Send ghazal


Advertisements


ghazal

Welcome to the largest collection of ghazal. You can send these ghazal to Pakistan Send these mobile ghazal message to your friends and enjoy.

Ankhen

ghazal

Mujh sy milty hn tu milty hn chura kr aankhen
Phr wo kis k lye rkhty hn saja kr aankhen

Mae unhen dekhta rhta hon jahan tak dekhon
Aik wo hn k jo dekhen na utha kr aankhen

Us jaga aj b betha hon akela yarooo
Jis jaga chor gae thy wo mila kr aankhen

Mujh sy nazrain wo aksar chura leta h faraz
Mae ny kaghaz py b dekhi hn bana kr aankhen



Ranj ki jab guftagu hone lagi

ghazal

Ranj ki jab guftaguu hone lagi
Aap se tum tum se tuu hone lagi

Chaahiye paiGambar dono taraf
Lutf kyaa jab duu-ba-duu hone lagi

Meri rusawaai ki naubat aa gai
Unaki shoharat quu-ba-quu hone lagi

Naazir bar gai hai is qadar
Aarazuu ki aarazuu hone lagi

Ab to mil kar dekhiye kyaa rang ho
Phir hamaari justajuu hone lagi

`DaaG` itaraaye hue phirate hai.n aap
Shaayad unaki aabaruu hone lagi



Yeh kiske khawb dekhne lagti hain nigahen

ghazal

Ye kiske khaab dekhne lagti hain nighahen,
Kis shaks ko raaton mai un takti hani nighahen,

Youn roothna manana na jane kiske saath,
Aansoo baha bahake kisko bakti hain nighahen,

Aahat bhi nahi hone detin hai jighar ko,
Ye kiski tasveer palkon mai rakhti hain nighahen,

Karti hain jane kiske ye aane ka intazaar \”shamsh\”,
Choraha dekhti hain raah takti hain nighahen,



Puchtey hain wo bhi sawal jawabon ki tarha

ghazal

Mere is dil ki keetabon ki tarha,
Puchtey hain wo bhi sawal jawabon ki tarha,

Wo agar kholtey hain pani ki tarha,
To hum bhi jaltey hain aaftabon ki tarha,

Wo koi phool ho nahi saktey,
Unki khushboo hai sharabon ki tarha,

Dil mai aata hai unka ho jaoon,
Mai bhi gulshan ke gulabon ki tarha,

Unse rakhta hoon mai dua e kher,
Unse rishta hai mera janabon ki tarha,

Wo unke hont surkh sholo se ‘shamsh’
Dekhney mai hain kababon ki tarha,



Tere aney ka silsila nikla

ghazal

Tere aane ka silsila nikla,
Thoda socha to ye pata nikla,
Ranj ka sara khel hai chahat,
Sab ka ek ye hi fesla nikla,
Door duniya se ghar basa leta,
Par mera ghar tera dayera nikla,
Mere bare mai sochta hai wo,
Kaise wo bawafa nikla,
Kaisi ye aag hai bata de mujhe,
Jisko dekha wo diljala nikla,
Baat bebaat ka fasana tha,
Kitna muddat mai fesla nikla,
Jiske ghar mera aana jana tha,
Wo shaksh mujhe mar mita nikla,
Aaj to had hi ho gayi “shamsul”
Bewafa sara kafila nikla.



Kisi se dil ko lagake dekho

ghazal

Kisi se dil ko lagake dekho,
Mujhi se nazaren milake dekho,
Tumhe ye duniya haseen lagegi,
Humare nazdeek to aake dekho,

Simatke duniya tumhari bhahon,
Ke dayeron mai cheep jayegi,
Kabhi to apne labon se mere,
Labon se thoda milake dekho,

Chupa rahe hain tumhare gesoon,
Tumhare shano ki chandni ko,
Deewana sa ho raha hai ye dil,
Na ase tum sharmake dekho,

Tere isharon pe sari duniya,
Tere haseen peron mai jhuka doon,
Mdgar hai ye sharat mere jahan mai,
Kadam to apna badhake dekho.

Shayar – Shamsul Huda



Tere ishq ka churcha na karen gay

ghazal

Ghazlon mein tere ishq ka churcha na karen gay
Hum tujh ko yuon sar-e-aam ruswa na karen gay

Kiyon hum peh uthaeen sang-e-malamat ki fasilein
Behtar hai tere shehar mein hum aaya na karen gay

Yeh chaand yeh taary yeh haseen raat ka aalam
Munsoob tere naam se kya kya na karen gay

Wiraan hoey qasr-e-tamana ke dareechy
Aabaad kabhi pyar ki ab duniya na karen gay

Har cheez ki bohtaat mein nuqsaan bohat hai
Shiddat se kisi shakhs ko chaha na karen gay?



Ki wafa or zindagi saza hogayi

ghazal

Mohabbat hum ne ki jo ek khata hogayi
Ki wafa or zindagi saza hogayi

Wafa karte rahe hum ibadaton ki tarhan
Phir ibadat khud ek gunah hogayi

Kitna suhana tha safar jab sath thay hum
Phir kia howa kyun manzil juda hogayi

Koi chahat koi hasrat koi umeed nahi rahi
wo gaya to laga dunya fana hogai?



Aaj gar teri deed ho jaye

ghazal

Aaj gar teri deed ho jaye,
Ae mere chand meri eid ho jaye,
Saal bhar ke liye phir meri nazar,
Tere dar ki mureed ho jaye,
Eid ka chanda kar raha hoon main,
Aaj to ek rasheed ho jaye,
Mera sahar to usne chod diya,
Ab bhala kaise eid ho jaye,

Poet – Shamsul Huda



Jo na hona tha hua kyun

ghazal

Jo na hona tha hua kyun, main ishi soch mai hoon,
Raha mujhse wo juda kyun, mai ishi soch mai hoon,

Youn to har shay mai hai uska hi chamakta chahra,
Dil e beemar ka ek wo hi to masheeha hai,

Phir na jane wo mujhse hai khafa kyun, main ishi soch mai hoon.

Meri chahat ka nighebaan hai wo mera sanam,
Meri khushiyon ka ek wo hi to khajana hai,

Phir in haathon ki lakeeron ke alag nishan kyun, main ishi soch mai hoon.

Uske aane se to har shay mai roshnayi hai,
Wo mahakta hai to baagon mai aati hai bahaar,

Phir wo mera shahe khuba mujhse ba-dua kyun, main ishi soch mai hoon.

Jo na hona tha hua kyun, main ishi soch mai hoon.
Raha mujhse wo juda kyun, main ishi soch mai hoon.

shayer : Shamsul Huda


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more ghazal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari