Aayine se parda kar ke dekha jaye..

Aayine se parda kar ..

Ghar se nikal kar jata hoon main roz kahan..

Aayine se pardah kar ke dekha jaye,
Khud ko itna tanhaa kar ke dekha jaye,

Hum bhi to dekhen hum kitne sache hain,
Khud se bhi ik vaada kar ke dekha jaye,

Deewaron ko chotta karna mushkil hai,
Apne qad ko uncha karke dekha jaye,

Raton main ik suraj bhi dikh jaye ga,
Har manzar ko ulta kar ke dekha jaye,

Dariya ne bhi tarsaya hai pyason ko,
Dariya ko bhi pyasa kar ke dekha jaye,

Ab ankhon se aur na dekha jaye ga,
Ab ankhon ko andha kar ke dekha jaye,

Yeh sapne to bilkul sache lagte hain,
In sapnon ko sacha kar ke dekha jaye,

Ghar se nikal kar jata hoon main roz kahan,
Ik din apna peecha kar ke dekha jaye..

Ayine Se Parda Karke Dekha Jaye


send poetry

Bharat Bhushan Pant, Designed Shayari, Ghazal Shayari
January 26th, 2017

Comment here

Your Comment: