Jalta sheher bachaya ja sakta hai

Jalta sheher bachaya..

Pani ankh mein bhar ker laya jasakta hai
Ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai

Aik mohabbat aur woh bhi nakam mohabat
Lekin is se kaam chalaya ja sakta hai

Dil per paani peeney ati hain umeedien
Is chashme mein zeher milaya jasakta hai

Mujh gumnaam se poochte hai farhaad o majnoon
Ishq mein kitna naam kamaya ja sakta hai

Yeh mehtab yeh raat ki peshani ka ghao
Esa zakham to dil per khaya jasakta hai

Phatta purana khawb hai mera phir bhi tabish
Is mein apna aap chupaya jasakta hai

Video: Jalta Sheher









Brilliant piece of poetry by Abbas Tabish is presented to you by Ranjish.com


send poetry

Abbas Tabish, Ghazal Shayari, Video Shayari
May 13th, 2011

One comment

  1. really very nice one…

Comment here

Your Comment: