
Tere laut aaney ki din raat dua karte hain,

Ab koi hont nahin in ko churaaney ate,
Meri aankhon mein agar ashk hua karte hain,

Teri tu jane, par aye jane-tamana hum to,
Saans ke sath tujhe yaad kiya karte hain,

Tu hi pehlu mein nahin warna december mein wahin,
Dhoop mein akhbaar parhaa karte hain,

Kabhi yaadon mein tujhe baa’hon mein bhar lete hain,
Kabhi khawbon mein tujhe choom liya karte hain,

Teri tasveer laga lete hain hum seeney se,
Phir tere khat se teri baat kiya karte hain,

Gar tujhe chorrne ki soch bhi aaye dil mein,
Hum to khud ko bhi wahin chorr diya karte hain..



Ab jo lotay ho itne saalon mein

Wasi Shah

Ab jo lotay ho itne saalon mein,
Dhoop utri huyi hai baalon mein,

Tum meri aankh ke samundar mein,
Tum meri rooh ke ujaalon mein,

Phool hi phool khill uthey mujh mein,
Kaun aaya mere khayalon mein,

Mene jee bhar ke tujh ko dekh liya,
Tujh ko uljhaa ke kuch sawalon mein,

Meri khushiyon ki kaayenat bhi tu,
Tu hi dukh dard ke hawalon mein,

Jab tera doston mein zikar aaye,
Theess uthti hai dil ke chaalon mein,

Tum se abaad hai yeh tanhai,
Tum hi roshan ho ghar ke jaalon mein,

Saanwli shaam ki tarah hai woh,
Woh na goron mein hai na kaalon mein,

Kya usey yaad aaraha hoon Wasi,
Rang ubhrey hain us ke gaalon mein…



Us ne meri Maan ko Ami Jaan kaha to

Wasi Shah

Pehli baar jab us ne meri maan ko ami jaan kaha to,
Mujh ko yu’n mehsoos hua,
Apna sab kuch chorr ke jese,
Ik lamhe mein,
Mera sab kuch us ne apna maan liya hai,
Mujh ko sab kuch jaan liya hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Wasi Shah.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari