Gar main chahoon har cheez muqabil aa jaye..

Gar main chahoon har..

aye jazba e dil

Ay jazba-e-dil gar main chahoon har cheez muqabil aa jaye,
Manzil ke liye do gaam chaloon aur samne manzil aa jaye,

Ae dil ki khalish chal yunhi sahi chalta to hoon un ki mehfil main,
Us waqt mujhe chaunkaa dena jab rang pe mehfil aa jaye,

Ae rehbar-e-kamil chalne ko tayaar to hoon par yaad rahe,
Us waqt mujhe bhattka dena jab samne manzil aa jaye,

Haan yaad mujhe tum kar lena awaz mujhe tum de lena,
Is rah-e-mohabbat main koi darpesh jo mushkil aa jaye,

Is jazba-e-dil ke baaray main ik mashwra tum se leta hon,
Us waqt mujhe kya lazim hai jab tujh pe mera dil aa jaye,

Aata hai jo tufaan aanay do kashti ka khuda khud hafiz hai,
Mumkin to nahin in maujon main behta hua saahil aa jaye..


send poetry

Behzad Lakhnavi
September 2nd, 2016

Comment here

Your Comment: