Send dard bhari poetry


Advertisements


dard bhari poetry

Welcome to the largest collection of dard bhari poetry. You can send these dard bhari poetry to Pakistan Send these mobile dard bhari poetry message to your friends and enjoy.

Mustafa s.a.w Se Kih Dena

dard bhari poetry

Aey Saba Mustafa s.a.w Se Kih Dena,
Gham Ke Maare Salam Kihte Hein
Yaad Karte Hein Unko Sham-o-Sehar,
Dil Hamare Salam Kihte Hein
Allah Allah Hazoor Ki Baaten,
Marhaba Rang-o-Noor Ki Baaten
Chand Jin Pe Nisar Hota Hay,
Aur Taare Salam Kihte Hein
Jab Muhammed Ka Naam Aata Hay,
Rehmaton Ka Payam Aata Hay
Lab Hamare Darood Parhte Hein,
Dil Hamare Salam Kihte Hein
Allah Allah Hazoor Ke Gesoo,
Bheeni Bheeni Mehakti Wo Khushbu
Jin Se Mamoor Hay Fiza Har Soo,
Wo Nazare Salam Kihte Hein
Zaer-e-Taiba Tu Madine Mein,
Piyare Aaqa Se Itna Kih Dena
Aapki Gard-e-Raah Ko Aaqa Be Sahare Salam Kihte Hein
Aey Saba Mustafa Se Kih Dena,
Gham Ke Maare Salam Kihte Hein
Yaad Karte Hein Unko Sham-o-Sehar,
Dil Hamare Salam Kihte Hein



Thori si ibadat

dard bhari poetry

thori si ibadat bohut sa sila deti hai
ghulab ki tarha cheha khila deti hai
ALLAH ki yaad ko dil se jane na dena
Kabhi kabhi choti si DUA arsh hila deiti hai



Aab Hai Sharab Hai

dard bhari poetry

Aab Hai Sharab Hai Aur Ummeed Uske Aane Ki
Kya Aur Chahiye Koi Wajah Jashn Manane Ki

Har Ghadi Wo Mera Imtihaan Lete Hai
Aaj Baari Hai Meri Unko Aazmane Ki

Na Bahao Ashko Ko Yu Ki Kam Pad Jayenge
Ye To Shuruaat Hai Mere Dard Ke Fasane Ki



Dukh Dard Kay Maaron

dard bhari poetry

Dukh Dard Kay Maaron Say Mera Zikar Na Karna?
Ghar Jao Toh Yaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Woh Zabt Na Kar Paayein Gi Aankhon Kay Samandar?
Tum Raah Guzaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Phoolon Kay Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sadaa Say?
Daikho Kabhi Khaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Shayed Yeh Andheray Hi Mujhe Raah Dikhayein?
Ab Chand Sitaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Woh Meri Kahani Ko Ghalat Rung Na Day Dein?
Afsana Nigaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Shayed Woh Meray Haal Pay Be-Sakhta Ro Dein?
Is Baar Bahaaron Say Mera Zikar Na Karna?

Lay Jaayein Gi Gehraai Mein Tum Ko Bhi Baha Kar?
Darya Kay Kinaron Say Mera Zikar Na Karna?

Woh Shakhs Milay Toh Usay Har Baat Batana?
Tum Sirf Ishaaron Say Mera Zikar Na Karna?



Woh Button Ne Dale Hain Was-Wase Ke Dilon Se

dard bhari poetry

Woh Button Ne Dale Hain Was-Wase Ke Dilon Se Khof-E-Khuda Gia
Woh Pari Hain Roz Qiamtain K Khial-E-Roz-E-Jaza Gia

Jo Nafas Tha Khargoo Bana, Jo Uthe To Haath Lahoo Hue
Woh Nishat-E-Ah-E-Sehar Gayee Woh Waqar Dast-E-Dua Gia

Jo Talab Pe Ehd-E-Wafa Kia To Aabroo-E-Wafa Gayee
Sar-E-Aam Hue Jab Muddaee To Sawab-E-Sidaq-O-Safa Gia

Abhi Badban Ko Teh Rakho Abhi Muztarab Hay Rukh-E-Hawa
Kisi Raste Main Hay Muntazir, Woh Sakoon Jo Aa K Chala Gia



Tumne Humko Aajmaya Na Sahi

dard bhari poetry

Tumne Humko Aajmaya Na Sahi,
Humse Kuchh Farmaya Na Sahi

Humne To Socha Tha Ki Tum,
Har Mod Par Humara Saath Doge

Par Tumne Saath Nibhaya Na Sahi
Dil Tood Kar Tum Humara,

Yun Chal Diye Tanha Chhod Kar
Humne Tukadon Ko Uthaya Na Sahi

Bas Ek Chirag Ki Roshani Liye,
Chal Rahe The Raston Par

Us Chirag Ne Rasta Dikhaya Na Sahi
Tay Kiya Ta Umar Teri,

Yadon Ke Sahare Guzar Denge
Par Teri Yadon Ne Bhi Saath Nibhaya Na Sahi

Zindagi Se Khafa Hokar,
Chal Pade The Khudkhushi Karne

Humko Mout Ne Bhi Gale Lagaya Na Sahi
Humse Kuchh Farmaya Na Sahi,

Tumne Humko Aazmaya Na Sahi



Aandhiyon Main Aur Chaliye

dard bhari poetry

Aandhiyon Main Aur Chaliye
Ladkhadate Ab Kahaan Tak

Ek Aawaraa Dhuain Se
Udiye Kis Kis Aasmaan Tak

Gham Ki Gehari Khaaiyon Main
Aur Bahiyega Kahaan Tak

Haath Main Angaar Rakhiye
Aur Kitane Imtihan Tak

Dhoondhane Ke Silsile Dil
Aur Kitane Kaarwaan Tak

Chal Chalain Ab To Safar Par
Is Jahaan Se Us Jahaan Tak



Tu Hi Bata Zindagi Jo Bhi Hua Kyon Hua

dard bhari poetry

Tu Hi Bata Zindagi Jo Bhi Hua Kyon Hua
Khoi Hai Kyon Har Khushi Kiski Lagi Bad-Dua

Tu Hi Bata Zindagi Jo Bhi Hua Kyon Hua
Khoi Hai Kyon Har Khushi Kiski Lagi Bad-Dua

Kise Kise Jawab Do Bhuja Bhuja Yeh Dil Hai Kyon
Kya Main Kahoon Bikhra Kyon Sapna Mera

Tu Hi Bata Zindagi Jo Bhi Hua Kyon Hua
Khoi Hai Kyon Har Khushi Kiski Lagi Bad-Dua

Bheege Bheege Din Kali Raatein
Aasoon Ke Jaise Barsatein

Bheege Bheege Din Kali Raatein
Aasoon Ke Jaise Barsatein

Puche Mujhse Jo Dil Ki Baatein
Kya Main Kahoon Dard Kyon Dil Ko Mila

Tu Hi Bata Zindagi Jo Bhi Hua Kyon Hua
Suna Suna Sa Hai Ab Yeh Mann

Doobi Doobi Si Hai Ab Dhadkan
Suna Suna Sa Hai Ab Yeh Mann

Doobi Doobi Si Hai Ab Dhadkan
Jaaon Kahan Ab Yahi Hai Uljhan

Kya Main Kahoon Khoya Kyon Rasta Mera
Tu Hi Bata Zindagi Jo Bhi Hua Kyon Hua

Khoi Hai Kyon Har Khushi Kiski Lagi Bad-Dua
Kise Kise Jawab Do Bhuja Bhuja Yeh Dil Hai Kyon

Kya Main Kahoon Bikhra Kyon Sapna Mera
Tu Hi Bata Zindagi Jo Bhi Hua Kyon Hua



Tumhare Kaam Na Aayega

dard bhari poetry

Kal Mera Tassvur Tumhare Kaam Na Aayega
Yaad To Rahega Ye Chehra Tumhe

Shayad Fir Hontho Pe Mera Naam Na Aayega
Karenge Jane Kitane Phool Raho Pe Intezar Tumhara

Fir Kabhi Shayad Un Raho Pe Mera Makam Na Aayega
Aahaten Meri Sunayi Dengi Tanhayi Ke Galiyaro Me Tumhe

Dard Hoga Mujhe Aur Tumhe Aaram Na Aayega
Kitabo Me Dabe Phul Chup Rahenge Ye Soch Ka

Ki Shayad Abb Unka Koi Anjam Na Aayega



Yaadein Akasar Logo Ki Yaad Dila Jaati Hai

dard bhari poetry

Tere Aane Ki Ummid Me Ek Paigam Likaha Hai
Ashko Ki Shyahi Se Tujhe Salam Likha Hai

Adhure Se In Khwabo Me
Rutha Hua Tera Naam Likha Hai

Aaj Bhi Tere Intezar Me Raahen Udas Ho Thi
Tere Na Aane Dard Raha Dil Me Kuch Soch Ye Aakhiri Kalaam Likha Hai

Tu Kar Khushiyo Ki Mehfile Aabad
Meri Duaao Ne Ibadat Me Subho-Sham Likha Hai

Tu Na Aayega Ye Maloom Na Tha
Shayad Kismat Ne Meri Ummido Ka Yahi Aanjaam Likha Hai

Beh Rahi Hai Lahar Dhadkano Ki Dhire Dhire
Usi Ret Pe Mohabbat Naam Likha Hai

Tere Aane Ki Ummid Me Ek Paigam Likaha Hai


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more dard bhari poetry.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari