Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

Muje ek tera aitbar hai

ghazal

Is khudgarz zamane me muje ek tera aitbar hai,
warna mah-o-khurshid bhi hansa hai meri lachari par..

Kaifiyat kya bataon tujhe is dil-e-nadan ki,
soi hai hayat ki rakh wafat ki chingari par,

Tabib se bhi is aazar ki ab dawa nhi hoti,
kitni hasraton ki daulat luta di is dil ki bimari par..



Zakham ka dil pe asar ho

ghazal

Zakham ka dil pe asar ho to phir kya kehna,
Meri gar tumpe nazar ho to phir kya kehna,

Teri aagosh mai din raat mere guzaren,
Zindagi ase bashar ho to phir kehna,

Kisi kafir ko samajh aa jaye jo islam ka rang,
Deen duniya ki khabar ho to phir kya kehna,

Shamsh ye mera takaza hai agar ase hua,
Koi rahejan hi rahebar ho to phir kya kehna,



Daastan apni adhuri reh gayi

ghazal

Baat dil me atki atki reh gayi
Daasta apni adhuri reh gayi
Berukhi se fer kr rukh chal diye
Or nigaahein ye tarasti rh gayi
Kya gilaa k unki aamad k yu nahi
Jhopdi apni hi choti reh gayi
Tm pe kr k “naaz” bs paaya yahi
Zndgi bs “naaz” krti rh gayi….



Yeh ulfaten bhi ajeeb hain

ghazal

Ye Ulfaten b ajeeb hen, Ye Chahten b ajeeb hen
Kbi Mil k b na Pas hain Kbi pas ho k b na mil saky

Kbi Yad ayi to Beshumar, kbi Ro diye to Behisab
Ye Dil ki Halten b ajeeb henye Sazishen b ajeeb hen

Kbi Lrzishenkbi Rnjishen, Kbi DurianKbi Mjburian
Ye Uljhanenb ajeeb henYe Mushkilen b ajeeb hen

TUM hansty to Sirf Mery Liye, TUM Roty to sirf mery liye
Ye Khahishen b ajeeb henYe Hasraten b ajeeb hen.



Ke kabi mulaqat na hogi

ghazal

dekho ge humain roz magar bat na hogi
Ek shehr man reh keh be mulaqat na hogi

kehna hai jo keh dalo abi waqt hai baqi
kal hum honge … magar art-e-halat na hogi

jo pochna hai tum ko abi poch lo warna
phir Rasm-e-sawalat na hogi

din itne huwe taweel hijir ke logo
tarpo ge sar-e-sham magar raat na hogi

ye soch kar be dil tarap uthta hai yara
bichren ge is tarah, ke kabi mulaqat na hogi



Uski mujhko yaad dilati hai zindagi

ghazal

Ase bhi kai rang dikhati hai zindagi,
Phir uski mujhko yaad dilati hai zindagi,

Sham o shahar sukoon ki chahat liye huae,
Thak haar ke mere hi paas aati hai zindagi,

Badla meri wafaon ka mujhko nahi mila,
Kyun baar baar ye sawal uthati hai zindagi,

Kyun mere haq mai koi bhi karta nahi dua,
Ro roke mot ko gale lagati hai zindagi,

Ae shamsh apna haal e dil khahena fuzool hai,
Kab umar bhar ka saath nibhati hai zindagi.



Mohabtain jab shumaar karna

ghazal

Mohabbatain jab shumaar karna to sazishain bhi shumaar karna
Mere hissey mein jo ayi hain woh aziyatain bhi shumaar karna

Jalaye rakhon gi subah tak tumhare raston pe mein aankhain
Magar kahin zabt toot jaye to barishain bhi shumaar karna

Yeh sardiyon ka udaas mausam ke dharkan baraf ho gayi hai
Jab in ki wa-bastagi parkhna, to namaazain bhi shumaar karna

Tum apni majbooriyon ke kissay zaroor likhna wazahton se
Jo meri ankhon mein jal bhuji hain, woh khawhishen bhi shumar karna



Rishtay phoolon ke manind hotey hain

ghazal

rishtay phoolon ke manind hotey hn..
khun se senchoo to kheel jatey hn…

khushyoon ke bersat ho to jhoom jatey hn
gum ke aandhi ho to bekhar jatey hn……..

bedy haseen bedy dilfarib hotey hn…..
pass jaao to kantoo se bhray hoty hn..

beharoon k hamsafer hotey hn
khezan k mosum me gumm hojatey hn

hawa k dosh p leharaty phool kia jeny
ghari hotey hn jeryn to ye chamn bestay hn..



har shy ka soda hota he

ghazal

Har shy ka soda hota he
Her cheez bikaau hoti he
Har fard yaha per taajir he
Har waqt tijaarit hoti he
Tum ap he apne daam kaho
Chup k nhi sar_e_aam kaho
Kya lo ge apni yari ka
Kya lo ge tum dildaari ka
Gham_khwar bno ge kitne men
Tum pyar kro ge kitne men
Sb jazbay meray naam kro
Ham naam tum apna daam kaho
Par daam chukane ki khatir
Ham apna daftar kholen to
Ham apni jaib tatolen to
Bus pyar mily ga thora sa
Azaar mily ga thora sa
Ye sikay yaha kb chalte hen
Kya udhar mily ga thora sa
Ye dunia bay_aitbarie ki
Ye arz he hr beyopari ki
Chal chor tamana jazboun ki
Bas souday hi dekh aaen ham
Ham khali hath hi aaye thay
Chal khali hath hi jayen hum.



Woh mujhe pyaar karta tha

ghazal

Audio Poetry

Meri aankhon pe marta tha,
Meri baton pe hansta tha,

Na jane shakhs tha kaisa,
Mujhe khone se darta tha,

Mujhe jab bhi woh milta tha,
Yahi har bar kehta tha,

Suno..

Agar me bhool jaon to,
Agar me rooth jaon to,

Kabhi wapis na aon to,
Bhula pao ge yeh sab kuch,

Unhi hasty raho gaye kiya?
Unhi sajte raho gaye kiya??

Yahi batain hain bas uski,
Yahi yadein hain bas uski,

Mujhe bas hai pata itna,
Mujhe woh piyar karta tha,
Mujhe woh piyar karta tha..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari