Chaand nikle kisi jaanib teri zebaayi ka..

Chaand nikle kisi ja..

Chaand nikle kisi jaanib teri zebaayi ka,
Rang badle kisi surat shab-e-tanhayi ka,

Daulat-e-lab se phir ayi khusrav-e-shirin-dahanan,
Aaj arzaan ho koi harf shanasaayi ka,

Garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanaan,
Tazkraa cherre teri pairahan-e-araayi ka,

Sehn-e-gulshan main kabhi ai shah-e-shamshad-qadan,
Phir nazar aaye saliqa teri raaanaayi ka,

Ek baar aur maseeeha-e-dil dil-zadagan,
Koi vaada koi iqraar masihaayi ka,

Deeda o dil sambhaalo ke sar-e-shaam-e-firaq,
Saaz-o-samaan baaham pohancha hai ruswayi ka..


send poetry

Faiz Ahmad Faiz
January 28th, 2015

Comment here

Your Comment: