Wasi Shah

Ranjish.com has lots of Urdu Wasi Shah Poetry. Feel free to add your own Wasi Shah Shayari here.

Wasi Shah Collection

Wasi Shah
1976-

Wasi Shah is young pakistani romantic poet. Poeple search Wasi Shah Poetry or Wasi Shah Shayari to read Wasi Shah Shayari. Wasi Shah Poetry is truely loved by urdu readers all over the world. Wasi Shah has wrote so many poetry books, some of them are Mere Ho Ke Raho and Mujhe Sandal Kardo.



Koi aljabrey ka sawaal ho tum..

Wasi Shah

Jis ko ik baar cherr dain to phir,
Chain ka aik pal nahin hota,

Koi aljabrey ka sawaal ho tum,
Jo kisi taur hall nahin hota..



Teri jabee’n pe likha tha ke tu bhula dega

Wasi Shah

Teri jabee’n pe likha tha ke tu bhula dega,
So mein bhi bhaamp geya tha ke tu bhula dega,

Har aik shakhs se larta raha mein tere liye,
Har ik ne mujhe se kaha tha ke tu bhula dega,

Yeh teri aankhon pe halqey se parr gaye kaise,
Mujhe to tu ne kaha tha ke tu bhula de ga ,

Nikaal laya hai ilzaam phir puraney tu,
Yeh hum ne tey’y bhi kiya tha ke tu bhula de ga,

Kuch is liye bhi ke ik til tha teri ankhon mein,
Mujhe to tab pata tha ke tu bhula de ga,



Gali Main Dard Ke Purzay Talash Karti Thi

Wasi Shah

Gali Main Dard Ke Purzay Talash Karti Thi
Mere Khatoot Ke Tukray Talaash Karti Thi

Kahan Gayi Wo Kunwari, Udaas Bee Aapa ?
Jo Gaon Gaon Mein Rishtay Talaash Karti Thi

Bhulaye Kon Azyat Pasandiyan Uski
Khushi Ke Dhair Main Sadmay Talaash Karti Thi

Ajeeb Hijr Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot’tay Pat’tay Talaash Karti Thi

Qayaam Karti Thi Wo Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udaas Rooh Ke Goshay Talaash Karti Thi

Tamaam Raat Wo Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay Wo Lamhay Talaash Karti Thi

Kuch Is Liye Bhi Mere Ghar Se Us Ko Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hee Pyaaray Talaash Karti Thi

Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijr Ke Harbe Talaash Karti Thi

Tamam Raat Wo Zakhma Ke Apni Pooron Ko
Mere Wajood Ke Raizay Talaash Karti Thi

Duaein Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Per
Baray Ajeeb Sahaaray Talaash Karti Thi

Mujhe to Aaj Bataya Hai Baadlon Ne ”Wasi”
Wo Laut Aanay Ke Raastay Talaash Karti Thi



Jo bhi deewar hai raste main giraa ke ro lain

Wasi Shah

Jo bhi deewar hai raste main giraa ke ro lain,
Aao ik doojay ko seene se laga ke ro lain,

Saamne tu hai to hum dil mein bhi ro sakte hain,
Yu’n karain hum tujhe baaton mein laga kar ro lain,

Tere aaney se yeh naraaz raha karte hain,
Jee mein hai aaj har ik gham ko manaa kar ro lain,



Main kahin bhi kisi nagar mein raha

Wasi Shah

Main kahin bhi kisi nagar mein raha,
Tere asaib ke asar mein raha,

Woh bhi paagal hua juda ho kar,
Umar bhar mein phir bhi safar mein raha,

Aik jadugari to thi tujh me,
Mein bhi kuch din tere asar mein raha,

Bheegta doobta raha dil mein,
Tera chehra meri nazar mein raha,

Pesh-kash maan li zamane ne,
Aur ek mein, Agar magar mein raha,



Jab koi naik kaam karte hain, Jaane-man tere naam karte hain,

Wasi Shah

Jab koi naik kaam karte hain,
Jaane man tere naam karte hain,

Tere chehre se dhoop lete hain,
Teri zulfon mein shaam karte hain,

Kis qadar tang hoon mohabbat se,
Log yeh kese kaam karte hain,

Un ki peshaaniyan chamakti hain,
Jo mohabbat ko aam karte hain,

Dil ke dalaa’n mein sajaa kar yaad,
Jashan ka ehtamaam karte hain,

Sochte hain tujhe wuzzu kar ke,
Yu’n tera ehtraam karte hain,

Hum se hi ibtidaa huyi jana’n,
Hum hi ab ehtamaam karte hain..



Jis se bandhe thay dono, wo gham nahi rahe hain..

Wasi Shah

Jis se bandhe thay dono, wo gham nahi rahe hain,
Tum tum nahi rahe ho, hum hum nahi rahe hain,

Chahat ke geet mein hai, koi kami yaqeenan,
Akhir tere mere sur jam nahi rahe hain,

Ro ro ke tere dukh, sehra sa ho gaya hoon,
Ab aankh ke kinaray bhi nam nahin rahe hain,

Lamhon ke pair par hain, kuch phool dard-e-gham ke,
Jeewan mein ab khushi ke mausam nahi rahe hain,

Tu aur simt mein hai, mein aur simt mein hoon,
Ulfat ke raastay ab baham nahi rahe hhain,

Fikr-e-muaash ne tu jazbon ko rond dala,
Aashiq wagarna hum bhi kuch kam nahi rahe hain,

Raahon mein ab kharha hoon, phelaae haath khali,
Gham thay mera asasa aur gham nahi rahe hain,

Tum hi the meri dunya, tum hi meri muhabbat,
Tum jo nahi tu dono aalam nahi rahe hain..



Jub Bhi Wo Shakhs “Wasi” Mujh Se Khafa Ho Jaye

Wasi Shah

Jub Bhi Wo Shakhs “Wasi” Mujh Se Khafa Ho Jaye
Ik Sunami Mere Seenay Mein Bapaa Ho Jaye

Dil Mein Phir Kuch Bhi Nahi Hoga Khalaon Ke Siwa
TU Kisi Roz Agar Mujh Se Judaa Ho Jaye

Wo Bohat Rakhta Hai Chaahat Ki Namazon Ka Hisaab
Wo Tou Ik Sajda Na Bakhshay Jo Qazaa Ho Jaye

Thapkian De Ke Sulaati Hai Teri Yaad Hamain
Neend Jis Raat Bhi Aankhon Se Khafaa Ho Jaye

Ye Tareeqa Hai Mohabbat Ki Ibaadat Ka “Wasi”
Os Ko Chhuu Lenay Se Ik Rukun Adaa Ho Jaye



Dil Mein Bikhray Howay Jaalon Se Pareshaan Na Ho

Wasi Shah

Dil Mein Bikhray Howay Jaalon Se Pareshaan Na Ho
Mere Guzray Howay Saalon Se Pareshaan Na Ho

Meri Aawaaz Ki Talkhi Ko Gawaara Kar Le
Mere Gustaakh Sawaalon Se Pareshaan Na Ho

Mein Ne Maana Teri Aankhain Nahi Khulti Hain Magar
Din Nikalnay De, Ujaalon Se Pareshaan Na Ho

Apni Zulfon Mein Utarti Howi Chaandni Ko Chhupa
Mere Bikhray Howay Baalon Se Pareshaan Na Ho

Ay Nayi Dost Mein Bharpoor Howa Hun Tera
Mere Maazi Ke Hawaalon Se Pareshaan Na Ho

Dekh Yun Door Na Ho Mujh Ko Laga Le Dil Se
Tu Meri Rooh Ke Chhaalon Se Pareshaan Na Ho

Khud Ko Veeraan Na Kar Mere Lye, Jaan Meri
In Pareshaan Khayaalon Se Pareshaan Na Ho



Jo Us Ke Saamne Mera Yeh Haal Aa Jaye

Wasi Shah

Jo us ke samne mera yeh haal aa jaye,
To dukh se aur bhi us par jamal aa jaye,

Mera khayal bhi ghunghru pehen ke nachey ga,
Agar khayal ko tera khayal aa jaye,

Har ek shaam naye khawab is pe garrhain ge,
Hamare hath agar teri shaal aa jaye,

Unhi dinon woh mere sath chaye peeta tha,
Kahin se kaash mera pichla saal aa jaye,

Main apne gham ke khazaney kahan chupaon ga,
Agar kahin se koi aur maal aa jaye,

Har aik baar naye dhang se sajayen tujhe,
Hamare hath jo phoolon ki dhaal aa jaye,

Yeh doobta hua suraj theher na jaye Wasi,
Agar woh saamne waqt-e-zawaal aa jaye..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Wasi Shah.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari