Send nazam


Advertisements


nazam

Welcome to the largest collection of nazam. You can send these nazam to Pakistan Send these mobile nazam message to your friends and enjoy.

Barishon ke mausam mein

nazam

barishon k mosam men
muhabbaton k alam men

main ne us se pocha tha
chor to na jao gey?
us ne hath thaam kr
pyar se mujhe bola’
kese chor sakta hon?
tum to jan ho meri.

or aj aisa ha.

barishon k mosam men
wehshaton k alam men
main ne us se pocha ha?
chor k jo jana tha
muskurati galion men
to aas kyun dilai thi?
pyaas kyun jagai thi?

chaltey chaltey wo bola
mosmon ki adat ha
waqt par badal jana.



Judaii ke khadshon se darne ka mausam

nazam

Hawa uss se kehna…
ke ab shehr-e-dil mein
koi sa hu mausam
teherta nahi hai.
Muhabbat ka, yah beqarari ka mausam
bharosey ka yah be-itbaari ka mausam
Hu bechain rehne yah kerne ka mausam
yonhi besabab jeene merne ka mausam
Yah hu hijer mein aahien
bherne ka mausam

judaii ke khadshoon se
darne ka mausam



Woh ik aasman hai

nazam

Is dil ka ik arman hai
ik chand me hmari jaan hai.
Jise dur se dekhna to mumkin hai
Par milna kahan aasan hai.
Kyon ki hum to ik zameen hain
Arr Vo ik aasman hai



Agar pyar nahin karna

nazam

Agar pyar nahi karna ho to dil ko na lagana
Apna chain kho kar khud ko na rulana
Jis dil ko pyar karna na usko tod dena
Yeh aaj ka nahi hai kissa hai purana
Ulfat me aaj dekho koi kya se kua bana hai ?
Koi ashq hai bahata koi ban gaya diwana
Kuch logo ne pyar ko aise badnam kar diya
Kyu karte ho pyar jab aata nahi nibhana
Kuch ladke ladkiyan pyar ko kyu khel hai samjhte ?
?FAIZAL? ko bata do yeh kyu karta hai zamana?..



Chalo door kahin chalte hain

nazam

Chalo door Kahin chaltay hain
Kahin peron kay saye Main
Kahin sapnon ki wadi main
Ya kahin jheel Kinaray Per
chalo chaltay hain Kahin Jana
Mohabbat Mehsoos Kartay hain
Teray Kandhay pay sar Rakhay
Jo badal chu kay guzrain To
jo barish ham pay barsay To
Buhut si ankahi batain Khamoshi ki zaban main
Buhut aahista say jana Hamry dil main Utar ayain
kabhi shabnam pay nangay paon,
Teri qurbat kay lamhon main
zamanay bhar say be-khabar
Kahin shehr-e-mohabbat ki zamin pay dono ja pohnchain
nazar main tera chehra ho
faza main khusbu hamri ho
na apni khabar tumhain kuch ho na apna pata mujhe kuch ho
Mohabbat ki khamoshi ho,
Mohabbat ki kahani ho
Mohabbat ki zabani ho!!!!



Kash aisa hua hota

nazam

Kash Aisa Hua Hota..!!!
Chaha Tha Maine Tujhe Be Intihaa
Tou Mera Bas Mera Hua Hota..!!!
Abb Jo Hain Ansu Teri Masoom Aankhon mein
Phir Na Hote Ye
Tou Mera Bas Mera Hua Hota..!!!
Nehin Acha Lagta Abb Mujh ko
Tera Bickharna Toot Kar
Tou Ghum Mein Rahe Ye Bi Bardashat Nehin
Janta Hon Koi Nehin Hai Abb Tera
Tujhe Ahsas Hai
Hai Kuch Tou Haraan Bi Apno Ke Raviye Se
Bhrosa Tha Tujhe Kitna,
Kitna Tou Mazboot Thi
Kese Kese Dekhe The Tune Khawab
Magar Khawabon Ko Tootne Ka Waqt Na Laga
Sochta Hon Teri Bheegi Palkon Pe Apna Naam Likha Hota
Kash Aisa Hua Hota…!!!
Chaha Tha Tujhe Maine Be Intihaa
Tou Mera Bas Mera Hua Hota…!!! :'(



Sirf ek larki

nazam

Apnay Sard Kamray Main
Main Udaas Bethi Hoon
Neem-Wa-Dareechon Say…
Num Hawaein Aati Hain
Merey Jism Ko Chhuu Kar
Aag See Lagati Hain
Tera Naam Ley Ley Kar
Mujhko Gudgudati Hain
Kaash Merey Parr Hotay
Terey Paass Urr Aati
Kaash Main Hawaa Hoti
Tujh Ko Chhuu Kay Laut Aaati
Main Nahi Magar Kuch Bhi?!!
Sung Dil Rawajon Kay
Aahni Hisaron Main
Umarr Qaid Ki Mulzim
Sirf Aik Larki Hoon?!!!



Chalo kuch der hanstey hain

nazam

Chalo Kuch Dair Hastay Hain …
Muhabbat par Inayat par …
K b-bunyad baten hain …
Sabhi rishtay Sabhi Natay …
Zarurat ki Hain Eejaaden …
Kahin Koi nahi merta Ksi k Wastay jana …
K sub hai Phair lafzoon ka …
Hai sara Khail herfon ka …
Nahi hai mehboob koi b …
Sabhi Jumlay say kastay hain …
Chalo Kuch dair Hastay hain …
Usi ko Yaad kertay Hian …
jisay hum Zeest Kehtay hain ..
K lena Sans Bin jis k …
Humain Ik Jurm Lagta Tha …
Bala ka taiz Lagta Tha …
Jo Saya Bun k Rehta Tha …
Juda Ab Us k rastay hain …
Chalo kuch Dair Hastay hain



Bas itni si guzarish hai

nazam

Bas Itni Si Guzarish he,
Na Sagar se Moti chahta hu, Na Samandar se Pani chahta hu,
Na Suraj se Roshni chahta hu, Na Rat se Andhera chahta hu,
Na Phulo se Khushbu chahta hu, Na Bhavro se Git chahta hu,
Na Badal se barsat chahta hu, Na Asman se Sitare chahta hu,
Bas ek hi Sapna he Mera, Bas ek hi Khvahis he Meri,
Bas itni si Guajarish he Meri ke me Sirf Tuje chahta hu,
Bas itni si chahat he ki Tere Dil me Meri Sanso ko Panah chahta hu,
Tere Dil me Meri Dhadkan chahta hu, Meri har Ruh me Tera Asar chahta hu,
Teri Ankho me Mera Pyar chahta hu, Mere Dil me Teri Tasvir chahta hu,
Bas itni si Guzarish he Tere Dil Mere liye thoda sa Pyar chahta hu…



Rasta bhi uska tha

nazam

Manzilen bhi us ki thi,
Rasta bhi us ka tha,
Mein ik akeli thi,
Qafila bhi uska tha,
Sath chalny ki soch bhi uski thi,
Or phir
Rasta badalnay ka faisla bhi uska tha,
Aj mein akely houn,
Dil shoor karta hy,

Kia log bhi usky thy,
Kia khuda bhi uska tha?


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more nazam.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari