Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

Na koi geet baki hay na koi saaz baki hayi

ghazal

Khayalon main faqat ek sholah e awaaz baki hay
Na koi geet baki hay na koi saaz baki hai

Sab apney bhayd ham nay faash kar daalay zamanay par
Magar jo tuj sey kehna tha wohi ek raaz baki hai

Khudaawand hamien phir sey naii ek zindagi dey dey
Bareeda par hain lekin hasrat e parwaaaz baki hai

Nazar main raat k pichhlay pehar jesi khamoshe hay
Magar dil k dharakne ka wohi andaaaz baaki hai

Qateel is ehd-bey-maani main lafzon ka hay yeh aalam
Ke maani ho gaye rukhhsat faqat awaaaz baki hai

(Khudawand:God)(Bhayd:Secrets)(Faash:Leaked out)(Rukhsat:Departure)



Bas ek choti si haan kar do

ghazal

Bas Ek Choti Si Haan Kr Do,
Hamare Naam Is Tarha Sara Jahan Kr Do!

Wo Mohabbtain Jo Tumare Dil Mein Hain,
Un ko Zuban Pr Lao 0r Bayan Kr Do!

Aaj Bas Ap Kaho 0r Kehty Hi Jao,
Hum Bas Sune Aisa Be-Zuban Kr Do!

Hoi Purani Dastan Heer Ranjha Ki,
Tarikh Mohabbat Ki Phir Se Jawan Kr Do,

Aa-Jao Ke Aisa Toot Kr Chahon Tumhe,
Hmari Mohabat Ko Mohabbat Ka Nishan Kr Do!

Apne Dil Me Is Tarha Chupa Lo MujKo,
Rahon Humesha Is me aisa Mera Makan kar Do!

(Bayan:Express)(Dastan:Story)(Be-Zuban:Vocally Challenged)



Mila karo ge tou ro paro ge

ghazal

Bahar ki Rut me ujrey rasty,
Chala kro gy to Ro paro gy…

Kisi se milny ko jab bhi ,
Sajja karo gy to Ro paro gy….

K chaand raton me ab kisi se,
Mila karo gy to Ro paro gy…

Barasti barish me yad rakhna,
Tumhe stayein gi meri ankhen…

Kisi Wali k mazar par jab
Dua karo gy to Ro paro gy…!!!

(Ankhen:Eyes)(Barish:Rain)(Bahaar:Spring)(Chaand:Moon)



Ab ke ehsaan jataney bhi nahin aya koi

ghazal

Ab ke ehsaan jataney bhi nahin aya koi
Mein jo rootha tou mananey bhi na aya koi

Aik woh door ke soney bhi na dete they mujhe
Aik yeh wakt ke jaganey bhi na aya koi

Dag-magata tha tou sou hath lapakte they mujhe
Gir gaya hoon tou uthaney bhi nahin aya koi

Janey ahbab pe kya guzri, khuda kher kare
Arsay se neya zakham laganey nahin aya koi

Aese utra hoon dilon se ke hansaana tou kuja
Aik muddat se rulaney bhi nahin aya koi

Yun tou so baar, toota, jura, magar ab ke amin
Aese toota ke bananey bhi nahin aya koi



Deewar hai kisi ki, Dareecha kisi ka hai

ghazal

Deewar hai kisi ki, dareecha kisi ka hai
Lgta hai ghar ka ghar hi asasa kisi ka hai

Ik aur hath bhi hai pas-e-raqs heela jo
Hum tum tou putliyaan hain, tamasha kisi ka hai

Yeh jo hain mere paon kisi aur ke na hon
Chal mein raha hon, Naksh kuf e paa kisi ka hai

Ashkon se bhar raha hon mein apni dareeda mashk
Itne barss ke bad bhi darya kisi ka hai

Kese kahoon ke apni zubaan bolte hain hum
Alfaaz shayed apne hon, lehja kisi ka hai

M



Yeh na samajh ke bichra hoon tou bhol geya hoon tujhe

ghazal

Yeh na samajh ke bichra hoon tou bhol geya hoon tujhe
Tere hathon ki khushboo mere hathon mein aaj bhi hai

Yeh aur baat hai majbooriyon ne nibhaney na di dosti
Warna shaamil sachayi meri wafaon mein aaj bhi hai

Mohabbat se barh ker tumse akeedat hai mere dost
Yun buland sab doston mein mukaam tera aaj bhi hai

Chahta hu atiq ke har lamha zindagi mein mohabbat ho
Shaamil tu meri tamaam duyaaon mein aaj bhi hai



Na koi khawab na koi saheli thi

ghazal

Na koi khawab na koi saheli thi
us mohabbat mein main akeli thi
ishq main tum kahaan kay sachay the
jo aziyat thi woh hum ne jheeli thi
yaad ab kuch nahiin raha laiken
ik dariya tha ya haveli thi
jis nay uljha kay rakh diya dil ko
woh mohaabbat thi ya paheli thi
mein zara si bhi kam wafa karti
tum ne tu meri jan le li thi
waqt kay sanp kha gaaye usko
meray aangan main ik chanbeli thi
us shab-e-ghum main kis ko batlaon
kitni roshan meri hatheli thi



Meri bhujti huyi ankhon mein koi khawb nahin

ghazal

Koi maazi hai, na farda hai na imroz koi
Meri bhujti huyi ankhon mein koi khawb nahin

Jao dunya se kaho, loot li baazi tumne
Nasiro jashan karo haar gaye dil waley

Khawhish zeest saredaar karo sheher ke bech
Aur is katal per raqsaan raho taa-marg sabhi

Jao be-fikr raho aur manadi kardo
Ab koi raat kabhi subah ka peiman nahin bandhey gi

Koi tareeki kisi noor ki khawhish nahin karpayegi
Ab koi subah neyi subah nahin kehlaaye gi



Aik Shaks Meri Zaat Main Shareek Rehta Hai

ghazal

Aik Shaks Meri Zaat Main Shareek Rehta Hai
Wo Aaker Mujhe Phir Rulaaa Deta Hai

Raaatoon Ko Jab Main Tanhaan Hota Hoon
Wo Dheeray Say Choooo Ker Behlaaa Deta Hai

Wo Mujhe Me Basa Ha Kuch Is Tarhaan Se
Wo Hota Nahin Phirr Bhi Sath Rehta Hai

Kehta Hain Log Ke Wo Mujh Sa Juda Rehta Hai
Rooh Ban Ke Jo Mere Dill Ke Paaaas Rehta Hai

Wo Chup Ke Saa Aakee Kuch Keh Deta Hai
Phir Aaker Mujhe Kahin Hooosh Aata Hai

Aik Shaks Meri Zaaaat Me Shareek Rehta Hai
Wo Aaker Mujhe Phir Rula Deta Hai………………..!



So kissey hain milte juley, Aik majboori theek nahin

ghazal

So kissey hain milte juley, aik majboori theek nahin
Jo kehna hai khul ker keh de, baat adhoori theek nahin

Koi heela, koi bahana, koi munasib raah nikaal
Mujhse aese milte rehna, gher zaroor theek nahin

Roz mohabbat ho jaye hai, chalte phirte logon se
Geet adhoray, khawb adhooray, yeh mazdoori thek nahin

Ik shikayet ke badle, sab ka sab mujhe ilzam na de
Kuch kuch teri baat hai sachi, lekin poori theek nahin


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari