Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

Mat lout k ana main sambhal jaaon ga

ghazal

Tere shaher teri soch se nikal jaaon ga
Kisi udaas sham main dhal jaaon ga

Tu Ju muker gaya hay her baat se apni
Dekh lena aik din main bhi badal jaon ga

Mat dikha mujh ko apna pashemaan chehra
Jab k tu janta hay main pighal jaaon ga

Chahe lakh terpoon tere intzaar mein
Mat lout k ana main sambhal jaaon ga

Tera hona itna zaroori tou nahin hay
Main tou yaadon k khilonon se behal jaon ga



Yeh soch ke nikla tha ke mar jana hai

ghazal

Ghar se yeh soch k nikla hon k Mar jana hai
Ab koi Raah dikha de k kidhar jana hai

Jism se sath nibhane ki mat umeed rakho
Is musafir ko to Rastay mein theher jana hai

Mout lamhay ki sada Zindagi umron ki pukar
Mei yehi soch k zinda hon k Mar jana hai

Nasha aesa tha k Maikhanay ko duniya samjha
Hosh aaya to khayal aaya k ghar jana hai

Mere jazbay ki bari qadar hai logon mei magar
Mere jazbay ko mere sath he mar jana hai…….



In Aankhon Se Din Raat Barsaat Hogi

ghazal

In Aankhon Se Din Raat Barsaat Hogi,
Agar Zindagi Sirf-e-Jazbaat Hogi,

Musafir Ho Tum Bhi Musafir Hain Hum Bhi,
Kissi Morh Par Phir Mulakaat Hogi,

sadaayon Ko Alfaaz Milnay Na Payein,
Na Badaal Girein Gay Na Barsaat Hogi,

Chiraghon Ko Aankhon Mein Mazfoot Rakhna,
Bari Door Taq Raat Hi Raat Hogi,

Azal Khuwabad Taq Safar Hi Safar Hai,
Kahin Subha Hogi Kahin Raat Hogi……!!!!



Zakham lage mere dil pe yaro

ghazal

Bazi e Ishq Kuch Es Tarah Se Harey Yaroo
Zakham Per Zakham Lagey Dil Pe Humare Yaroo

Koi To Aisa Ho Jo Ghao Per Marham Rakhey
Yuun To Dushman Na Bunno Sare Ke Sare Yaroo

Bazm Main Ser Ko Jhukaye Huye Jo Bethy Hain
In Ko Mat Cheroo Yeh Hain Ishq Ke Marey Yaroo

Jinn Main Hoty Thy Kabhi Meher O Wafa Ke Moti
In Hi Ankhon Main Sittam Ke Hain Sharary Yaroo

Dost Hi Apny Jo Kerny Lageen Nazr E Tofaan
Kaam Nahi Aty Phir Koi Saharey Yaroo

Sang Gheroon Ne Jo Marey To Koi Dukha Na Hua
Mer Gaye Tum Ne Mager Phool Jo Marey Yaroo

Wo Jo Raha Dil Geer Tumhari Khatir
Tum Ne Kya Kya Nahiin Taney Usy Marey Yaroo



Mujhe khabar thi woh mera nahin paraya tha

ghazal

Mujhe khabar thi woh mera nahin paraya tha
Per dharkanon ne Usi ko Khuda banaya tha

Main khawab khawab jise doondhta phira barson
Woh ashk ashk meri aankh mein samaya tha

Tera qasoor nahin jaan ,meri tanhayi
Yeh roag main ne hi, khud jaan ko lagaya tha



Mujhe tareek lamhon mein kahan pehchanta hay woh

ghazal

Mujhe kitne hi barson se agarche janta hay woh
Yeh kaisa zulam hay k ajnabi gardanta hay woh

mere hathon ne jis ko chand jaisa roop bakhsa tha
Mujhe tareek lamhon mein kahan pehchanta hay woh?

Magar phir bhi usay apna banane k gumaa,n mein hon
Mujhe maloom hay k kab kisi ki maanta hay woh

Shahara magta hay sirf tanhayi k lamhon mein
Muhabat ka taluq kab kisi se bandhta hay woh

Main is duniya k har ik jabar ko phir bhool jata hon
Jab apne qurab se mere din ko dhanphta hay woh

Mera dil chahta hay Uss ko seene se laga lon main
rida e ghum ko apni rooh pe jab tanta hay woh

Mujhe jab dukh milein tu kis qadar khushiyan manat hay
Chalo wasiq kisi terha to mujh ko manta hay woh



Mujhe Tanhayi Dasti Hai..

ghazal

Nahi Aise Satao Tum, Mujhe Tanhayi Dasti Hai,
Kahin Se Lout Aao Tum, Mujhe Tanhayi Dasti Hai,

Yaqeen Tumko Meri Baaton Pe Akhir Kyun Nahi Aata,
Khudara Maan Jao Tum,, Mujhe Tanhayi Dasti Hai,

Koi Dastak, Koi Aahat, Na Koi Ghar Pe Aaya Hai,
Parindon!! Chehchao Tum, Mujhe Tanhayi Dasti Hai,

Mujhe Lagta Hai Mujhko Ab Judayi Maar Dalay Gi,
K Ab Toh Maan Jao Tum, Mujhe Tanhayi Dasti Hai,

Na Janay Tum Kahan Pe Chor Aaye Ho “Nadeem” Usko,
Usay Phir Le Aao Tum, Mujhe Tanhayi Dasti Hai……!!!!



Na tujhe chor sakte hai

ghazal

Na Tuje Chor Saktay hain Tere ho bhi nhi saktay,
Ye Kesi Bebasi hy Ham ro bhi nhi saktay,

Ye Kesa Dard Hy Hmein Pal Pal Tarpaey Rakhta Hy,
Teri Yaad Aati Hy To Phr So Bhi Nhi Saktay,

Chupa Saktay Hain Na Dikha Saktay Hen Logon Ko,
Kuch Aesay Daagh Hain Dil Per Ham Dho Bhi Nhi Saktay.

Kaha To Tha Chor Deingay Ye Nagar Phr Ruk Gaey Lakin,
Tumhein Paa To Nhi Saktay Lakin Kho Bhi Nhi Saktay.

Hmara Aik Hona Bhi Nhi Mumkin Raha Ab To,
Jein Kesay Keh Tum Se Door Reh Bhi Nhi Saktay.



Hum Yaad Rakhtay Hain

ghazal

Koii Mousam Ho Wasl o Hijar Ka
Hum Yaad Rakhtay Hain

Teri Baaton Say Is Dil Ko
Bohat Aabad Rakhtay Hain

Kabhi Dil Kay Sahifay Per
Tujhay Tasveer Kartay Hain

Kabhi Palkon Ki Cha’on Main
Tujhay Zanjeer Kartay Hain

Kabhi Khowabeda Shaamon Main
Kabhi Barish Ki Raaton Main

Koii Mousam Ho Wasl o Hijar Ka
Hum Yaad Rakhtay Hain



Charagh hun kab say jal raha hun

ghazal

Charagh hun kab say jal raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye
Jo bujh gaya to sahar numa hun, mujhy duaon mein yad rakhiye

Jo bat ap keh na paye, meri ghazal mein bayan hoi hai
Main ap ka harf_e_mud’a hun, mujhy duaon mein yad rakhiye

Bohat he shaistagi say her lamha doobti ek sada ki surat
Main khilwat_e_jan mein bujh raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye

Bala say ye rah_e_shauq meri na ho saki per tumhari khatir
Misal_e_naqsh_e_qadam bicha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye… .


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari