Kab se khamosh si ghum sum si.

Kab se khamosh si gh..

Kab se khamosh si ghum sum si..
yunhi bethi hoon?..
Samne khat hai tera..
aur dil ke angan mein

Mausam-e-dard..
dabey paoun chala aya hai
Aur zakhmon ki fasal
ab ke bahut achi hai

Baaton baaton mein lage
dil pe jo, uss baat ka zakham

Dil ki mundheron pe
jam jaye jo, uss raat ka zakham

iss siyahi mein jo ghum hugaya
uss saath ka zakham

Jo yaqeen toot ke tabdeel huwa
rezoon mein?.
ruhh mein chubte khatakte huwe
zaraat ka zakham
Tum ne likha hai ke..
tum zaat ke zakhmon ko
sehna seekho..
Tum bhi auroon ki tarha
duniya mein rehna seekho
Mashvara hai tu bahut khoob
magar?????.
Essi duniya se kahaan
meri shanasayi hai
Yeh tera khat hai ke
Zakham-e-maseehayi hai?


send poetry

Umeed Shayari
July 22nd, 2009

Comment here

Your Comment: