Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

Mohabbaton main har aik lamhaa visaal ho ga..

ghazal

Mohabbaton main har aik lamhaa visaal ho ga yeh tehh hua tha,
Bicharr ke bhi aik duusre ka khayaal ho ga yeh tehh hua tha,

Wohi hua na, badalte mausam main tum ne hum ko bhulaa diya,
Koi bhi rut ho, na chahton ko zawaal ho ga yeh tehh hua tha,

Yeh kya ke saansain ukharr gayi hain safar ke aghaaz hi se yaro,
Koi bhi thhak kar na raaste me niddhaal ho ga yeh tehh hua tha,

Judaa huye hain to kya hua phir, yehi to dastoor-e-zindagi hai,
Judaaiyon main na qurbaton ka malaal ho ga yeh tehh hua tha,

Chalo ke “faizan” kashtiyon ko jalaa dein gumnaan sahilon pr,
Ke ab yahan se na wapsi ka sawaal ho ga yeh tehh hua tha..

Watch Video



Koyee had nahi hai kamaal ki

ghazal

Koyee had nahi hai kamaal ki
Koyee had nahi hai jamaal ki

Wahi qurb O door ki manzileN
Wahi sham khaab O khyaal ki

Na mujhe hi uska pata koyee
Na use khabar mere haal ki

Ye jawaab meri sada ka hai
K sada hai uske sawaal ki

Wo qayamateN jo guzar gayeeN
ThiN amanaten kayee saal ki

Ye namaaz E asr ka waqt hai
Ye ghari hai din k zawaal ki

Hai MONIR subh E safar nayee
Gayee baat shab k malaal ki..



Tum jo hastey ho to phoolon ki ada lagte ho

ghazal

Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho
Aur Chaltey Ho to Ek Baad-e-Saba Lagte Ho

Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Kar Sar Ko
Kitne Masoom Ho Tasveer-e-Wafa Lagte Ho

Baat Karte Ho To Saaghar Se Khanak Jaate Ho
Leher Ka Geet Ho Koyal Ki Sada Lagte Ho

Kis Taraf Jao ge Zulfon K ye Badal Ley Kar
Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghata Lagte Ho

Tum Jisey Dekh Lo Peeney Ki Zarorat Kya Hai?
Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagte Ho

Main Ne Mehsoos Kia Tum Se jo Baatein Kar k
Tum Zamane Main Zamane Se Judaa Lagte Ho



Mohabbat kerny walo ko koi rasta nahi deta

ghazal

Mohabbat kerny walon ko koee rasta nahi deta,
Zameen waqif nahi banti ,falak saya nahi deta,

Udasi jis k dil mein ho usi ki neend urrti hae,
kisi ko apni aankhon ka koee sapna nahi deta,

Khushi or dukh k mosam sab k apny apny hoty haen,
Kisi ko apny hissey ka koee lamha nahi deta,

Uthana khud hi parrta hae thaka toota badan apna,
K jab tak saans chalti hae ,koee kandha nahi deta.



Sazaaon ko kon dekhe ga

ghazal

Rah_E_Wafa Me Sazaon Ko Kon Dekhy Ga,
Safar He Dhoop Ka Chaon Ko Kon Dekhy Ga,
Hum Apni Zid Pe Aye To Cheen LenGe Tuje,
Tere Shehar Ki Ghataon Ko Kon Dekhy Ga,
Bichar To Jayen Magar Phir Khayal Aata Hai,
Teri In Dilkash Aadaon Ko Koun Dekhy ga.



Bohat gumaan tha mausam shanaas honey ka

ghazal

Bohat gumaan tha mausam shanas honey ka
Wohi bahana bana hai udaas honey ka

Badan ko garh liya zakham ke gulabon se
Tu shok pura kar khush libas honey ka

Fiza mehkne lage roshni jhalakne lage
To yeh nishan hai tere aas pass honey ka

Gulon ke beech woh chehra khila, to har titli
Tamasha karne lagi, bad hawas honey ka

Usy bhi shok tha bewajah dil dukhaney ka
So hum ne khel rachaya udaas honey ka

Naye safar pe rawana tou hum bhi ho jate
Bas intizar tha mausam ke raas hone ka

(Khush Libas:Well Suited)(Bad Hawas:Confused)(Rawana:Depart)(Raas:Compatible)



Mohabbat ki hadhon se door jana chahta hai dil

ghazal

Mohabbat ki hadhon se door jana chahta hia dil
Kisi andher nagri mein thikana chahta hai dil

Dharkne se kabhi baghi, kabhi be-dharak dharka hai
Dharakne se mukarnay ka bahana chahta hai dil

Tera milna bhi junoon ka sunehri daur tha lekin
Zara is se bhi pehle ka zamana chahta hai dil

Yeh kesa ishq hai chand aansuyon, aahon ke badle
Meri har saans pe hi haq jatana chahta hai dil

Bhale Rustam mujhe ko zamana be-wafa kahe
Per ab ronay per tere, muskurana chahta hai dil

(Nagri:Town)(Mukarnay:Skip)(Daur:Time)(Aahon:Sigh)



Silsila tor diya us ney to ye sadaen kesi

ghazal

Silsila tor diya us ney to ye sadaen kesi..?
Ab jo milna hi nahi, phir ye wafaen kesi..?
Maine chaha tha sub shikwey giley door karna,
Us ney zehmat hi na ki sunney ki to ye aahen kesi..?
Ley lo wapas ye ansu, yeh tarap aor ye yaaden sari..?
Nahi koi jurm mera to phir ye sazaen kesi…??

(Sadaen:Calling out)(Jurm:Crime) (Ansu:Tears)



Woh kisi aur ka hoga to qayamat hogi

ghazal

Wöh ki§i äur kä högä tou Qäyämät hö gi
Phir kisi kö bhi kisi se nä muhäbbät hö gi

Usy dekhäy köi ächä nähi lägtä mujh kö
is se bärh kar bhi köi åur muhäbbät hö gi

Räät käl chäänd kö dekhä töu yéh ehsääs huä
Wöh äkelä håi usåy meri zärurät hö gi

Aey “KHUDA” uskö kisi äur kä höne nä denä
Zindägi bhär mujhe phir tujh säy shikäyät hö gi.



Agar mohabbat yehi hai to mujhe mohabat nahi

ghazal

Libas Tan Se Utaar Dena,
Kisi Ko Banhon Ke Haar Dena,
Phir Uske Jazbon Ko Maar Dena,
!! Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai!!

Gunah Karne Ka Soch Lena,
Haseen Pariyan Daboch Lena,
Phir Uski Aankhein Hi Noch Lena,
!! Ager Mohabat Yehi Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai!!

Kisi Ko Lafzon Ke Jaal Dena,
Kisi Ko Jazbon Ki Dhaal Dena,
Phir Uski Izzat Uchaal Dena,
!! Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai!!

Andhair Nagri Mein Chalty Jana,
Haseen Kaliyan Masalty Jana,
Aur Apni Fitrat Pe Muskurana,
Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari