Send soch poetry


Advertisements


soch poetry

Welcome to the largest collection of soch poetry. You can send these soch poetry to Pakistan Send these mobile soch poetry message to your friends and enjoy.

Sham Ke Dehleez Pe Bethe

soch poetry

Bheegi Howi Ek Sham Ke Dehleez Pe Bethe
Har Dil Ke Sulagne Ka Sabab Soch Rahe Hain



Sochta Hoon K Mohabbat Sey

soch poetry

Sochta Hoon K Mohabbat Sey Kinara Kar Loon
Dill Ko Begana-E Targeeb-O Tammanna Kar Loon

Sochta Hoon K Mohabbat Hay Junoo.N -E Ruswa
Chand Be-Kaar Sey Be-Hooda Khayaloo.N Ka Hojoom
Aik Aazad Ko Paband Banan?ey Ki Hawis
Aik Begaaney Ko Apnaney Ki Sa?ai-E Mohoom

Sochta Hoon K Mohabbat Hay Sar?R-E Masti
Is Ki Tanweer Main Roshan Hay Fizaa-E Hasti

Sochta Hon K Mohabbat Hay Bashar Ki Fitrat
Iska Mit Jana, Mita Dena Bohat Mushkil Hay
Sochta Hoon K Mohabbat Sey Hay Tabindah Hayyat
Aap Ye Shama Bujha Dena Bohat Mushkil Hay

Sochta Hoon K Mohabbat Pe Kari Shartain Hain
Ik Tamad?dun Main Mussarrat Pe Kari Shartain Hain

Sochta Hoon K Mohabbat Hay Ik Afsurda Si Laash
Chadaar-E Izzat-O Namoos Main Kafnaai Hoii
Door-E Sarmaya Ki Rondhi Hoi Ruswa Husti
Dargaah-E Mazhub-O Ikhlaaq Sey Thukraai Hoi

Sochta Hoon K Bash?r Aur Mohabbat Ka Junoo.N
Aisi Boseeda Tamaddun Sey Hay Ik Kaar-E Zaboo.N

Sochta Hoon K Mohabbat Na Bachey Gi Zinda
Paish Az Waqt Ki Sar Jaay Gi Galti Hoi Laash
Yehi Behter Hay K Begana-E Ulfat Ho Kar
Apney Seeney Main Karoo.N Jazba-E Nafrat Ki Talaash

Aur Soda-E Mohabbat Sey Kinara Kar Loon
Dill Ko Begaana-E Targeeb-O Tammanna Kar Loon



Agar Sadaein Dein

soch poetry

Umer Bhar Bhi Agar Sadaein Dein
Beet Kar Waqt Phir Nahi Murte
Soch Kar Torna Inhe Saqi
Toot Kar Jaam Phr Nahi Jurte



Rang The Us Ke Libas Mein

soch poetry

Sare Dhanak Ke Rang The Us Ke Libas Mein
Khusbu Ke Sare Rang Use Sochne Mein The
Har Baat Jante Howe Dil Manta Na Tha
Hum Jane Aetbar Ke Kis Marhale Me The



Mein Apni Ankh Me

soch poetry

Mein Apni Ankh Me Jab Us Ke Khuwab Sochta Hoo
To Kushboon Se Mehakte Gulab Sochta Ho
Ye Meri Taqat Parwaz Ka Hunar Hai Ke Mein
Huroof Likhta Hoon Laikin Kitab Sochta Hoon



Ishq Pagal Kar Gaya

soch poetry

Ishq Pagal Kar Gaya Tou Kya Kare Ge Soch Lo
Sanha Aisa Howa To Kya Karo Ge Soch Lo
Sath Us Ke Har Qadam Chalne Ki Adat Kis Liye
Chor Ke Wo Chal Diya To Kya Karo Ge Soch Lo
Shor Bahir Hai Abhi Is Waste Khamosh Ho
Shor Ander Gir Utha To Kya Karo Ge Soch Lo
Kar Rahe Ho Ghar Naya Tameer Urti Rait Per
Ye Achanak Gir Para To Kya Karo Ge Soch Lo
Band Palko Per Adhore Khuwab Bante Ho Magar
Koi In Me Aa Basa To Kya Karo Ge Soch Lo
Dar Dareche Sab Muqfil Kar Ke Bethe Ho Magar
Wo Achanak Aa Gaya To Kya Karo Ge Soch Lo
Doobte Sooraj Ka Chehra Aur Us Ki Naqhs Pa
Jab Wo Manzar Gum Howa To Kya Karo Ge Soch Lo



Wo Tou Milta Hy

soch poetry

Wo Tou Milta Hy
Mehdood Se Lamho?n
Main Mujh Ko Faraz

Phir Bhi Dil Hy k Kitni
Fursat Se Sochta Hy
usay?



Bheegi hui ik shaam

soch poetry

Bheegi hui ik shaam ki dehleez pe baithe,
Main dil k sulagne ka sabab soch raha hun,
Duniya ki to aadat hai badal leti hai aankhein,
Main uske badalne ka sabab soch raha hun



Ek Nazar Ki Aas Me

soch poetry

Ek Nazar Ki Aas Me
Khud Reh Jao Gy

Is Trha Mat Dkho Wrna
Dekhty Reh Jao Gy

Bila Jhijhak Keh Do
Aaj Apne Dil Ki Baat

Socho Gy Tou Zindagi
Bhar Sochty Reh Jao Gy


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more soch poetry.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari