Kiyon Tabiaat Kahin Theharti Nahi

Kiyon Tabiaat Kahin ..

Kiyon Tabiaat Kahin Theharti Nahi
Dosti Tau Udaas Karti Nahi

Hum Hamesha Ke Ser Chashm Sahi
Tujh Ko Dekhain Tau Aankh Bharti Nahi

Shab-e-Hijraan Bhi Roz-e-Bad Ki Tarah
Kutt Tau Jaati Hai Par Guzarti Nahi

Sher Bhi Aayton Se Kiya Kum Hein
Hum Pe Mana Wahi Utarti Nahi

Yeh Mohabbat Hai, Sun Zamany Sun
Itni Aasanion Se Marti Nahi

Jiss Tarah Tum Guzaarty Ho Faraz
Zindagi Iss Tarah Guzarti Nahi


send poetry

Ahmad Faraz
July 17th, 2009

2 comment

  1. Na samji hamari thi apna aapko samja,
    hum se sab kehte the samadaar bahot ho…

  2. Pal hi aisa tha ki
    hum izhar na kar paye,
    zamane ke darr se ik-raar na kar paye,
    na thi jinke bina zindagi munasib,
    chood diya saath unho ne aur hum sawal bhi na kar paye…

Comment here

Your Comment: