Ab woh yeh keh rahe hain meri maan jaayiye..

Ab woh yeh keh rahe ..

Ab woh yeh keh rahe hain meri maan jaayiye,
Allah teri shaan ke qurbaan jaayiye,

Bigrre huye mizaaj ko pehchaan jaayiye,
Seedhi tarah na maaniye ga maan jaayiye,

Kis ka hai khauf rokne waala hi kaun hai,
Har roz kyun na jayiye mehmaan jaayiye,

Mehfil mei kis ne aap ko dil mein chupaa liya,
Itnon mei kaun chor hai pehchaan jaayiye,

Hai tevarii mein ball to nigaahen phiri hui,
Jaate hain aise aaney se ausaan jaayiye,

Do mushkilen hain ek jataane mei shauq ke,
Pehle to jaan jaayiye phir maan jaayiye,

Insaan ko hai khaana-e-hasti mein lutf kya,
Mehmaan aaye to pashemaan jaayiye,

Go vaad-e-visaal ho jhuuta maza to hai,
Kyun kr na aise jhuut ke qurbaan jaayiye,

Reh jaaye baad vasl bhi chettap lagi hui,
Kuch rakhiye kuch nikaal ke armaan jaayiye,

Achii kahi ke ghair ke ghar tak zara chalo,
Main aap ka nahin huun nigehbaan jaayiye,

Aaye hain aap ghair ke ghar se kharre kharre,
YEh aur ko jataayiye ehsaan kar jaayiye,

Dono se imtihaan-e-wafaa pr yeh keh diya,
Manwaaayiye raqeeb ko yaa maan jaayiye,

Kya bd.gumaaniyan hain unhe mujh ko hukm hai,
Ghar mei khuda ke bhi to naa mehmaan jaayiye,

Kya farz hai ke sab meri baaten qubool hain,
Sun sun ke kuch na maaniye kuch maan jaayiye,

Saudaaaayiyan-e-zulf mai kuch to lattak bhi ho,
Jannat mei jaayiye to pareshaan jaayiye,

Dil ko jo dekh lo to yehi pyaar se kaho,
Qurbaan jaayiye tere qurbaan jaayiye,

Jaane na doon ga aap ko be-faislaa huye,
Dil ke muqadme ko abhi chhaan jaayiye,

Yeh to bajaa ke aap ko duniya se kya gharazz,
Jaati hai jis ki jaan usse jaan jaayiye,

Ghusse mei haath se yeh nishaani na gir parre,
Daaman mei le ke mera garebaan jaayiye,

Yeh mukhtasir jawab milaa arz-e-vasl pr,
Dil maanta nahin ke teri maan jaayiye,

Woh aazmuuda-kaar to hai gr walli nahin,
Jo kuch bataayiye Daag ussey maan jaaayiye…


send poetry

Daag Dehlvi
May 2nd, 2011

Comment here

Your Comment: