Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon

Ab Ke Rut Badli Tou ..

Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ?
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ?

Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ?

Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay
Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon ?

Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon ?

Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai “Faraz”
Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon ?


send poetry

Ahmad Faraz
December 1st, 2012

One comment

  1. amed faraz mera faraz favourite shayar h me faraz ji ki shayari bari dilchaspi se padta hun khas kar jo ishq ke bare me sher hote hain un ki to bat hi aur h

Comment here

Your Comment: