Send dard bhari poetry


Advertisements


dard bhari poetry

Welcome to the largest collection of dard bhari poetry. You can send these dard bhari poetry to Pakistan Send these mobile dard bhari poetry message to your friends and enjoy.

Insaan Mein Haivan

dard bhari poetry

Insaan Mein Haivan Yahan Bhe Hai Vahan Bhi
Allah Nigah-E-Baan Yahaan Bhi Hai Vahan Bhi

Khunkhaar Darindo?n Ke Faqat Naam Alag Hain
Shahro?n Mein Bayaabaa?n Yahaan Bhi Hain Vahaan Bhi

Rahmaan Ke Qudarat Ho Ya Bhagvan Ke Moorat
Har Khail Ka Maidaan Yahaan Bhee Hai Vahaan Bhi

Hindo Bhi Maze Mein Hain Musalman Bhi Maze Mein
Insaan Pareshan Yahan Bhi Hai Vahan Bhi

Uthata Hai Dil-O-Jaan Se Dhuaa?n Dono Taraf Hey
Ye ?Meer? Ka Deevan Yahan Bhi Hai Vahan Bhi



Husn Pari Kaa Andekhaa Sapanaa

dard bhari poetry

Kisi Husn Pari Kaa Andekhaa Sapanaa Hun
Dil Me.N Rah Ke Naa Jaagii Woh Tamannaa Huu.N

Un Surkh Labon Talaq Jab Le Ga_ii Thi Kismat
Chhuune Se Pahale Tuut Gayaa Woh Paimaanaa Huu.N

Jis Ghar Se Ho Ke Rusawaa Nikale Ka_ii Yaar
Uss Ghar Kaa Mai.N Nayaa Mahmaan Huu.N

Ghamon Ke Kaale Baadal Kitane Ubhar Aaye
Baaho.N Me.N Leke Bhii Naa Barasaa Woh Aasamaan Huu.N

Unke Gesu_on Se Jo Khuub Khelatii Rahii
Uss Sabaa Ki Shokhiyo.N Se Badgumaan Huu.N

Waqt Ne Jise Kabhii Ban Ne Nahii.N Diyaa (Asir)
Uss Adhuurii Kahaanii Kaa Anjaam Huu.N



Dil Mere Tu Kiske Liye Dhadakta Hai

dard bhari poetry

Dil Mere Tu Kiske Liye Dhadakta Hai
Tere Ehsaaso Ko Kaun Yaha Samajhta Hai

Tu Kyun Kisipe U Marta Hai
Har Koi Is Matlabi Duniya Me Jeeta Hai

Khusi K Liye Kyun Har Pal Tarasta Hai
Yaha Toh Gamh Hi Khubsurat Lagta Hai

Armaano Ko Liye Kyun Machalta Hai
Unko Adhura Rehte Dekh Jeeya Jalta Hai

Tuth Kar Bhi Kyun Tu Sambhalta Hai
Yaha Tuje Phir Bikharna Padhta Hai

Bharosa Kyu Itna Karta Hai
Yaha Har Ghadi Insan Chehra Badalta Hai

Tu Kyun Jaan U Chidakta Hai
Woh To Tera Katil Bana Phirta Hai

Pagal Dil,Tu Kyun Nahi Samajhta Hai
Teri Halat Dekh Har Koi Hasta Hai

Tere Liye Kisika Nafrat Hi Acha Hai
Yaha Toh Pyar Bhi Bahot Sasta Hai..



Bagair Mere Tujhe Chain Aa Nahii

dard bhari poetry

Bagair Mere Tujhe Chain Aa Nahii.N Sakataa
Meraa Javaab Kahii.N Se Tuu Laa Nahii.N Sakataa

Hazaar Parde Bhii Daalo Agar Banaavat Ke
Dilo.N Kii Baat Ko Cheharaa Chhupaa Nahii.N Sakataa

Banaa Diyaa Hai Zamaane Ne Dil Ko Patthar Kaa
Sataaye Ko_ii Bhii Mujh Ko Rulaa Nahii.N Sakataa

Hasiin Taaj Mahal Ke Banaane Vaalaa Bhii
Dilo.N Ke Tuute Gharau.Nde Banaa Nahii.N Sakataa



Jab Hum Udas Rahen

dard bhari poetry

Jab Hum Khush Hain ,
Tab Bahut Pyaari Hai Jindagi;

Jab Hum Udas Rahen,
Tab Dukh Bhari Hai Jindagi;

Jab Dil Ko Koi Achchha Lage ,
Tab Rangeen Hai Jindagi;

Jab Mann Soch Mein Dooba Rahe,
Tab Bahut Gaheri Hai Jindagi;

Jab Kathinaiyan Samne Aaye,
Tab Mushkilon Se Ladna Hai Jindagi;

Jab Hoonsala Afjaayi Ho ,
Tab Prerna Hai Jindagi;

Jab Kisi Ke Samne Jhukna Pade ,
Tab Khaamosh Hai Jindagi;

Jab Bahut Kuch Sahna Pade ,
Tab Lachar Hai Jindagi;

Jab Duniya Sachchhi Lage ,
Tab Masoom Hai Jindagi;

Jab Jhoot Se Dhaki Sachchhayi Samne Aye ,
Tab Dardnak Hai Jindagi;

Jab Dil Toot Jaye ,
Tab Gamoon Se Ghiri Hai Jindagi

Jab Prem Mile ,
Tab Anurag Hai Jindagi;

Jab Kuch Samajh Na Aaye ,
Tab Ghor Andhera Hai Jindagi;

Jab Raasta Najar Aaye ,
Tab Nayi Subah Hai Jindagi;

Jab Sapne Bikhar Jaaye ,
Tab Aankon Ka Nam Hona Hai Jinagi;

Jab Sapne Sakar Hon ,
Tab Pagalpan Hai Jindagi;

Apno Ke Prati Pyaar Hai Jindagi,
Unke Liye Kuch Bhi Kar Kujarne Ki Chahat Hai Jindagi;

Aur Toh Aur
Gairon Ko Apna Bnaaye Ye Jindagi;

Sach Poochoo Toh Ae Dost,
Paristithi Ke Saanche Main
Khud Ko Dhalna Hai Jindagi.



Tum Kya Gaye Zindagi Le Gaye

dard bhari poetry

Tum Kya Gaye Zindagi Le Gaye
Rang Mere Khwaabon Ka Har Khushi Le Gaye

De Gaye Ik Kasak Jagaane Ko Raat Bhar.
Mere Woh Muskuraana Woh Hansi Le Gaye

Bujh Gayee Aankhen Ghul Gayaa Andheraa.
Jaate Jaate Chiraaghon Se Roshni Le Gaye

Le Gaye Mere Rangon Se Khushboo Ki Rooh .
Meri Jabeen Se Zeest Ki Lakeearin Le Gaye

Main Baithaa Rahaa Saawan Ki Chaah Main
Youn Mere Chashm E Tarr Se Nami Le Gaye.

Youn Beeta Meri Jaan Teri Furqat Ka Zamaana
Mere Lamhon Se Waqt Ki Jumbish Le Gaye



Na Karo Ishq Tamam Mulk

dard bhari poetry

Na Karo Ishq Tamam Mulk Isi Oar Tha
Phir Kuchh Adaw Jamane Ka Kuchh
Apna Bhi Dil Kamjor Tha.



Mer Zindagi Sulgi Aag Hai

dard bhari poetry

Mer Zindagi Sulgi Aag Hai
Kabhi Jal Gayi Kabhi Dhuan Dhuan;



Gher Se Chale Hum To Ke

dard bhari poetry

Gher Se Chale Hum To Ke
Manzil Mil Hi Gayi
Warna Teri Manhushiyat Mein
Koi Kami Na Thi.



Kai Bar Diye Tune Dhokhe

dard bhari poetry

Kai Bar Diye Tune Dhokhe ;
Wade Tere Sachhe Nahi Lagte;
Tujhko Bewafa Bhi To Keh Nahi Sakta;
Per Tere Karname Kuchh Achhe Nahi Lagte.


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more dard bhari poetry.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari