Advertisements
Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha
Woh Dil Ka Bura, Na Bewafa Tha
Bas Mujh Say Youn He Bichar Gaya Tha
Her Simt Usi Ka Tazkara Tha
Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha
Main Us Ki Ana Ka Aasra Thi
Woh Mujh Say Kabhi Na Roothta Tha
Main Dhoop K Bina Bhe Jal Rahi Thi
Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha
Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha
Woh Mujh Say Bichar K Roo Para Tha
Kya Kuch Na Us Say Kaha Gaya Tha
Us Nay To Laboon Ko See Liya Tha
Woh Chand Ka Humsafar Tha Shayad
Raatoun Ko Tamam Jaghta Tha
Hontoun Main Gulaab Ki Naram Khushboo
Baatoun Main To Shehad Gholta Tha
Kehnay Ko Juda Tha Mujh Say Laikin
Woh Meri Ragoon Main Gunjta Tha
Us Nay Jo Kaha, Kiya Woh Dil Nay
Inkaar Ka Kis Main Hosla Tha
Youn Dil Main Thi Yaad Us Ki Jaisey
Masjid Main Chiraagh Jal Raha Tha
Mat Pooch Hijaab K Qareenay
Woh Mujh Say Bhi Kam Hi Khul Saka Tha
Is Din Mera Dil Bhi Tha Pareshan
Woh Bhi Merey Dil Say Kuch Khafa Tha
Main Bhi Thi Dari Hui Si Laikin
Rang Us Ka Bhi Kuch Ura Ura Tha
Ek Khoof Sa Hijar Ki Rutoon Ka
Dono Pay Moheet Ho Chala Tha
Ek Raah Say Main Bhi Thi Gurayzaan
Ek Moor Pay Woh Bhi Ruk Gaya Tha
Ek Pal Main jhapak Gain Jo Aankhain
Manzar Woh Manzar Doosra Tha
Soocha To Tehar Gayee Zamanay
Dekha Toh Woh Door Ja Chuka Tha
Qadmoun Say Zameen Sirak Gai Thi
Suraj Ka Bhi Rang Sanwla Tha
Chaltay Huey Loog Bhi Ruk Gayee Thay
Thehra Hua Shehar Ghoomta Tha
Sehmay Huey Pair Kanptay Thay
Pattoon Main Hiraas Rengta Tha
Rakhti Thi Main Jis Main Khuwab Apnay
Woh Kanch Ka Gar Chatakh Gaya Tha
Hum Dono Ka Dukh Tha Aik Jaisa
Ehsaas Magar Judda Judda Tha
More Urdu Poetry:
- Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha Woh Dil Ka Bura, Na Bewafa Tha Bas Mujh Say...
- Yeh dard mit gaya tu phir? Yeh dard mit gaya tu phir? Yeh zakhm sil gaya...
- Yeh dard mit gaya tu phir? Yeh dard mit gaya tu phir? Yeh zakhm sil gaya...
- main gulshan tha bikher gaya woh naam tha badal gaya ? main shaam tha dhal...
- Ye Zakhm Sil Gaya To Phir Ye Dard Mit Gaya To Phir? Ye Zakhm Sil Gaya...
- Socha Tha Achaa Bura Socha Tha Achaa Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi Manga...
- Dil Main Jalana Bhi Aik Dia Dil Main Jalana Bhi, Bujha Bhi Daina, Yaad...
- Dil Main Jalana Bhi Aik Dia Dil Main Jalana Bhi, Bujha Bhi Daina, Yaad...
- Meri wafa ne banaya hai bewafa Karoon to kis liye aakhir karoon malal us ka, usey...
- Koi Matrook Dua Tum Se Bichar Ker Kya Hoon Main ??? Ek Ashoori...
- Bari Uljhano Main Hon Tere Qareb Aa Kay Bari Uljhano Main Hon, Main Dushmanon...
- Bewafa dhoka kha gaya mein bawafa tha is liye dhoka kha gaya? shayad use...
- jab mout se bhi badh kar koi sazaa de gaya Wo Mohabbat meiN ye kaisi wafaa de gaya khus rahun...
- mout se bhi badh kar koi sazaa de gaya Wo Mohabbat meiN ye kaisi wafaa de gaya khus rahun...
- Main Muntazir Hoon Barish Ka Main Muntazir Hoon Barish Ka, Fasl-E-Bahar Say Pehlay Main Muntazir...
Advertisement


















