Send dard bhari poetry


Advertisements


dard bhari poetry

Welcome to the largest collection of dard bhari poetry. You can send these dard bhari poetry to Pakistan Send these mobile dard bhari poetry message to your friends and enjoy.

Aap Aaye Nam Huyeen Aankheyn

dard bhari poetry

Khairmaqdam Hai! Aap Aaye Nam Huyeen Aankheyn!
Kaash, Ham Saath-Saath Houn Kabhi: Yahaan, Ki, Wahaan!!
Qaarwaan-E-Jahaan Mein, Yoon To, Saath Hain Ham Sab;
Qareeb Pahluoun Mein Houn, ?Abd? Wo Baat Kahaan?



Yahaan Bhi Hai

dard bhari poetry

Khoj Jaaree Rakheyn Us Ki, Lakeer Kaa Kyaa Hai
Lakeer-E-Dast Ki Fitrat, Lakeer Par Chhorheyn
Yahaan Bhi Hai, Wahaan Bhi Hai, Kahaan Naheen Hai Woh
Woh Jahaan Bhi Miley, Us Taraf Nazar Ko Morheyn



Zamaanaa Badlaa

dard bhari poetry

Badley Aap, Aapka Iraada, Zamaanaa Badlaa, Ye Na Hota
Agar Badaltii Akelii Qismat Hamaarii ? Galatii Kisii Ki Nahin

Aapke Naksh-E-Qadam Par Chaley, Ye Hamaare Ikhtiyaar Me Tha
Aap Ne Gehrii Chaal Chalii ? Galatii Kisii Ki Nahin

Terii Yaadon Me Ek Deeyaa Jalaa Ke Mai Jo Aayaa Tha
Ghar Mera Usne Jalaa Daalaa ? Galatii Kisii Ki Nahin

Der Ham Hi Ne Ki Baarish-E-Dua Maangney Uske Paas
Bachaa Tha Keher, Usne Barsaaya ? Galatii Kisii Ki Nahin

Tapkaa Qismat Ka Ghadaa ?satish?, Shikaayat Nahin E Maalik
Mitti Hi Thi Kachchii Hamaarii ? Galatii Kisii Ki Nahin



Hasti Hain Aankhen

dard bhari poetry

Hasne Par Hasti Hain Aankhen
Rone Par Roti Bhi Hain Aankhen
Zakham Bhi Deti Hain Aankhen
Jaan Bhi To Le Leti Hain Aankhen



Mohabbat Ke Parche

dard bhari poetry

Mohabbat Ke Parche Ko Hi Sirf Na Dekh
Jindagi Me Imteha Aur Bhi He Dene Ke Liye
Khushiyo Ko Hi Sirf Gale Na Laga
Sabab Ek Gam Ka Kafi He Pine Ke Liye



Dil Ki Taaron Ko Mere Cher Gaya Koi

dard bhari poetry

Dil Ki Taaron Ko Mere Cher? Gaya Koi
Mere Jazbaaton Se Bhi Khel Gaya Koi
Hum Kho Gayen Hain Raha Dikha De Koi
Aaj Hum Akelen Hain Unko Bata De Koi



Sakoon Hai Dil Ko

dard bhari poetry

Sakoon Hai Dil Ko Jab Tum Paas Hoti Ho
Tarap Jata Hoon Jab Tum Mujhe Chodh? Jati Ho
Bhari Mehfil Mein Tanha Rahta Hoon Jab Tum Duur Hoti Ho
Mujhe Kuch Samajh Mein Nahi Aata Ki Tum Kya Chahati Ho



Choone Se Bikhar Jaaoonga

dard bhari poetry

Itna Toota Hoon Ke Choone Se Bikhar Jaaoonga
Ab Agar Aur Duaa Doge To Mar Jaaoonga

Lekar Mera Pataa Waqt Raayaga Na Karo
Main To Banjaara Hoon Kya Jaane Kidhar Jaaoonga

Is Taraf Dhoond Hai Jugnu, Na Charaag Koi
Kaun Pehchaanega Basti Mein Agar Jaaoonga

Zindagi,. Main Bhi Musafir Hoon, Teri Kashti Ka
Tu Jahaan Mujhse Khaegi Main Utar Jaaoonga

Jahaan Reh Jaayenge Gulaadon Mein Yaadon Ki Nazar
Main To Khushboo Hoon Fizaaon Mein Bikhar Jaaoonga



Kuch Is Tarah Se

dard bhari poetry

Kuch Is Tarah Se Uljhe Hum Apni Uljhano Me
Khudi Ko Ajnabee Paya Tamam Aaino Me

Hame Dosto Ne Shamil Kiya Apne Dushmano Me
Jo Shamil Kiya Tha Tumne Hame Apne Dosto Me

Itni Shiddat Se Tuje Talasha Humne Mehjabeeno Me
Ek Pehchan Si Ban Gayee Hain Shehar Ki Haseeno Me

Dhadakta Hu Aajkal Sakiyo Ke Seeno Me
Tasweer Lagi Hain Ghayel Ki Tamam Maikado Me



Abhi Chal Rahi Ho

dard bhari poetry

Jis Raha Pe Tum Abhi Chal Rahi Ho
Us Raha Se Hum Kai Baar Guzar Chuke Hain
Yeh Khel Jo Tum Khel Rahi Ho
Is Khel Ko Bhi Hum Kai Baar Khel Chuke Hain


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more dard bhari poetry.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari