Mere liye kuch dua karo

main nay kaha k mere liye kuch dua karo
us ne kaha dua pe na takya kia karo

main nay kaha k zahan pe rahta hai bojh sa
us ne kaha k chhup k kahin ro liya karo

main nay kaha k kamodahan bemaza se hain
us nay kaha k hafiz-o-ghalib parha karo

main nay kaha k dost nibhayengay mera sath?
us nay kaha k waqt pe ye tajraba karo

main nay kaha k asl ki mujh ko talash hai
us nay kaha k apna ta?aqub kia karo

main nay kaha k shahar main tash?heer hogayee
us nay kaha k apni hadon main raha karo

main nay kaha bahisht haqiqat hai ya majaaz??
us nay kaha k ghaur na itna kia karo

main nay kaha k mashwara dar bab-e-maykashi
us nay kaha k zaat-e-kashida pya karo

main nay kaha k khidmat-e-ahbab ka sila?
us nay kaha , ta?at-e-taba rasa karo

main nay kaha ? husool-e-nakukarye jahan?
us nay kaha k sohbat-e-bad se bucha karo!!!

Share it!
Mere liye kuch dua karo
0 votes, 0.00 avg. rating

More Urdu Poetry:

  1. DUA kiya karo Maine kaha ke mere liye kuch DUA kiya karo Us...
  2. Ae chand suno kuch baat karo Ae chand suno kuch baat karo tere baat chale meri...
  3. farz karo tum farz karo tum chat per baithe apne baal sukhate ho...
  4. Dil Mere Tu Kiske Liye Dhadakta Hai Dil Mere Tu Kiske Liye Dhadakta Hai Tere Ehsaaso Ko...
  5. Youn Na Intezaar Karo Us Ajnabi Ka Youn Na Intezaar Karo Is Aashiq Dil...
  6. Anwar Masood kay Qataat kal jo hua hai daf?atan us se mera mukaalma khoobiy-e-ikhtisaar...
  7. Wo Inkaar Kerty Hyn Iqrar k Liye Wo Inkaar Kerty Hyn Iqrar k Liye Nafrat b Krty...
  8. Na Mila Karo Sar-E-Sham Mujhay Na Mila Karo Sar-E-Sham Mujhay Main TaNha TaNha Theek Hun...
  9. Kuch Is Tarah Tum Se Kuch Is Tarha Ki Chahat Ki Hai??.!! Tumhare...
  10. Ye DiL Bhi T0 Sirf Usi Ke Liye Tha ? Kisi K Liye Zindagi Thi ? ? K0i Zindagi...
  11. Ye DiL Bhi T0 Sirf Usi Ke Liye Tha ? Kisi K Liye Zindagi Thi ? ? K0i Zindagi...
  12. Kuch bhi nahi ???kuch bhi nahi? Mere paas dard-e-dil ke siwa kuch bhi...
  13. Kuch waqat lage ga jo beeti hai use dhurane main kuch waqat lage ga....
  14. A Mere Yar Lot Kar A Ja A Mere Yar Lot Kar A Ja Ajj Tere Bohat...
  15. Ishq Aisa Karo Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Mein Bas Jaaye Saans Bhi...


Advertisement

Leave a Reply

Your Comment:

Next: »

Search Poetry

urdu poetry dictionary love shayari romantic shayari sad shayari



RSS Shayari