Zindagi ke jitne darwaaze hain..

Zindagi ke jitne dar..

Zindagi ke jitne darwaaze hain
Sab mujh pe band hain,
Dekhna hadh-e-nazar se aage barrh kar
Dekhna bhi jurm hai,
Aasman-darr-aasmaan asraar ki parten hattaa kar
Jhaankna bhi jurm hai,
Kyun bhi kehna jurm hai,
Kaise bhi kehna jurm hai,
Saans lene ki to aazadi mayassar hai magar,
Zinda rehne ke liye insan ko kuch aur bhi darkaar hai,
Aur is kuch aur bhi ka tazkraa bhi jurm hai,
Ae khudaavandaan -e-aevaan-o-aqaayed,
Ae hunar-mandaan -e-aayin-o-siyaasat,
Zindagi ke naam par bas ek inaayat chahiye,
Mujh ko in saare jaraayem ki ijazat chahiye.

Video: Zindagi ke jitne darwaaze hain..









A fabulous piece of poetry by the legend, Ahmad Nadeem Qasmi.


send poetry

Ahmad Nadeem Qasmi, Nazam Shayari, Video Shayari
October 22nd, 2016

Comment here

Your Comment: