Send dard bhari poetry


Advertisements


dard bhari poetry

Welcome to the largest collection of dard bhari poetry. You can send these dard bhari poetry to Pakistan Send these mobile dard bhari poetry message to your friends and enjoy.

LAHO HAR LAFZ ROTA HAI

dard bhari poetry

Yehi wada lia tha na
Hmaisha khush he rehna hai
To daikho, daikh lo a kar
Meri ankhun ko daikho tum
Yeh kitni shokh lagti hain
Mere honton ko daikho tum
Hmaisha muskuratay hain
Koi bhi gham agar aya
Isy hans kar saha main ne
Mere chehry ko daikho tum
Hmaisha purskun hoga
TU SOCHO GAY?
Kiya tha mein ne jo tum se
Wo wada kar dia pora,
Magar ek bat hai pyare,
Kbhi jo waqt mil jay
To meri shayri parhna,
Tmhain mehsos tu hoga,
Kahein talkhi bhara lehja
Kahein pe sard sa lehja,
Kehein pe dard ki jhealain
Kehein lehje ki karwaht,
SUNO?
Mein khush tu hon lakin
LAHO HAR LAFZ ROTA HAI
LAHO HAR LAFZ ROTA HAI?!



Yeh dard mit gaya tu phir?

dard bhari poetry

Yeh dard mit gaya tu phir?
Yeh zakhm sil gaya to phir?
Bichar kar sochta hon mein
Woh phir say mil gaya tu phir?
Mein titlion k shehar mein
Rahon tu mujh ko fikar hai
Woh phool jo khila nahin
Woh phool khil gaya tu phir?
Tujhay bhi kuch nahi mila
Mujhay bhi kuch nahi mila
Tamam umar k liye
Yeh dard mil gaya tu phir?



kuch is tarah se pyar kar bethe

dard bhari poetry

kuch is tarah se pyar kar bethe hum ke khud ko hi sambhal na paye,
har waqt yu to the hons me hum par kambakth unko ye samja na shake,
saath chale rahe unke magar unko ye ahsaas dila na shake,
pyar to unko bhi tha hamse magar who keh na sake, aur hum samaj na shake



Ye dil tujhe itni shiddat se chahta kyu hai

dard bhari poetry

Ye dil tujhe itni shiddat se chahta kyu hai
Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai

Tu kitna bhi mujhse talkh e talluk rakhle
Zikr phir bhi tera meri zaban pe aata kyu hai

Yuh to hai kayi fasle tere mere bich
Lgata phir bhi tu mujhko meri jaan sa kyu hai

Teri furkat main tadapne ki ho chuki hai adat meri
Tere dur hone ka phir bhi ehsaas mujko rulata kyu hai

Ye jaanti hu ke tujhko nahi mohabbat mujhse
Magar phir bhi lab pe mere tera hi naam aata kyu hai

Hai yaqeen tujhko paana na hoga mumqeen mere liye
Ye dil phir bhi roz umeed ki shama jalata kyu hai

Mehsus ki hai berukhi teri baato mian kayi baar maine
Lehjo wo phir bhi tera mujhko itna bhata kyu hai

Hai khabar mujhko nikalega tu meri chahat ka janaza ek din
Mann mera phir bhi tere khwab sajata kyu hai

Gar bichad na hi hai to khuda humko milata kyu hai
KAMSIN ko akhir wo itna satata kyu hai

Dil mera tujhko itni shiddat se chahta kyu hai
Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai.



chup hai har waqt ka rone waala

dard bhari poetry

chup hai har waqt ka rone waala;
kuchh na kuchh aaj hai hone waala.
ek bhi ashq nahin hai aankhon mein;
sakht-jaan? kitna hai rone waala.
aaj kaanton ka bhi haqdaar nahin;
haar phoolon ke pirone waala.
kho gayaa dard ki tasweeron mein;
pyaar ke rang bhigone waala.
fasl ashqon ki ug aayee kaise;
kyaa kahe ?kahkahe bone waala.
baant-ta firta hai auron ko hansee;
khud ko ashqon mein dubone waala.
mutmayeen ab hain yahi soch ke hum;
ho rahega hai jo hone waala.
SHAUQ !?tum jiske liye marte ho?
..wo?tumhaaraa nahin hone waala?


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more dard bhari poetry.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari