Send dard bhari poetry


Advertisements


dard bhari poetry

Welcome to the largest collection of dard bhari poetry. You can send these dard bhari poetry to Pakistan Send these mobile dard bhari poetry message to your friends and enjoy.

dard bhari poetry

Zindagi to bohat kam hai mohabbat k lie,

Rooth kr waqt gawane ki zarorat kia hai,

Rooth jane ki ada hum ko bhi ati hai,

Kash hota koi hum ko bhi mananay k liye…



Tanhai

dard bhari poetry


Subah tanhai, shaam tanhai
Hai zindagi ka ek naam tanhai

Woh khud kat gaya zamane se
Bewajah hui badnaam tanhai…



Ek Roz

dard bhari poetry


Ek roz mere hijr ki duniya me aake dekh,
Tanhaiyon ke dasht me dera laga ke dekh,
Hum ehl-e-wafa pyar ko ruswa nahi karte,
ye jan-e-wafa hum ko zara aazma ke to dekh



Shaam hony do

dard bhari poetry

Abhi sooraj nahin dooba, zara see shaam hone do,
Main khud hi lot jaaonga, mujhe NAKAAM hone do.

Mujhe bad-naam kerne k, bahaane dhoondte ho kyun?
Main khud ho jaaonga bad-naam, pehle naam hone do.

Abhi mujh ko nahin kerna hai, Aetraaf-e SHIKAST,
Main sab tasleem ker loonga, ye charcha aam hone do.
Mohabbat roog hoti hai kaha bhi tha
rula ker khud bhi rooti hai kaha bhi tha
kinaarey k qareeb ley jaa ker
yeh kashti ko daboti hai kaha bhi tha
isey tum dil ki dhurti ka pata mut do
yeh is mein dard booti hai kaha bhi tha
mohabbat k baad kushi mein ghum ki rut
buhat nazdeek hoti hai kaha bhi tha
luta ker dil ko roone se bhi kya hasil
buhat nayaab mooti hai kaha bhi tha
azul se is ki fitrut hai zamane ko
jaga ker khud sooti hai kaha bhi tha
yeh sir se paaon tuk bas raakh kerdeygi
BUHAT BEY DARD HOTI HAI KAHA BHI THA !!!!



Mery gham

dard bhari poetry

Mery gham mery liye hai ye janti hun main

khushiyan auron ko de ker hi to ye inaam kamaya hai mainy



Mery Geet

dard bhari poetry

Mane jo geet tery pyar ki khatir likhy

aj in geeton ko bazar main le aya hun

aj bazar main neelam uthy ga in ka

tu ne jin geeton pe rakhi thi mohabat ki asass

aj chandi k tarazoo main tully gi her cheez

mery afqaar, meri shayari, mera ehsas



Teri Bheegi Palkon Se Aansoon Chura Lenge Hum

dard bhari poetry

Teri Bheegi Palkon Se Aansoon Chura Lenge Hum,
Apni Yaad Se Tere Har Pal Ko Saja Denge Hum,
Pass Rahne Se Hi Pyar Sacha Nahin Kahlata,
Door Rah Ke Bhi Pyar Nibhana Jante Hai Hum



Kitaab Si Lagti Hai Yeh Zindagaani

dard bhari poetry

Kitaab Si Lagti Hai Yeh Zindagaani
Jinme Milengi Tumko Dhero Kahani,

Kuch Ankahee Si Baaten,Jo Alfaz Banke Rehgaye,
Aur Kuch Aise Khayalaat Jo Tufan Khadaa Kargaye

Khuch Panno Me Khushi K Rang Bhar Diye Gaye,
Kuch Be-Rang Hogaye Toh Kahi Rang Phike Padh Gaye

Har Kahani Ki Ajab Si Hai Daastan,
Hai Kahi Shuruwat Toh Kahi Khatam Hojate Hai Kaarwaa

Ashko Se Mit Chuke Hai Kuch Nishan,
Toh Kahi Daag Banke Reh Gayi Hai Galtiyan

Mohabbat Bhi Hai Yaha Jawan,
Toh Kahi Dard De Jati Hai Bewafaiyaa

Kuch Panne Aandhiyo Me Gumh Hogaye,
Toh Kuch Haalat Se Bebas Phaad Diye Gaye

Kuch Armaano Ko Liye Intezr Me Takhti Rahi,
Kuch Ro Roke Apno Ko Yaad Karti Rahi

Kai Panne Bagaawat Pe Utar Aayi,
Toh Kuch Maayus Hoke Kuch Na Keh Payi



Shaan Se Pyar Ka Izhar Karenge

dard bhari poetry

Shaan Se Pyar Ka Izhar Karenge
Teri Mohabbat Pe Jaan Bhi Nisar Karenge

Dekh K Jalegi Duniya Saari,
Is Kadar Tujhpe Aitbaar Karenge

Denge Salaami Sab Humko,
Jab Pyar Ko Hum Bayaan Karenge

Daulat Aur Shaurat Ka Kya Hai Kaam,
Teri Khushi Mein Khudko Nichaawar Karenge

Har Ghadi Ho Bus Tera Deedar
Waqt Se Hum Yahi Iltijaa Karenge

Saaye Ki Tarah Tujhse Liptey Rahenge
Duniya Ki Buri Nazar Se Tujhe Bachaya Karenge

Dard Se Na Rahe Tere Taalukat Kabhi
Khuda Se Bus Yahi Fariyad Karenge

Khatam Na Ho Kabhi Pyar K Silsiley
Qayaamat Tak Tera Hum Intezar Karenge..



Aankh Ko Jaam Likho Zulf Ko Barsaat Likho

dard bhari poetry

Aankh Ko Jaam Likho Zulf Ko Barsaat Likho
Jis Se Naaraaz Ho Uss Shakhs Kee Har Baat Likho

Jis Se Milkar Bhee Na Milne Kee Kasak Baaqee Hai
Usee Anjaan Shanaasaa Kee Mulaaqaat Likho

Jism Masjid Kee Tarah, Aankhein Namaazo?n Jaisee
Jab Gunaaho?n Mein Ibaadat Thee Vo Din -Raat Likho

Iss Kahaanee Ka To Anjaam Vahee Hai Jo Thaa
Tum Jo Chaaho To Muhabbat Kee Shuruaat Likho

Jab Bhee Dekho Use Apnee Nazar Se Dekho
Koee Kuchh Bhee Kahe Tum Apne Khayaalaat Likho


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more dard bhari poetry.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari