Send yaad poetry


Advertisements


yaad poetry

Welcome to the largest collection of yaad poetry. You can send these yaad poetry to Pakistan Send these mobile yaad poetry message to your friends and enjoy.

Kabhi Khalwatoon Mein Hansa Dia

yaad poetry

Kabhi Khalwatoon Mein Hansa Dia
Kabhi Mehfiloon Mein Rula Diya

Tujhay Kya Khabar Teri Yaad Ne
Mujhay Kaisay Kaisay Sata Diya

Tujhay Kya Khabar Tere Ishaq Mein
Kabhi Namaz Apni Qaza Hoi

Teri Aarzoo Ne Kabhi Kabhi
Mujhay Mere Rab Say Mila Diya



Tapak Padte Hen Ansoo

yaad poetry

Tapak Padte Hen Ansoo Jb Tumhari Yad Aati He
Yeee Wo Barsat He Jiss Ka Koi? Mosam Nahi Hota



Sahar Main Bhi Sham Main Bhi

yaad poetry

Ye Pyari Nigahein Yaad Rahengi
Milkar Na Milne Ki Ada Yaad Rahegi
Mumkin Nahi Ki Main Tumhe Bhula Dun
Aur Umar Bhar Tumhe Bhi Meri Yaad Rahegi



Sahar Main Bhi Sham Main Bhi

yaad poetry

Sahar Main Bhi Sham Main Bhi
Agaz Main Bhi Anjam Main Bhi
Zindagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Sukun Main Bhi Karar Main Bhi
Kaid Main Bhi Farar Main Bhi
Zindagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Javab Main Bhi
Saval Main Bhi
Aaj Main Bhi Filhal Main Bhi
Zindagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Rakib Main Bhi
Yaroo Main Bhi
Tanhai Main Bhi Charo Main Bhi Zindagi
Din Main Tare Dikhati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai



Barey Zamaney Lagay

yaad poetry

Jinhein Bhulaney Mein Yaro, Barey Zamaney Lagay
Jub Dil Dukha Tou Wohi Loog Yaad Aney Lagey



Manzil Hai Na Kinara

yaad poetry

Na Koi Meri Manzil Hai Na Kinara
Tanhai Meri Mehfil Aur Yaadein Mera Sahara
Unse Bichad Kar Kuch Yun Waqt Guzra
Kabhi Zindagi Ko Tarse Kabhi Maut Ko Pukara



Chahne Wale Kam Na Honge

yaad poetry

Tumko Chahne Wale Kam Na Honge
Waqt Ke Sath Magar Ham Na Honge
Apna Pyar Chahe Kisi Ko Bhi Dena
Par Teri Yaad Ke Hakdar Ham Hi Honge



Ek Ghazal

yaad poetry

Sondhee Mittee Kee Khushboo Mien Liptee Huyee Kucch Yaadien
Phoolon Kee Pankhuriyon Mien Sahejay Huye Kucch Lamhaat
Uss Aksmaat Mulaaqaat Kee Goonjtee Huyee Dharkhan
Ek Ghazal Mien Gholee Huee, Kisikay Lafzon Kee Misree
Zehen Mien, Be-Khauf Failtaa Hua Ek Tassavvur Ka Jaadoo
Waqt Kee Aankhon Say Giree Huyee Ek Ashq Kee Boond
Shabnam Say Churayee Huyee, Thorhee See Numee
Ek Ajnabee Say Milee, Be-Takalluf Hansee
Unkee Jhalak Ka Muskurata Hua Khumaar
Ek Chashm Mien Tairtee Huyee Jheel Kee Gehraayee
Zehan Kay Aangan Mien Kheltay Huey Khayaalon Kay Kehkahay
Ek Manzil Pay Baithay Huey Intezaar Kee Kashish



Apni Yaadain Apni Baatain

yaad poetry

Apni Yaadain Apni Baatain Le Kar Jana Bhool Gaya
Jane Wala Jaldi Main Mil Kar Jana Bhool Gaya
Mur Mur Kar Dekha Tha Us Ne Jate Raste Maein
Jaise Us Ne Kehna Tha Kuch Jo Wo Kehna Bhool Gaya
Waqt-E-Ruhsat Meri Aankhain Ponch Raha Tha Aanchal Se
Us Ko Ghum Tha Itna Ziada Khud Wo Rona Bhool Gaya



Ehsaas Hamara Dilaayegi

yaad poetry

Har Aahat Ehsaas Hamara Dilaayegi
Har Hawa Khushbu Hamari Laayegi
Hum Dosti Aisi Nibhaayengey Yaara
Hum Na Honge Tou Yaad Tumhe Sataayegi!


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more yaad poetry.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari