Zeeshan Sahil

Ranjish.com has lots of Urdu Zeeshan Sahil Poetry. Feel free to add your own Zeeshan Sahil Shayari here.

Zeeshan Sahil Collection

Zeeshan Sahil was a popular poet from Karachi, known for fighting a fatal disease.



Jo mere bass main hai uss se zeyada kya karna..

Zeeshan Sahil

Jo mere bass main hai us se zeyada kya karna..

Jo mere bass main hai us se zeyada kya karna,
Safar to karna hai us ka iraada kya karna,

Bas ek rang hai dil main kisi ke hone se,
Ab apne-aap ko is se bhi saada kya karna,

Jab apni aag hi kaafi hai mere jeene ko,
To mehhr-o-maaah se bhi istifaada kya karna,

Tere labon ke sivaa kuch nahin mayassar,
So fikr-e-saghar-o-saaqi-o-baada kya karna,

Tamaam kashtiyan saahil pe hain abhi thehri,
Abhi se in ko jalane ka vaada kya karna..

Safar to karna hai us ka iraada kya karna..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Zeeshan Sahil.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari