Thapaak thapaak ke jinhe hum sulaate rehte hain..

Thapaak thapaak ke j..

Gaye dinon ko magar hum bulaate rehte hain

Thapakk thapakk ke jinhe hum sulaate rehte hain,
Woh khawb hum ko hamesha jagaate rehte hain,

Umeeden jaagti rehti hain soti rehti hain,
Dareeche shamaa jalaate bujhaate rehte hain,

Na jaane kis ka humen intezar rehta hai,
Ke baam-o-dar ko hamesha sajaate rehte hain,

Kisi ko dhoondte hain hum kisi ke paikar main,
Kisi ka chehra kisi se milaate rehte hain,

Woh naqsh-e-khawb mukammal kabhi nahin hota,
Tamaam umar jise hum banaate rehte hain,

Usi ka akss har ik rang main jhalakta hai,
Woh ek dard jis sab chupaate rehte hain,

Hamen khabar hai kabhi lat kar na ayen ge,
Gaye dinon ko magar hum bulaate rehte hain,

Yeh khel sirf tumhin khelte nahin ‘alam’,
Sabhi khalaa main lakeeren banaate rehte hain..


send poetry

Alam Khursheed, Designed Shayari, Ghazal Shayari
January 28th, 2017

Comment here

Your Comment: