Lab-e-khamosh se ifsha hoga..

Lab-e-khamosh se ifs..

Lab-e-khamosh se ifsha hoga..

Labb-e-khamosh se ifsha hoga,
Raaz har rang main ruswaa hoga,

Dil ke sehraa main chali sard havaa,
Abr gulzar pe barsa hoga,

Tum nahin the to sar-e-baam-e-khayal,
Yaad ka koi sitara hoga,

Kis tawaqoh pe kisi ko dekhen,
Koi tum se bhi haseen kya hoga,

Zeenat-e-halqa-e-aghosh bano,
Door betho ge to charcha hoga,

Jis bhi fankaar ka shahkar ho tum,
Us ne sadiyon tumhe socha hoga,

Aaj ki raat bhi tanha hi kaTTi,
Aaj ke din bhi andhera hoga,

Kis qadar karb se chaTtki hai kali,
Shaakh se gul koi toota hoga,

Umar bhar roye faqat is din,
Raat bheegi to ujala hoga,

Saari duniya hamen pehchanti hai,
Koi ham se bhi na tanha hoga..

لب_خاموش سے افشا ہوگا - احمد ندیم قاسمی


send poetry

Ahmad Nadeem Qasmi, Designed Shayari, Ghazal Shayari
March 12th, 2017

Comment here

Your Comment: