Send intezaar poetry


Advertisements


intezaar poetry

Welcome to the largest collection of intezaar poetry. You can send these intezaar poetry to Pakistan Send these mobile intezaar poetry message to your friends and enjoy.

Dil Beqaraar Apna Hai

intezaar poetry

Tu Paas Bhi Ho Tu Dil Beqaraar Apna Hai
K Ham Ko Tera Nahi Intezar Aapna Hai

Woh Dur Ho Tu Baja Terk-E-Dosti Ka Khiyal
Woh Saamnay Ho Tu Kab Ikhtiyaar Apna Hai

Zamanay Bher K Dukhon Ko Laga Liya Dil Se
Is Aasray Pe K Aik Ghamgusaar Apna Hai

Milay Koi Bhi Tera Ziker Chair Daitay Hain
K Jaisay Saara Jahan Raazdaar Apna Hai



Doob Rahi Hain Saansain

intezaar poetry

Doob Rahi Hain Saansain Magar Ye Gumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai

Muddat Hoee Ek Shakhs Ko Bichrhey Lekin
Aaj Tak Merey Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai

Wo Saayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahee
Abhi To Merey Sir Pe Ye Aasmaan Baaqi Hai

Kashti Zara Kinaarey Ke Qareeb He Rakhna
Biphri Hoee Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai

Tumharey He Ashkon Ne Lab Si Diye Warna
Abhi To Merey Dukhoon Ki Bohut Daastan Baaqi Hai

Ghamon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhain
Ke Abhi To Merey Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai

Ja Chukey Hain Sab Log Khamosh Parhi Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai



Tere Firak Ke Lamhe

intezaar poetry

Tere Firak Ke Lamhe Shumar Kerte Howe
Bekhar Gaye Tera Intazar Kerte Howe

To Main Bhi Khush Hoon Koi Us Say Jake Keh Day
Agar Woh Khush Hai Mujhe Bekarar Kerte Howe

Main Muskarata Howa Ainay Main Ubher Aonga
Woh Roo Paregi Achanak Singhar Kerte Howe

Tumhe Khaber Hi Nahi Koi Toot Gaya
Mohabbaton Ko Bohat Paidar Kerte Howe

Woh Keh Rahi Thi Samander Nahi Hain Ankhain Hain
Main Un Main Doob Gaya Aitebar Kerte Howe

Mujhe Khaber Thi Ke Abh Loot Ker Na Aooga
Tujh Ko Yaad Kiya Der Paar Kerte Howe



Koii Pukaar Rahaa Thaa

intezaar poetry

Zahanaton Ko Kahan Karb Se Farar Mila
Jise Nigaah Milii Usako Intazaar Mila

Vo Koii Raah Kaa Patthar Ho Yaa Hasiin Manzar
Jahan Se Raastaa Thaharaa Vahiin Mazaar Mila

Koii Pukaar Rahaa Thaa Khulii Fizaaon Se
Nazar Uthaaii To Chaaro Taraf Hisaar Milaa

Har Ek Saans Na Jaane Thii Justajuu Kis Kii
Har Ek Dayaar Musaafir Ko Bedayaar Milaa

Ye Shahar Hai Ki Numaish Lagii Huii Hai Koii
Jo Aadamii Bhii Milaa Banake Ishtahar Milaa



Aankhon Se Baar-E-Intizaar

intezaar poetry

Ab To Uth Saktaa Nahin Aankhon Se Baar-E-Intizaar
Kis Tarah Kaate Koi Lail-O-Nahaar- E-Intizaar
Unkii Ulfat Ka Yaqeen Ho Unke Aane Kii Ummiid
Hon Ye Dono Suuraten Tab Hai Bahaar-E-Intizaar
Merii Aahen Naa-Rasaa, Merii Duaein Naa-Qubuul
Yaa Ilaahii Kya Karo Main Sharmsaar-E- Intizaar
Unke Khat Kii Aarzuu Hai, Unkii Aamad Kaa Khayaal
Kis Qadar Peilaa Hua Hai Kaarobaar-E- Intizaar



Dil Diya Aitbar Ki Had Thi

intezaar poetry

Dil Diya Aitbar Ki Had Thi
Jaan De Dih Yeh Mere Pyar Ki Had Thi
Mar Ke Bhi Aankhen Khuli Reh Gayi
Aur Kuch Nahi Yeh Teri Intezar Ki Had Thi



Tera Intezaar Krna Hai

intezaar poetry

Wafa Me Ab Ye Hunar Ikhtiar Karna Hai
Woh Sach Kahenakahe Aetabar Karna Hai
Yeh Tujhko Jagte Rehne Ka Shauk Kabse Hua
Mujhe Tau Khair Tera Intezaar Krna Hai



Jab Se Jeevan Tery Sung Laga Ha

intezaar poetry

Jab Se Jeevan Tery Sung Laga Ha
Zindagi Ko Ik Or Naya Rung Laga Ha
Ik Arsa Hoa Tjh Se Mulakat Ko
Zuban Koo Meri Jasy Zang Laga Ha



Ankhon Se Jahan Dekh Raha Hun

intezaar poetry

Sab Apki Ankhon Se Jahan Dekh Raha Hun
Mai Apki Nazron Me Jahan Dekh Raha Hun
Tu Dhoodh Rahi Ho Gi Mujhko Wahan Ao
Aur Mein Kab Se Teri Raah Yahan Dekh Raha Hun



Beqarar Bhi Kion

intezaar poetry

Bila Jawaz Rakhein Khud Ko Beqarar Bhi Kion
Jo Tu Nahin To Phir Tera Intezar Bhi Kion

Akele Pan Ka Safar Jab Mera Muqaddar Hai
To Phir Ae Wada Shikan Teri Rehguzar Bhi Kion

Usey Ganwa Ke Raha Ab Khizaon Ki Zad Mein
Jo Woh Nahin To Phir Mosam-E-Bahar Bhi Kion


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more intezaar poetry.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari