Send dard bhari poetry


Advertisements


dard bhari poetry

Welcome to the largest collection of dard bhari poetry. You can send these dard bhari poetry to Pakistan Send these mobile dard bhari poetry message to your friends and enjoy.

Mileygaa Kyaa Tumhain

dard bhari poetry

Yeh Bahtaa Khoon-E-Insaan Kah Rahaa Hai, Ruko Shaitaanou
Kaheen Aisaa Na Ho, Taameer-E-Rab Khatrey Mein Parh Jaaye?

Mileygaa Kyaa Tumhain, Ae Qaatilo, In Beygunaahoun Kaa
Bahaa Kar Khoon, Ley Kar Jaan Khaatoonoun Ki, Bachchoun Ki?

Bataaou Koun Saa Mazhab Hai, Jis Mein Farz Ho Yeh Sab?
Zameen Hai Jannat-E-Insaan, Banaaou Mat Isey Dozakh

Zaraa Socho, Yeh Harkat Kaayaraanaa Kar Rahey Ho Kyoun?
Tumhain Uksaa Rahey Hain Jo, Wo Waarish Hain Yazeedoun Key

Khudaa Kee Rahmatoun Sey Door, Dozakh Mein Girogey Jaa
Musalmaan, Bouddh, Hindu, Sikh, Isaayee, Paarsee, Jainy
Sabhi Martey Hain, Jab Bhi Tum, Bharhak Kar, Forhtey Ho Bam



Waisey To Jaantey Hain Sab

dard bhari poetry

Aap Key Jigar-O-Dil ?Navneet?-Sey Mulaayam Hain
Zulm Kyaa Cheej Hai, Waisey To Jaantey Hain Sab

Aap Gahraayee Sey Mahsoos Kar Fafaktey Hain
Ham To Aansoo Bhi Bahaa Paatey Naheen Hain Utney

Ham Samajhtey They Wazeeroun Ko Sharm Aayegee
Un Kee Aouqaat Pai, Ab Ham Ko Sharm Aatee Hai

Woh To Rahtey Hain Fouziyoun Sey Ghirey Pahroun Mein
Aam Logoun Kaa Khoon Bahtaa Hai Baazaaroun Mein
Koyee Batlaaye Yeh Kaisee Namak-Halaalee Hai?



Dahar Guzarey Hain

dard bhari poetry

Dahar Guzarey Hain, Pai, Dour-E-Hayaat Zindaa Hai!
Tootati-Jurhati Rah-E-Zeest Bhi Paaindaa Hai!
Shab-E-Roshan Hai, Sitaarey Hain, Chaand Hai Sir Par!
Supurd-E-Khak Huyaa Bhi, Adeeb Zindaa Hai!!



Koyee Beygaanah Naheen Hai

dard bhari poetry

Koyee Beygaanah Naheen Hai Yahaan, Wahaan Yaa Kaheen
Mein To Insaanee Khaandaan Kaa Hoon Ik Waarish
Koyee Shikwaa Naheen Hai; Mein Bhi Chook Jaataa Hoon
Galt Kartey Naa, To, Insaan Naheen, Khudaa Hotey



Aam Logoun Kaa Khoon

dard bhari poetry

Jaan-E-Hukkaam-O-Sarbraah Qimti Hai Bahut
Aam Logoun Kaa Khoon Bah Rahaa Hai, Bahney Do?
Apnee Sarkaar Pai Jokhim Na Ho Paidaa Koyee:
Bas Itnaa Khyaal Rakho? Ra?itoun Ko, Kahney Do?



Beygunaahoun Kaa Khoon

dard bhari poetry

Beygunaahoun Kaa Khoon, Fir Bahaa Hai Bharat Mein
Fir Sey, Insaaniyat Cheekhee Hai, Marey Hain Bachchey
Dahshat-O-Qatl Rawaan Hain Fazaa-E-Duniyaa Mein
Dushman-E-Amn Yeh, Bandey Naheen Rub Key Sachchey



Firdous Ki Hooreyn

dard bhari poetry

Sachchaayi Hai, Ki, Noor-E-Hoor Ab Bhi Hai Yahaan
Ik Nazar-E-Inaayat Idhar Kareyngey Mehrabaan?
Firdous Ki Hooreyn To Hain Hazaar Saal Keen
Hoor-E-Zameen Bees Hain Un Sey! Sahee Hai, Haan



Mein Jo Hoon

dard bhari poetry

Mein Jo Hoon? Saamney Hoon! Meyree Shaayari Deykheyn
Pooraa ?Abd? Mileygaa Wahaan, Jaisey Ho Ayaan
Alfaaz Wo Pyaadey Hain, Nihaan Jin Mein Hain Farzeen
Deykheyn Ughaarh Kar Unhain, Kartey Hain Kyaa Bayaan?



Daastaan Ashkoun Sey Bhari Ha

dard bhari poetry

Aap Kee Daastaan Ashkoun Sey Bhari Hai, Fir Bhi,
Mein Sajhtaa Hoon, Zindagee Ko, Zindagee Samjheyn!
Har Lamhah, Jo Bhi Milaa Hai Hamain, Jeenaa Hai Usey:
Behtaree Is Mein Hai, Ham Us Ko Bandagee Samjheyn



Aap Kee Zeest Hai

dard bhari poetry

Aap Kee Zeest Hai, Duniyaa Hai, Aur Ham Sab Hain
Itney Maayuus Na Houn: Woh Bhi Hai

Aap Beyzaar Na Houn, Is Tarah, Zamaaney Sey
Takhliyah Hain To, Takhliyah Hi Eik Woh Bhi Hai

Zarrah-Zarrah Hai Aap Kaa, Ki, Aap Hain Us Key
Jis Key Honey Sey, Akeilaa Naheen Yahaan Koyee


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more dard bhari poetry.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari