Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

Gumsum si rehguzar thi

ghazal

gumsum c rehguzar thi , kinara nadi ka tha
pani mein chand , chand mein chehra kisi ka tha

ab zindagi sanbhal k leta hai tera nam
yeh dil k jis ko shoq kabi khudkushi ka tha

kuch abar b they banjh zameen se darey huaye
kuch zaiqa hava mein meri tishnagi ka tha

kehney ko dhoondtey they sabhie apne khad o khaal
warna meri ghazal mein to sab kuch usi ka tha

woh ihtiyaat e jaan thi k be rabti e khayal
saye pe b guman muje admi ka tha

mushkil kahan they tarak e mohabbat k marhalay
aye dil magar saval teri zindagi ka tha

woh jis ki dosti hi mataa e khaloos thi
Mohsin woh shakhs b mera dushman kabi ka tha



kabhii lehrain tera chehra jo banaanay

ghazal

kabhii lehrain tera chehra jo banaanay lag jayen
merii ankhain mujhay darya main bahaanay lag jayen

kabhii ik lamhaa-e-fursat jo muyassar aa jaaye
meri sochain mujhay soolii peh charhaanay lag jayen

intizaar uss kaa naa itnaa bhi ziyaadaa karnaa
kya khabar barf pighalnay main zamaanay lag jayen

aankh uthaa kar bhii na dekhain tujhay din main hum log
shab ko kaghaz peh tera chehraa banaanay lag jayen



Zindagi qaid e musalsal ka siwa

ghazal

Zindagi qaid e musalsal ka siwa kuch bhi nahi
Kiya tha‚ jurm- e -wafa‚ is‚ k siwa kuch bhi nahi

Jeenay ki arzo ma roz mar rahey han
Dawa teri muhabbat ka siwa kuch bhi nahi
…‚
Khnchti‚ ha‚ appni‚ taraf‚ gulshan‚ ki‚ rang- o- bu
Kashish phoolon ma khushboo ka siwa kuch bhi nahi

Bhool‚ jana‚ aik‚ naymat‚ ha‚ kuda‚ ki‚ ‚ islia
Bhoolna tera‚ haqeeqat ka siwa kuch bhi nahi

Thora‚ ha‚ farq‚ baqi‚ insan aur‚ hewan‚ ma
Saqi tujh ma muhabbat ka siwa kuch bhi nahi



Teray pyar main sab ko bhula rakha hai

ghazal

Teri yaad nay meray dil ko saja rakha hai
teray pyar main sab ko bhula rakha hai

kuch acha nahin legta teri judai kay baad
ek teri yaad ko sinay say laga rakha hai

tera milna to abb aik khawab hi lagta hai
najanay abb kyoon dil ko bhula rakha hai

sab kuch lut gaya hamara teray pyar main
teri yaad ko palkoon main chupa rakha hai

muqadar say miltay hain bichar kay warna
ajj bhi tera naam dil main saja rakha hai

najanay koi nahin basta teray siva ankh main
aik teri tasveer ko dil main chupa rakha hai ”



Dabi dabi si wo muskurahat labon pe

ghazal

Dabi dabi si wo muskurahat labon pe apne saja saja k
wo narm lahje main baat karna ada se nazrain jhuka k

wo aankh teri shararati si wo zulf mathay pe nachti si
nazar hatay na aik pal bhi main thak gaya hoon hata hata k

wo tera hathon ki unglion ko mila k zulfon main kho sa jana
haya ko chehre pe phir sajana phool sa chahra khila khila k

wo hath hooron k ghar hoon jaise wo paon pariyon k par hoon jaise
nahi hai teri misaal jaana main thak gaya hoon bata bata k….!!



Mujhse jida kesay hua

ghazal

khatam apni chaahaton ka silsila kesay hua
tuu to mujh men jazb tha mujh say juda kesay hua

woh jo teray aur meray darmayan aik baat thi
aao sochen shehar us say aashna kesay hua

chubh gaeen seenay men tooti khvahishon ki kirchiyan
kaya likhoon dil tootnay ka haadsa kesay hua

woh jo rag e jaan tha kabhi,milta hai rukh phair kar
sochta hoon is qadr woh bewafa kesay hua



Dabi dabi si wo muskurahat

ghazal

Dabi dabi si wo muskurahat labon pe apne saja saja k
wo narm lahje main baat karna ada se nazrain jhuka k

wo aankh teri shararati si wo zulf mathay pe nachti si
nazar hatay na aik pal bhi main thak gaya hoon hata hata k

wo tera hathon ki unglion ko mila k zulfon main kho sa jana
haya ko chehre pe phir sajana phool sa chahra khila khila k

wo hath hooron k ghar hoon jaise wo paon pariyon k par hoon jaise
nahi hai teri misaal jaana main thak gaya hoon bata bata k….!!



Chirag-e-Shab

ghazal

Chirag-e-Shab Ko Jese
Aandhiya’n Achi Nahi Lagti’n

Kuch Aise Hi Humei’n
Khush-Fehmiya’n Achi Nahi Lagti’n

Jinhe’n Sonay k Pinjrey Mein
Ghiza Mil Jaye Chaandi Ki

Unhei’n Phir Umr Bhar
Aazadiya’n Achi Nahi Lagti’n

Wo Jin K Dil Mein Fasl-e-Gham
Ne Derey Daal Rakhy Hon

Unhe’n Phoolo’n Pe Bethi Hui
Titliya’n Achi Nahi Lagti’n

Mera Dil Chahta Hy Unhe’n
Aaena Dikhao’n MOHSIN

Wo Jin Ko Doosro’n Ki
Khoobiya’n Achi Nahi Lagti’n … !!!



Kia poochty ho

ghazal

Kia poochty ho tere hijar mein kya sochty hain,,,
Saja k tum ko ankhon mein sada sochty hain,,,
Tere wajood ko chu kar guzarti hai kabhi,,,
Hum us hawa ko b jannat ki hawa sochty hain,,,
Ye apne zarf ki baat hy ya faqat tera lehaaz,,,
Tere sitam ko muqaddar ka likha sochty hain,,,
Mera us shehr-e-adawat mein basera hy jahan,,,
Log sajdon mein b logon ka bura sochty hain,,,



Kitni aziyat se usne mujhko bhulaya hoga

ghazal

kitni aziyat se mujhe usne bhulaya hoga
meri yaad ne usey khoob rulaya hoga

baat be baat jo aankh uski jhalki hogi
usne chehre ko baazuon mein chhupaya hoga

socha hoga usney din mein kai baar mujhe
naam hatheli pe bhi likh likh kar mitaya hoga

jahan usne mera zikr suna hoga kisi se
uski aankhon mein koi aansu to aaya hoga

raat ko bhi der tak neend na aayi hogi
usney takiye ko bhi seene se lagaya hoga

hoke nidhaal meri yadon se uss ne
meri tasveer se sar apna tikaya hoga

poochha hoga jo kisi ne us ki halat ka sabab
uss ne baaton mein khoob uss sey chhupaya hoga

jab kabhi chand ko dekha hoga akela uss ne
ussey mera pyar bada yaad aaya hoga


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari