Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

Jab tera hukam mila, Tark muhabbat kardi

ghazal

Jab Tera Hukam Mila,Tark Muhabbat Kar Di,
Dil Mgr Is Py Wo Dharka K Qyaamat Kar Di

Maine Socha Tha K Lot Atay Hain Janay Walay,
Tunay Ja Kar To Judaai Meri Qismat Kar Di

Kis Tarha tujh Se Mai Izhaar e Tamanna Karta?
Lafz Soojhay to Ma,ani Ne Bhaghaawat Kar Di

Ab To Dushman k Iraadon Pe b Pyaar Ata Hai,
Teri Ulfat Ne Muhabbat Meri Aadat Kar Di…



Bhula diya tou kabhi yaad bhi na aaon ga

ghazal

Hina ka rang hoon mein hathon per tou aaon ga
Utar gaya tou mehek apni chorr jaaon ga

Ghazal ka sher hoon dil ki kitaab mein likh lo
Bhula diya tou kabhi yaad bhi na aaon ga

Tera hi ashk hoon rok loon mujh ko
Mein aik din teri palkon pe jagmgaaon ga

Khaloos-e-dil se agar sada di kisi ne mujhe
Gayi bahaar ki tarah phir laut aaon ga



Jis jagha rahe, jahan bhi jaye

ghazal

Jis jagha rahe, jahan bhi jayiye
Sache lafzon ki mehek phelayiye

Zindagi ke lalazaron per kaheen
Dhoop ho tou abar ban ke chaaiye

Chand bhi acha hai, sooraj bhi magar
Aap raaste ka diya ban jayeiye

Log tou sadiyon ko apna kar gaye
Aap bhi koi lamha apnayiye

Aap ghar mein roshni ke naam ka
Aik jugnnu hi sahi, chamkayiye..



Mere wajood ki jaagir isne maangi hai

ghazal

Mere wajood ki jaagir isne maangi hai
ajab khuab ki taabir isne maangi hai

iski kaid men rehti hun mai pehle bhi?
naa jaane kiu zanzeer isne maangi hai

gumaan hota hai bool sakta hai mujhe
kiuki aaj meri tasweer isne maangi hai

mere khuda mujhe iske naseeb men likh de
ke mujhse meri hi taqdeer isne maangi hai..



Tootey dil ki raam kahani, mat poocho

ghazal

Tootey dil ki raam kahani, mat poocho
Kon tha raja kon thi raani, mat poocho

Tanha tanha, chupke chupke rote hain
Pathar se kab phoota paani, mat poocho

Jab tak chaho tum bhi dera daal raho
Naam pata aur koi nishani, mat poocho

Lehje ki taseer ka yaaro kya kehna
Lafzon ki badmast rawaani, mat poocho

Sara kaleja katt jaye ga yaar nabeel
Ehad junoon ki baat purani, mat poocho



Taweel hijr ka haasil hai, Aik lamha wisaal

ghazal

Agar yeh raat na apne diye bichaya kare
Tou kese koi apne hisab-e-gham bakaya kare

Woh aik akss guma hai woh mujhse door rahe
Woh khawb hai tou meri ankh mein na aya kare

Unhe kaho humain bechargi ki huu hai magar
Hamare zarf ko itna na azmaaya kare

Taweel hijr ka haasil hai, aik lamha wasal
Tou koi iska bhi ehsaan kya uthaya kare

Kabhi tou ho ke hamari khamosh goyi
Samaaton mein sadaa ban ke phel jaya kare

Koi tou shab e hijar se akar kahe khalid
Rahe rahe magar itna na sir uthaya kare



Mein nay jaltey huye khwabon ki

ghazal

koofa-e-shab nay jo taaber ki had jaari ki,
mein nay jalty hoy khuabo’n ki uzzadaari ki,

wqt nay uskey muqaddar mein likhi taareki,
jinsy charhty hoy soraj ki tarafdaari ki,

dil dharkny pay mus’er tha soo dharkta hi gaya,
lamha-e-deed ki aankho’n nay nighey daari ki,

her taaq-e-chasm pay khuaboo’n key diy bujh say gay,
kuch aesi hawa chali sheher mein beydaari ki,

sukh ka kirdar nibhany k liy umer tmam,
mein nay rooti hoi aankho’n say adakaari ki,



Chalo apni subha ko jaga kay aatay hain

ghazal

andheri raat thikanay laga kay aatay hain
chalo keh apni subha ko jaga kay aatay hain

sabhi jo maan rahay hain,bohat andhera hai
chiragh jorr kay suraj banaa kay aatay hain

hajoom e shehar pay sakta keh pehal kon karay
saleeb e shehar ko aao saja kay aatay hain

yeh raat roz jo hum say kharaaj maangay hai
hazaar sir ka charhawa,charha kay aatay hain

nhi hai kuch bhi bacha ab,b’juz yeh zanjeerain
utho yeh maal o mat’aa bhi,luta kay aatay hain



Gumsum c rehguzar thi, Kinara nadi ka tha

ghazal

gumsum c rehguzar thi , kinara nadi ka tha
pani mein chand , chand mein chehra kisi ka tha

ab zindagi sanbhal k leta hai tera nam
yeh dil k jis ko shoq kabi khudkushi ka tha

kuch abar b they banjh zameen se darey huaye
kuch zaiqa hava mein meri tishnagi ka tha

kehney ko dhoondtey they sabhie apne khad o khaal
warna meri ghazal mein to sab kuch usi ka tha

woh ihtiyaat e jaan thi k be rabti e khayal
saye pe b guman muje admi ka tha

mushkil kahan they tarak e mohabbat k marhalay
aye dil magar saval teri zindagi ka tha

woh jis ki dosti hi mataa e khaloos thi
Mohsin woh shakhs b mera dushman kabi ka tha



Faseel-e-jaan kay qaidee hain

ghazal

Faseel-e-jaan kay qaidee hain magar yeh dhayaan rakha hai
Hawa kay waastay hum nay Dar-e-imkaan rakha hai

Saja saktay thay yadoon kay kai chehray kai pekar
Magar kuch soch kar hum ne yeh ghar veeraan rakha hai

Humen shoq-e-azziyat hai wagarna is zamanay main
Teri yaden bhulaanay ko bohat saamaan rakha hai

Teri jholi main laa daalengay qarzay is muhabat kay
Kay hum shoreeda’e sar hain, kab koi ehsaan rakha hai

Tumhen ye maan-na hoga kay hum ne apnay lab see kar
sakoot-e-shab ki muthi main koi toofaan rakha hai

Jo ho yaaro behar surat charaghon ko jalana hai
Hawaen kitni barham hain, ye hum ne jaan rakha hai


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari