Send dard bhari poetry


Advertisements


dard bhari poetry

Welcome to the largest collection of dard bhari poetry. You can send these dard bhari poetry to Pakistan Send these mobile dard bhari poetry message to your friends and enjoy.

Dekh Mere Aangan Mein Baharein

dard bhari poetry

Dekh Mere Aangan Mein Baharein
Log Milne Aate Hain;
Sunke Aagaz Khiza Ka Sabhi
Daman Chhudate Hai.



Mai Kaise Rok Dun Apne Thirakte

dard bhari poetry

Mai Kaise Rok Dun Apne Thirakte Kadamon Ko;
Ishara Hai Unka Abhi Nachte Raho.

Muddaton Baad Unhein Mudke Dekhna Bhi Kya;
Ger Wo Dekh Bhi Rahe Hon To Karna Bhi Kaya.

Khuda Ne Tere Lawon Ko Kya Haseen Mod Diya Hai;
Kayamat Ko Hi Jaise Khula Chhod Diya Hai.



Jab Kabhi Fairist Bane Bewafa Logon Ki

dard bhari poetry

Jab Kabhi Fairist Bane Bewafa Logon Ki;
Awwal Number Pe Usmein Naam Mere Mehboob? Ka Likhna.

Yun To Mere Samne Usne Jamane Ka Haal Poocha;
Jane Kyun Ek Nazer Faqat Mujhper Nahi Padi.

Gujere Jamane Ki Kitab Ka Ek Safa Ban Jayeinge.
Ayega Bulawa Aur Hum Bhi Chale Jayenge.

Aakhir Kyun Na Ho Mujhko Gujere Jamane Ka Malaal;
Her Gum Ko Bhool Jata Hun Jab Aata Hai Un Lamhon Ka Khayal.

Raste Ke Mushafiron Ka Bharosa Kaisa;
Ayegi Unki Manzil Aur Humse Bichhad Jayenge.

Muddaton Baad Hua Aaj Phir Pareshan Dil;
Jane Kis Haal Mein Hoga Ab Mera Qatil.



Lout Paatey Naheen

dard bhari poetry

Lout Paatey Naheen, Uthh Kar Wahaan Jaaney Waaley!
Dard Kitnaa Bhi Koyi Zehn-O-Jigar Mein Paaley!
Yoon To, Hotey Hain Yaheen Paas Hawaaoun Mein Kaheen:
Uyoon-E-Nou Ko Bhi Parhtey Hain Nazar Key Laaley!!



Rok Rahaa Hai Gaanw

dard bhari poetry

Kaisey Aauun, Priya, Wahaan?
Kaisey Rokoon Paanw?
Mat Jaaou! Maano Kahaa
Rok Rahaa Hai Gaanw



Tum To Aaye Nahin

dard bhari poetry

Priya, Tum To Aaye Nahin
Jaag Huyee Hai Bhor
Kyoun Na Aaj Mein Hee Parhoon
Nikal Tumhaaree Aor?



Kahaan Ley Chaley Ho Mujhey

dard bhari poetry

Kahaan Ley Chaley Ho Mujhey?
Meyrey Kheywanhaar!
Sammukh Jal Hai, Kshitij Hai;
Par, Kyaa Hai Us Paar?



Ek Naujawan Hain Hum

dard bhari poetry

Abhi Na Tajurbekar Ek Naujawan Hain Hum
Akl Ki Baaton Mein Thode Bejuwan Hain Hum.

Ab Ho Gaye Gulam Unke Aashiki Mein Hum
Yun To Kal Tak Apne Dil Ke Badshah The Hum.

Ye Dil Ke Her Zidd Pe Dum Tod Raha Hai
Nadan Ki Khahishon Se Bade Pareshan Hain Hum.

Kya Daur Aa Gaya Hai? Ke Aaram Nahi Hai
Baithe Baithe Bhi Aaj Kal Rawan Rawan Hain Hum.

Chahein To Aasman Ko Jami Per Utar Lein
Bus Jara Kuwwat Se Apni Gumsuda Hain Hum.

Kal Waqt Ko Lautani Hain Ye Sari Takatein
Abhi To Apni Duniya Ke Shehenshah Hain Hum.



Aasman Samjh Main Nahi Aata

dard bhari poetry

Kabhi Jami Kabhi Aasman Samjh Main Nahi Aata
Is Dil Ka Thikana Bhi Samjh Main Nahi Aata

Meri Aankhein Uski Yaadon Ke Charag To Nahi
Kyun Aaye Bus Wo Hi Nazer Samajh Main Nahi Aata.

Chahe Anchahe Mai Use Yaad Kiya Karta Hun
Ye Lat Hai Ya Aadat Samajh Main Nahi Aata.

Kamabakhat Aashiqi Ne Jeena Haram Ker Diya
Use Bhuloo Ya Apni Jaan Dun Samajh Mein Nahi Aata.

Is Taraf Mera Gher Hai Us Taraf Uska Gher
Idher Jaun Ya Udher Samajh Main Nahi Aata.

Pagal Sa Banke Reh Gaya Kuchh Soch Sochker
Pehle Hasun Ya Roun Samajh Mein Nahi Aata.

Lifafa Fat Chuka Majmoon Bhi Kafi Purana Ho Gaya
Use Dun Ya Khat Jala Dun Samajh Mein Nahi Aata.

Uski Wafa Pe Ab Mujhe Shaq Hone Laga Hai
Use Yaar Kahun Ya Gaddar Samajh Mein Nahi Aata.

Raqeebon Ke Sath Baithe Hain Ajeej-O-Mohatrim
Kaise Karun Salam Samajh Mein Anhi Aata.

Samjhale Dil Ko Mastghan Kuchh Aur Na Samajh
Phir Khud Samajh Jayega Jo Samajh Main Nahi Aata.



Waqt Guzer Jata Hai

dard bhari poetry

Apna To Ye Sochker Waqt Guzer Zata Hai
Kyu Dur Jane Ke Liye Koi Karib Aata Hai.

Wo Jane Kaise Apne Dilse Mujhe Bhula Baitha
Mai Ger Bhulna Chahu To Bhula Bhi Yaad Aata Hai.

Tab Nikherti Hai Kahin Jindagi Ki Asli Surat
Ashq Jab Aapke Daman Pe Bikher Jata Hai.

Tadap Tadap Ke Tujhe Taumra Yaad Karta Rahun
Kuchh Aur De Na Jakhm To Bher Jata Hai.

Yun To Mai Khud Bhi Tujhper Tabajjoh Nahi Deta
Mera Jehen Hai Ke Her Bar Udher Jata Hai.

Beshaq Bahar Sooni Sooni Si Lagti Hai
Bul Bul Ke Chale Jane Se Kya Bagh Ujad Jata Hai.


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more dard bhari poetry.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari