Dasht-E-Tanhai Main

Dasht-E-Tanhai Main..

Dasht-E-Tanhai Main
Aye Jan-E-Jahan Larza Hai
Teri Aawaz Ke Saaye
Teray Honton Kay Saraab
Dasht-E-Tanhai Main
Doori Ke Khas-O-Khak Talay
Khil Rahay Hain Tere Pehloo Ke Saman
Aur Gulab
Uth Rahi Hai Kahin Qurbat Se
Teri Sanse Ki Aanch
Apne Khushboo Main Sulagti Houi
Madham Madham
Door Ufaq Paar Chamakti Hoi
Qatra Qatra
Gir Rahi Hai
Teri Dildar Nazar
Ki Shabnam
Dasht-E-Tanhai Main
Aye Jan-E-Jahan Larza Hai
Teri Aawaz Ke Saaye
Tere Hoanton Ke Saraab
Is Qadar Pyar Se
Aye Jan-E-Jahan Rakha Hai
Dil Ke Rukhsar Pe
Is Waqt
Teri Yaad Ne Haath
Yoon Guman Hota Hai
Garche Hai Abhi Subh-E-Firaq
Dhal Bhi Gaya Hijr Ka Din
Aa Bhi Gaee Wasl Ki Raat
Dasht-E-Tanhai Main
Aye Jan-E-Jahan Larza Hai
Tere Aawaz Ke Saaye
Tere Hoanton Ke Saraab


send poetry

Tanhai Shayari
July 21st, 2009

Comment here

Your Comment: