Bashir Badr

Ranjish.com has lots of Urdu Bashir Badr Poetry. Feel free to add your own Bashir Badr Shayari here.

Bashir Badr Collection

Bashir Badr Bashir Badr
1935-

Bashir Badr is a famous urdu poet. He was born in 1935 and is currently living in Bhopal, India. We are committed to bring all of Bashir Badr poetry right here at Ranjish.com.
His most famous ghazal was “Khuda hum ko aesi khudayi na de” which is sung by several popular singers including the ghazal maestro Jagjit Singh. Badr has two sons who are also interested in poetry and literature. He has lived in Meerut, Delhi and Bhopal.



Ghaalib tumhare saare tarafdaar mar gaye..

Bashir Badr

Thaa ‘mir’ jin ko sher ka aazaar mar gaye,
Ghaalib tumhare saare tarafdaar mar gaye,

Jazbon ki woh sadaaqten marhoom ho gayin,
Ehsaas ke naye naye izhaar mar gaye,

Saaqi teri sharaab barra kaam kar gayi,
Kuch raaste main, kuch passs-e-deewar mar gaye,

Sheron main ab jahaad hai, roza namaz hai,
Urdu ghazal main jitne thay kufaar mar gaye,

Misron ko hum ne naara-e-takbeer kar diya,
Geeton ke pukhtaa-kaar gulukaar mar gaye,

Ya rab tilism hosh-rubaa hai mushaayera,
Jin ko nahin bulaaya woh gham-khoaar mar gaye..



Sar jhukao ge to pathar devta ho jaye ga..

Bashir Badr

sar jhukao ge bashir badar

Sar jhukao ge to pathar devta ho jaye ga
Itna mat chaho usse woh bewafa ho jaye ga,

Hum bhi dariyaa hain humen apna hunar maloom hai,
Jiss tarf bhi chall parren ge raasta ho jaye ga,

Kitni sachaayi se mujh se zindagi ne keh diya,
Tu nahin mera to koi doosra ho jaye ga,

Main khuda ka naam le kar pee raha hoon dosto,
Zehar bhi agar is main ho ga davaa ho jaye ga,

Sab usi ke hain, havaa, khushbu, zameen-o-aasmaan,
Main jahaan bhi jaaon ga uss ko pata ho jaye ga..



Yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar main raha karo..

Bashir Badr

yun hi besabab na phira karo

Yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar main raha karo,
Woh ghazal ki sahi kitaab hai ussey chupke chupke parrha karo,

Koi haath bhi na milaaye ga jo gale milo ge tapaak se,
Yeh naye mizaaj ka sheher hai zara faasle se mila karo,

Abhi raah main kayi morr hain koi aaye ga koi jaaye ga,
Tumhe jis ne dil se bhulaa diya ussey bhoolne ki dua karo,

Mujhe ishtihaar si lagti hain yeh mohabton ki kahaniyan,
Jo kaha nahin woh suna karo jo suna nahin woh kaha karo,

Kabhi husn-e-parda-nasheen bhi ho zara aashiqana libaas main,
Jo main ban sanwar ke kahin chaloon mere sath tum bhi chala karo,

Nahin be-hijaab woh chand sa ke nazar ka koi assar na ho,
Ussey itni garmi-e-shauq se barri dair tak na takka karo,

Yeh khizaan ki zard si shaal main jo udaas pairr ke paas hai,
Yeh tumhare ghar ki bahaar hai ussey aansuyon se haraa karo..



Abhi iss taraf na nigaah kar main ghazal ki palken sanvaar loon..

Bashir Badr

Abhi iss taraf na nigaah kar main ghazal ki palken sanvaar loon,
Mera lafz lafz ho aayina tujhe aayine main utaar loon,

Main tamaam din ka thakaa hua tu tamaam shab ka jagaa hua,
Zara thehr jaa issi morr pr tere saath shaam guzaar loon,

Agar aasmaan ki numaayeshon main mujhe bhi izn-e-qayaam ho,
To main motiyon ki dukaan se teri baaliyan tere haaar loon,

Kahin aur baant de sheher main kahin aur bahshh de izzaten,
Mere paas hai mera aayina main kabhi na gard-o-ghubaar loon,

Kayi ajnabi teri raah main mere paas se yuun guzar gaye,
Jinhe dekh kr yeh tarrap hui tera naam leke pukaar loon..



Azmaten sab teri khudaayi ki..

Bashir Badr

azmaten teri khudayi ki

Azmaten sab teri khudaayi ki,
Hesiyyat kya meri ikaaayi ki,

Mere honton ke phool suukh gaye,
Tum ne kya mujh se bewafayi ki,

Sab mere haath paaon lafzon ke,
Aur aankhen bhi roshnaayi ki,

Main hi mulzim hoon main hi munsif hoon,
Koi suurat nahin rihaayi ki,

Ik barass zindagi ka beet geya,
Tehh jammi ek aur kaayi ki,

Ab taraste raho ghazal ke liye,
Tum ne lafzon se bewafaayi ki..



Aankhon main raha dil main utar kr nahin dekha..

Bashir Badr

Aankhon main raha dil main utar kr nahin dekha,
Kashti ke musafir ne samandar nahin dekha,

Be-waqt agar jaaon ga sab chaunk parren ge,
Ik umr hui din main kabhi ghar nahin dekha,

Jiss din se chalaa hoon meri manzil pe nazar hai,
Aankhon ne kabhi meel ka pathar nahin dekha,

Yeh phool mujhe koi viraasat main mile hain,
Tum ne mera kaantton se bharaa bistar nahin dekha,

Yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar liya maine,
Phoolon main chupaaya hua khanjar nahin dekha,

Mehboob ka ghar ho ke bazurgon ki zameenen,
Jo chorr diya phir ussay murr kar nahin dekha,

Khhat aesa likha hai ke nageene se jarrre hain,
Woh haath ke jiss ne koi zevar nahin dekha,

Pathar mujhe kehtaa hai mera chahane wala,
Main mom hoon uss ne mujhe chhuu kar nahin dekha..



Log toot jaate hain eik ghar banaane main..

Bashir Badr

Log toot jaate hain eik ghar banaane main,
Tum taras nahin khaate bastiyanjalaane main

Aur jaam tootenge is sharaab khaane main,
Mausmon ke jaane main, mausmon ke aane main,

Har dharrakte patthar ko log dil samajhte hain,
Umr beet jaati hai dil ko dil banaane main,

Fakhta ki majboori ye bhi keh nahin sakti,
Kaun saanp rakhta hai uske aashiyane main,

Doosri koi ladki zindagi mein aayegi,
Kitni der lagti hai usko bhool jaane main..



Tum raah mein chup chaap kharrey ho..

Bashir Badr

Tum raah mein chup chaap kharrey ho to gaye ho,
Kis kis ko batao gey ghar kyun naheen jaatey..



Phool sa kuch qalaam or sahi..

Bashir Badr

Phool sa kuch qalaam or sahi,
Ik ghazal us kay naam or sahi,

Us ki zulfien bohat ghaneri hain,
Ek shab ka qayam or sahi,

Zindagi kay udaas qissey hain,
Ek larki ka naam or sahi,

Kursiyon ko sunaiye ghazlien,
Qatal ki ek sham or sahi,

kapkapati hai rat seeney me,
zehar ka ek jaam or sahi.

Bashir Badr



Us ki chahat ki chandni ho gi..

Bashir Badr

Us ki chahat ki chandni ho gi,
Khoobsorat si zindagi ho gi,

Ek larki bohat sey phool liye,
Dil ki dehleez par khari ho gi,

Chahey jitney charagh gul kar do,
Us key ghar roshni to ho gi,

Neend tarsey gi meri ankhon me,
Jab bhi khawbon sey dosti ho gi,

Hum bohat door they magar tum ney,
Dil ki awaz to suni ho gi,

Sochta hun key wo kahan ho gi,
Kis key angan me chandni ho gi.

Bashir Badr


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Bashir Badr.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari