Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Lutf Wo Ishq Mein Paaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Ranj Bhee Aisay Uthaaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Jo Zamaanay Ke Sitam Hain Wo Zamaana Jaanay
TU Ne Dil Itnay Sataaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Muskuraatay Howay Wo Majmaa-e-Agyaar Ke Saath
Aaj Yun Bazm Mein Aaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Kaaba-o-Dair Mein Pathra Gayeen Dono Aankhain
Aisay Jalway Nazar Aaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Dosti Mein Teri Dar-Pardah Hamaaray Dushman
Is Qadar Apne Paraaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
Daagh-e-Waarafta Ko Ham Aaj Tere Koochay Se
Is Tarah Khainch Ke Laaye Hain Ke Jee Jaanta Hai
More Urdu Poetry:
- Bara pur Lutf Nahi wo shakhs muqadar main phir bhi Uss se miltay...
- Kya kahun tum se main ke kya hai ishq Kya kahun tum se main ke kya hai ishq, Jaan...
- Ishq Aisa Karo Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Mein Bas Jaaye Saans Bhi...
- Wo aaj b mujhey sotey mein dasney aaye ga Wo aaj b mujhey sotey mein dasney aaye ga… Wo...
- Hansata hai ishq rulata hai ishq Hansaata hai ishQ rulaata hai IshQ rang kaise kaise dikhaata...
- Abhi tu ishq mein Abhi tu ishq mein aisa bhi haal hona hai K...
- Ishq e Khuda doob ja ishq e khuda main sab kuch bhool kar...
- Ishq mein tere koi gham Ishq mein tere koe gham sar pe liya jo ho...
- Ishq mein mombati sa jal raha hoon main Ishq mein mombati sa jal raha hoon main. Tere moh...
- Yeh pichle ishq ki batain hain Yeh Pichlay Ishq Ki Baatein Hein Jab Aankh Mein Khuwaab...
- Yeh Ishq wale hain Aqal walon ke muqadar main yeh Zor-e-Junoon kahan, FarAZ Yeh...
- Zindagi bhar mein rahe door jo ghairon ki tarah Zindagi bhar mein rahe door jo ghairon ki tarah, Laash...
- nikalna hda sa aadam suntay aaya hain laikin nikalna hda sa aadam suntay aaya hain laikin bohat bay...
- Samait Leta Hai Baahon Mein Mera Ishq Mujhe Samait Leta Hai Baahon Mein Mera Ishq Mujhe…………. Mein Jub...
- Tumhaare Ishq Mein Sab kuch Tabah Kar Loongaa Dil-o-Dimaag ko Ro Loongaa Aah Kar Loongaa Tumhaare Ishq Mein...
Advertisement














