Send dard bhari poetry


Advertisements


dard bhari poetry

Welcome to the largest collection of dard bhari poetry. You can send these dard bhari poetry to Pakistan Send these mobile dard bhari poetry message to your friends and enjoy.

Mujhey Daikh Kar Jo Ikk Nazar

dard bhari poetry

Mujhey Daikh Kar Jo Ikk Nazar Mairey Saarey Dard Samajh Sakey

Jo Iss Qadar Ho Chara-Gar Mujhey Uss Nigaah Ki Talaash Hai



Mahobbaton ka dawa

dard bhari poetry

Jo kabhi teri nazar se guzar jaya kerte hain
woh sitare aksar toot ke bikhar jaya kerte hain

Hum kisi se mahobbaton ka dawa to nahi kerte
haan magar wafaon pe hum mar jaya kerte hain

Mausam ke hijir bhi.. ye guzare ga to kabhi
mausam ke isi aas main guzar jaya kerte hain

Mohabbaton ki ehmiat se waqif nahi hai woh
kuch log bas inhi se sawar jaya kerte hain

Bujhati to nahi barishoon se selaab hi sada
phir teri wafa se kyun hum dar jaya kerte hain

Kuch log apne dukhoon ki numaish nahi kerte
bas khamoshi se ander hi bikhar jaya keret hain

Woh aansoo jo palkoon ki zeenat nahi bante
woh chup chap se dil main utar jaya kerte hain



Kuch bhi nahi

dard bhari poetry

???kuch bhi nahi?
Mere paas dard-e-dil ke siwa kuch bhi nahi
Rakh sakun in zakhmo pe marham.
Aisi dawa ?Kuch bhi nahi?

Mujh se na kar phoolon ki umeed.
Mere daman mein kaanton ke siwa ?kuch bhi nahi?

Na kar shikwa meri tanhai ka kabhi
Mere paas gham-e-judai ke siwa ?kuch bhi nahi?

Tu rahe hamesha ujaalon mein sanam
Meri zindagi mein andhere ke siwa ?kuch bhi nahi?

Kyun mai karun tujh se ab wafa ae zalim
Tere paas bewafai ke siwa ?kuch bhi nahi?

Ab to na aaenge hum teri mehfil mein kabhi
Tere paas mere liye ruswai ke siwa ?kuch bhi nahi?

Tu ne na jana mere pyar ko kabhi
Tere seene mein paththar dil ke siwa ?kuch bhi nahi?

Kya cheer ke bataon mai apna dil tujh ko
Mere dil mein tere zakhmo ke siwa ?kuch bhi nahi?

Ab aur na jala khud ko ae BIPIN us ke liye
Wo to bewafa hai uske pyaar mein tujhe hasil.

?Kuch bhi nahi?.?



Wo Lamhe

dard bhari poetry

Wo Lamhe Jo Mujhe Chuh Kar Nahi Gujre
Wo Lamhe Jo Mujhe Chuh Kar Nahi Gujre,
Wo Waqt Jo Meri Yadoon Mein Nahi Dhala,

Kyon Bhul Nahi Pata Mein,
Kyon Reh Reh Kar Yaad Ata Hai Mujhko.

Wo Raat Jo Meri Ankhoon Mein Saji Hain,
Wo Khushbu Meri Sanson Mein Basi Hain,

Kyon Badalon Si Bhar Ati Hain
Kyon Bundon Si Baras Jati Hain

Wo Sawan Jo Mere Dar Par Aya Hii Nahii,
Wo Barsat Jisne Kuch Barsaya Hii Nahii,

Kyon Uska Intezar Ab bhi Hain,
Kyon Dil Bekrar Ab Bhi Hain

Ashayein Kyon Mit Ti Nahii,
Umeede Kyon Ghat Ti Nahii,

Dhuan Dhuan Dil Kaa Jahan Hain,Mein Heraan Hoon,
Fir Bhii Kyon Arman Jawan Hain,Mein Heraan Hoon



Meri wafa ne banaya hai bewafa

dard bhari poetry

Karoon to kis liye aakhir karoon malal us ka,
usey nahin to mujhey bhi nahin khayal us ka,
Meri wafa ne banaya hai bewafa us ko,
Kisi ada par nahin hai kamal us ka,
Mere naseeb ki yeh bhi to khush naseebi hai,
Ke mujh ko dekh ke sab pochte hain hal us ka,
Yehi doa main karon har baras ke pehley din,
Mere bagher na guzre koi bhi saal us ka,
Mere urooj ko us ke naseeb main likh dey,
KHUDA-E-PAK mujhey soonp de zawaal us ka..



kahin ek aakhri hadd

dard bhari poetry

kahin ek aakhri hadd hai jahan dil ko bikharna hai
wahin se phir mujhe apna safar aaghaaz karna hai

main suraj hoon andheron se mujhe kya farq parta hai
jahan main aaj dooba hoon wahin se kal ubharna hai



Maine kaha Maut ko

dard bhari poetry

Maine kaha Maut ko thorde din tal jaa,,

Maut ne kaha teri kisi ko jaroorat nahi tu chala aa,

Maine kaha koi hai jo humare liye jeeta hai,,,,

Maut ne kaha isliye tu roj paani ki jagah aansu peeta hai



Meri chahat mein kami

dard bhari poetry

Meri chahat mein kami kuch na thi,
jaane kyon woh begane se ho gaye,
woh samjate hain khush hoon main,
lekin mujhe hase to kai jamane ho gaye.



Raat Se Dar Lagta Hai

dard bhari poetry

Baat Din Ki Nahi,
Ab Raat Se Dar Lagta Hai?
Ghar Hai Kaccha Mera,
Barsaat Se Dar Lagta Hai?
Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye?
Zindagi Ab Teri Saugaat Se Dar Lagta Hai?
Pyaar Ko Chhod Ker Tum Aur Koi Baat Karo?
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai?
Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahin Ho Jaein?
Iss Liye UsKi Mulaqaat Se Dar Lagta Hai?



Nigahon Mein Jachta Nahi Koi

dard bhari poetry

Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi
Jaisay Meray Sarkaar Hain Waisa Nahi Koi

Tumsa Tou Haseen Aankh Ne Dekha Nahi Koi
Ye Shaan-e-Latafat Hai Ke Saaya Nahi Koi

Ye Toor Say Kehti Hai Abhi Tak Shab-e-Mairaj
Sarkaar Ka Jalwa Hai Tamaasha Nahi Koi

Hota Hai Jaha Zikr Muhammad (SalAllaho Alaih-e-Wa Sallam) Kay Karam Ka
Uss Bazm Mein Mehroom Tamanna Nahi Koi

Aizaaz Ye Haasil Hai Tou Haasil Hai Zamee Ko
Aflaak Pe Tou Gumbad-e-Khizra Nahi Koi

Sarkar Ki Rehmat Ne Magar Khoob Nawaza
Ye Sach Hai Ke Khalid Sa Nikamma Nahi Koi


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more dard bhari poetry.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari