Aaye kuch abr kuch sharaab aye..

Aaye kuch abr kuch s..

aye kuch abr kuch sharab aye

Aye kuch ab kuch sharab aye,
Is ke baad aye jo azaab aye,

Bam-e-mina se mehtab utre,
Dast-e-saaqi main aftab aye,

Har rang-e-khun main phir charaghan ho,
Samne phir woh be-naqab aye,

Umar ke har varq pe dil ki nazar,
Teri mehr-o-wafaa ke baab aye,

Kar raha tha gham-e-jahan ka hisab,
Aj tum yaad be-hisaab aye,

Na gayi tere gham ki sardari,
Dil main yuun roz inqalab aye,

Is tarah apni khamoshi goonji,
Goya har samt se jawab aye,

Faiz thi raah sar-ba-sar manzil,
Hum jahan pohanche kamyab aye..

Aye kuch abr kuch sharab aye..


send poetry

Faiz Ahmad Faiz
March 21st, 2014

Comment here

Your Comment: