urdu urdu sad shayari


Advertisement


urdu sad shayari

Welcome to the largest collection of urdu sad shayari. You can sen these urdu sad shayari to pakistan and india. Send these mobile urdu sad shayari message to your friends and enjoy.

Kismat K Wisaal-E-Yaar Hota

urdu sad shayari

Yeh Na Thi Humari Kismat K Wisaal-E-Yaar Hota ?

Ager Or Jeete Rehte Tu Yehi Intazar Hota,
Kahoon Kiss Se Main K Kia Hai,
Shab-E-Ghum Bori Bala Hai,
Mujhe Kia Bora Tha Marna,
Ager Aek Baar Hota,

Yeh Na Thi Humari Kismat K Wisaal-E-Yaa Hota ..

Koei Mere Dil Se Poche,
Tere Teer Neem Kash Ko,
Yeh Khalish Kahan Se Hoti,
Ju Jiger K Paar Hota,

Tere Wade Per Jiye Hum,
Tu Yeh Jaan Jhot Jana,
K Khoshi Se Mar Na Jate Ager Etbaar Hota,

Yeh Na Thi Humri Kissmat K Wisaal-E- Yaar Hota

Yeh Kahan Ki Dosti Hai.
K Bane Hain Dost Saqi.
Koi Chehra Saaz Hota.
Tu Yeh Na Ghumm Saath Hota.



Sulagti Raat

urdu sad shayari

Sulagti Raat Ghani Chandni Si Hoti Hai
Tumhare Sath Ye Duniya Nayi Si Hoti Hai

Gale Mein Uske Khuda Ki Ajeeb Barkat Hai
Wo Bolta Hai To Ik Roshni Si Hoti Hai

Kiran Nikalne Se Pehle Gulab Dekhe Hai
Tumhari Yaad Mein Wo Tazgi Si Hoti Hai



Katoon Si Chubhti Hai Tanhai

urdu sad shayari

Katoon Si Chubhti Hai Tanhai
Angaroon Si Sulagti Hai Tanhai

Koi Aa Kar Hum Dono Ko Hunsa De
Main Rota Hoon Rone Lagti Hai Tanhai

Jab Bhi Tere Hisar Se Nikalna Chaha
Yaadoon K Beej Bone Lagti Hai Tanhai

Raat K Kisi Hise Main Yeh Bhi Bewafa Ho Jati Hai
Main Nahi Sota Sone Lagti Hai Tanhai

Tum Se Judaa Ho Kar Is Se Hi Dil Laga Lia Hai
Mar Sa Jata Hoon Jab Khone Lagti Hai Tanhai



Bari Uljhano Main Hon

urdu sad shayari

Tere Qareb Aa Kay Bari Uljhano Main Hon,
Main Dushmanon Main Hon K Tere Doston Main Hon,

Badla Na Mere Baad Bhi Mouzu-E-Guftago,
Main Ja Chuka Hon Phir Bhi Teri Mehfilon Main Hon,

Mujh Se Bichar K Tu Bhi To Roeyga Umer Bhar,
Yeh Soch Lay K Main Bhi Teri Khuwahishon Main Hon,

Tu Hans Raha Hai Mujh Pey Mera Haal Daikh Ker,
Or Phir Bhi Main Shareek Tere Qehqahon Main Hoon.



Na Jo Thum Sakay Kisi Aur Say

urdu sad shayari

Na Jo Thum Sakay Kisi Aur Say,
Main Bujhta Aik Chiragh Hoon,

Mera Room Room Dard Dard,
Meray Dukh Ka Sira Nahin,

Meri Laghzishon Main Pali Barhi,
Koi Khoi Kahani Bhi Hai,

To Jo Sath Hai To Sukoon Naheen,
To Jo Rooth Gia To Azab Hai,

Meri Zindagi Hai Aik Goo Mago,
Mujhay Roshni Milti Naheen



Ye DiL Bhi T0 Sirf Usi Ke Liye Tha

urdu sad shayari

? Kisi K Liye Zindagi Thi ?

? K0i Zindagi K Liye Tha ?

? Kisi Ki Andher0n Me Guzri ?

? K0i Sirf R0shni K Liye Tha ?

? Kisi Nay Kiye Hukam Sadir ?

? K0i Sirf Bandagi K Liye Tha ?

? Kisi Say M0habbat Hai Itni ?

? K0i Sirf Dushmani K Liye Tha ?

? Kisi Say Huay L0g Sairaab ?

? K0i Sirf Tishnagi K Liye Tha ?

? W0 Phir Dunya Me Tha Masr00f ?

? K0i Sirf Usi K Liye Tha ?

? Hua Kya Agar T0rh Dala ?

? Ye DiL Bhi T0 Sirf Usi Ke Liye Tha?



Akela Chorh Dun Is Rah Me

urdu sad shayari

Me Usy Kese Akela
Chorh Dun Is Rah Me

Sath Jo Chalta Raha
Majburio?n k Baad b

Ban k Khushbu Rach Gya
Hy Yun Mere Ehsas Me

Duur Ho Paya Nhi Wo
Durio?n K Baad b

Rafta Rafta Usko b Ye
Dunya Raas Aa Gai

Muskura K Wo MIla Hy
Ranjisho?n K Baad b

aasly Kb Kam Huey Hyn
Raabto?n k Baad b

Ajnabi Thay Ajnab Hyn
Mohabbato?n k Baad Bhi



Mere Wajud Main Wafa

urdu sad shayari

Mere Wajud Main Wafa
Ki Roshni Utaar De

Phr Itna Pyar De k Mujhy
Chahato?n Main Maar De

Bohat Udaas Tha So Uth
K Tere Paas Aa Gya

Kuch Aisi Baat Ker Jo
Dil Ko Chain-o-Qarar De

Suna Hy Teri Ek Nazar
Sanwarti Hy Zindagi

Jo Ho Saky Tou Aaj Meri
Zindagi Sanwar De



Mujhe rone do

urdu sad shayari

Paana bahut kuch chahta hoon magar
Bas aaj khud ko kahin khone do

Karne ko baatein hain bahut magar
Bas aaj mujhe chup hone do

Jhinjhod diya hai zindagi ne aaj itna
Ye toofan shaant to hone do

Apne hi jiwan ki raahon mein kaante
Apne hi haathon fir bone do

Fir se bachpan jeena hai mujhko
Koi mere woh toote khilone do

Toote hue khwabon ko sametoon to kaise
Mujhe naye kuch swapan salone do

Pyar to khud se bahut kiya hai
Aj khud se nafrat bhi hone do

Insaan thashayad, ye kya ban gaya
Kuch der iska ehsaas to hone do

Sapne dekhne hain fir se mujhe
Kuch der ke liye bas sone do

Jeena main bhi chahta hoon shayad
Aaj magar mujhe rone do?



Mujhey Daikh Kar Jo Ikk Nazar

urdu sad shayari

Mujhey Daikh Kar Jo Ikk Nazar Mairey Saarey Dard Samajh Sakey

Jo Iss Qadar Ho Chara-Gar Mujhey Uss Nigaah Ki Talaash Hai



Mahobbaton ka dawa

urdu sad shayari

Jo kabhi teri nazar se guzar jaya kerte hain
woh sitare aksar toot ke bikhar jaya kerte hain

Hum kisi se mahobbaton ka dawa to nahi kerte
haan magar wafaon pe hum mar jaya kerte hain

Mausam ke hijir bhi.. ye guzare ga to kabhi
mausam ke isi aas main guzar jaya kerte hain

Mohabbaton ki ehmiat se waqif nahi hai woh
kuch log bas inhi se sawar jaya kerte hain

Bujhati to nahi barishoon se selaab hi sada
phir teri wafa se kyun hum dar jaya kerte hain

Kuch log apne dukhoon ki numaish nahi kerte
bas khamoshi se ander hi bikhar jaya keret hain

Woh aansoo jo palkoon ki zeenat nahi bante
woh chup chap se dil main utar jaya kerte hain



Kuch bhi nahi

urdu sad shayari

???kuch bhi nahi?
Mere paas dard-e-dil ke siwa kuch bhi nahi
Rakh sakun in zakhmo pe marham.
Aisi dawa ?Kuch bhi nahi?

Mujh se na kar phoolon ki umeed.
Mere daman mein kaanton ke siwa ?kuch bhi nahi?

Na kar shikwa meri tanhai ka kabhi
Mere paas gham-e-judai ke siwa ?kuch bhi nahi?

Tu rahe hamesha ujaalon mein sanam
Meri zindagi mein andhere ke siwa ?kuch bhi nahi?

Kyun mai karun tujh se ab wafa ae zalim
Tere paas bewafai ke siwa ?kuch bhi nahi?

Ab to na aaenge hum teri mehfil mein kabhi
Tere paas mere liye ruswai ke siwa ?kuch bhi nahi?

Tu ne na jana mere pyar ko kabhi
Tere seene mein paththar dil ke siwa ?kuch bhi nahi?

Kya cheer ke bataon mai apna dil tujh ko
Mere dil mein tere zakhmo ke siwa ?kuch bhi nahi?

Ab aur na jala khud ko ae BIPIN us ke liye
Wo to bewafa hai uske pyaar mein tujhe hasil.

?Kuch bhi nahi?.?



Wo Lamhe

urdu sad shayari

Wo Lamhe Jo Mujhe Chuh Kar Nahi Gujre
Wo Lamhe Jo Mujhe Chuh Kar Nahi Gujre,
Wo Waqt Jo Meri Yadoon Mein Nahi Dhala,

Kyon Bhul Nahi Pata Mein,
Kyon Reh Reh Kar Yaad Ata Hai Mujhko.

Wo Raat Jo Meri Ankhoon Mein Saji Hain,
Wo Khushbu Meri Sanson Mein Basi Hain,

Kyon Badalon Si Bhar Ati Hain
Kyon Bundon Si Baras Jati Hain

Wo Sawan Jo Mere Dar Par Aya Hii Nahii,
Wo Barsat Jisne Kuch Barsaya Hii Nahii,

Kyon Uska Intezar Ab bhi Hain,
Kyon Dil Bekrar Ab Bhi Hain

Ashayein Kyon Mit Ti Nahii,
Umeede Kyon Ghat Ti Nahii,

Dhuan Dhuan Dil Kaa Jahan Hain,Mein Heraan Hoon,
Fir Bhii Kyon Arman Jawan Hain,Mein Heraan Hoon



Meri wafa ne banaya hai bewafa

urdu sad shayari

Karoon to kis liye aakhir karoon malal us ka,
usey nahin to mujhey bhi nahin khayal us ka,
Meri wafa ne banaya hai bewafa us ko,
Kisi ada par nahin hai kamal us ka,
Mere naseeb ki yeh bhi to khush naseebi hai,
Ke mujh ko dekh ke sab pochte hain hal us ka,
Yehi doa main karon har baras ke pehley din,
Mere bagher na guzre koi bhi saal us ka,
Mere urooj ko us ke naseeb main likh dey,
KHUDA-E-PAK mujhey soonp de zawaal us ka..



kahin ek aakhri hadd

urdu sad shayari

kahin ek aakhri hadd hai jahan dil ko bikharna hai
wahin se phir mujhe apna safar aaghaaz karna hai

main suraj hoon andheron se mujhe kya farq parta hai
jahan main aaj dooba hoon wahin se kal ubharna hai

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more urdu sad shayari.



Search Urdu Poetry




RSS Shayari

  • Koi Dhun Ho, Main Tere Geet Gaaye Jaaon.. May 21, 2012
    Koi Dhun Ho, Main Tere Geet Gaaye Jaaon Dard Seene Mein Uthe Shor Machaye Jaaon, Khawab Ban Kar Tu Barasta Rahe Shbnam Shabnam Aur Bas Mein isi Mosam Mein Nahaaye Jaaon, Tere Rang Utarte Chale Jaayen Mujh Mein Khud Ko Likhon Teri Tasveer Baanye Jaaon, Jis Ko Milna Nahi Pher Is Se Muhabat Kaisi Sochta Jaaon Magar Dil Mein Basaaye Jaaon, Tu Ab Is Ki Jis Par Mu […]
  • Aadmi ne poori jannat haar di May 21, 2012
    Aadmi ne poori jannat haar di, Sirf ek gandum ke daaney per.. (gandum;flour seeds, used to make roti) … […]
  • Kamaal ka peer hai ishq.. May 20, 2012
    Kamaal ka peer hai ishq, Chor diya mureed kar ke.. … […]
  • Jisko Chaha Jata Hay, Zarori Ye Nahi Hota Ke Usko Pa Liya Jaey.. May 20, 2012
    Mohhabat Dukh To Deti Hay Magar Eik Bat Kehni Hay Jisko Chaha Jata Hay Zarori Ye Nahi Hota K Usko Pa Liya Jaey Kabhi Us K Bicharne Se Mohabbat Kam Nahi Hoti Zara Si Dair Pahle To Yehi Ehsaas Hota Hay K Koi Ji Nahi Sakta Magar Phir Rafta Rafta Hi Haqiqat KhulTi Jati Hay Mohabbat Wo Nahi Hoti K Jisko Pa Liya Jaey Mohabbat Wo B Hoti Hay Jo Hamesha Sath Rahti Ha […]
  • Ye wafa ka silaa hai May 20, 2012
    Ye wafa ka silaa hai to koi baat nahi, Ye dard apno ne diya hai to koi baat nahi, Yehi bahut hai ki vo dekh rahe hai kinare se, Hum dub rahe hai to koi baat nahi….. … […]
  • Nisar main teri galliyon kay aey wattan.. May 20, 2012
    Nisar main teri galliyon kay aey wattan, Ke jahan chali hai rasm ke koi na sar utha k chalay… … […]
  • Garmi sardi ka ehsaas badan per rehne do May 19, 2012
    Garmi sardi ka ehsaas badan per rehne do, Apne mann ko tann ki sab takleefain sehne do, Apne kaanon ko sab shor sharaba sun’ne do, Apni zubaan ko saari sachi batain kehne do, Apni aankh ke chashme mein sab manzar behne do, Palkon ki is raah ke sarey kaantey chun’ne do, Apni zaat ke pathreeley aur banjar-pan mein Saad, Umeedon ka garam aur meetha chashma behn […]
  • Lag jaye zamaney ki hawa.. May 19, 2012
    Lag jaye zamaney ki hawa, Jaane kab us ko, Woh shakhss bhi insaan hai, Kuch keh nahin sakte.. … […]
  • Mohaabat naam hai jiska wo aisi qaid hai May 19, 2012
    Mohaabat naam hai jiska wo aisi qaid hai, Ke umren beet jati hain, saza pori nahi hoti.. … […]
  • Maazi ka insaan, suna hai, May 18, 2012
    Maazi ka insaan, suna hai, Gherat se bhi mar jata tha.. (maazi;past) … […]